Exams ki ye 10 galatiyan. Avoid these mistakes in exams
Puri taiyari ke baad bhi exams me achche number nahi milate. Iska matlab aap exams me aisi galtiya ya mistakes karte hain jo aapko nahi karni chahiye. Agar aap ye sochte hain ki exams me kya galtiya na kre to aap sahi jagah pahuche hain. Next time agar aap examination hall me jaaye to in galatiyo ko avoid kare or apni mehanat ko khrab hone se bachaye.
1. Memory overload karna-
Sabse pahli baat ki apni memory ko overload na kare. Ovetload ka matlab aap samajhte hi honge. Ji haan jyadatar student paper shuru hone se just pahle tak padhte rahte hain unko lagta hai ki exam hall me jaate jate jo padh ke jayenge wo achchi tarah yaad rahega. Dosto mai apko bta du ki aisa kuch nahi hota. Aksar hota ye hai ki agar aisa koi question aa bhi gya jo aapne exam hall me jaane ke just pahle pdha tha to bhi aap use achchi tarah nahi kar paate. Kyoki question dekhte hi aapko lagta hai ki ye to wahi question hai jo maine abhi pdha tha lekin apne aap puchiye kabhi aise question ko aap achchi or puri tarah kar paye hain? Nahi na.
Aisa isliye hota hai kyoki aap exam se pahle to kafee kuch dekh ke jaate hain lekin yaad kuch nahi hota hai. Or agar isi question ko aapne pahle se achchi tarah samajha hai ya yad kia hai to bhi isi adhe ghante pahle ki padhayi aapki dimag ki sthirta ko bigaad deti hai or wo saara jo apne kayde se samajha tha usme se bhi adha adhura hi likh paate hain. Aapne logo ko kahte suna hoga " jab saal bhar me padhkar kuch nahi kar paye to adhe ghante me kya kar payenge?" Ye sahi hai. Ye aadhe ghante ki overloading aapke mind me uthal puthal macha deti hai. Or saal bhar padha hua mix up ho jata hai or phir aap khud apne diye huye answer se satisfy nahi hote.
Dhyaan rakhe aise tricks sirf unke liye hain jo saal bhar padhayi ke nam par kuch nahi karte or aadhe ghante padh kar sirf Headings ko dhyaan me rakh kar details bnate hain or kaam chalaau number pa jaate hain. Acche number paane ke liye ye tricks kabhi kam nahi karti or ulta aapko puzzled kar deti hai.
2. Question paper ka dar mind me rakhna-
Har student ko paper milne se pahle ek dar Stata hai ki pta nahi question paper kitna hard hoga. Ye matter nahi karta ki wo class toper hai ya back bencher. Exam hall me question paper milne se pahle is dar ko apne ander se nikaaliye. Ye dar bhi aapke dimaag me jor dalta hai iska asar aapke diye huye answer me dikhta hai.
Aap paper se aadhe ghante pahle extra padhayi ya dar jaisi chijo ko bhul jaaye. Mind ko thoda relax hone de. Postive attitude rakhe or har questions ke answer man ko shaant rakh kar de. Jaldbaaji ya ghabraht na dikhaye.
3. Question paper me diye nirdesho ko na padhna-
Kai student question paper me diye nirdesho ko nahi padhte. Unhe lagta hai ki har question paper me ek hi jaisa nirdesh (Directions) dia hota hai. Ise padhne se sirf time waste hota hai. Lekin aisa nahi hai ye direction bahut jaruri hote hain or ise padhne me aapka jyada se jyada 30 second lagta hai. Isme Aapko kitne question karne hai, inhe karne ke liye aapke pas kitna time hai, har question ke liye kitne number nirdharit kiye gye hain or har section me se maximum kitne question karne hai jaise nirdesh diye hote hain. nirdesho ko ignore kar aap apna 30 second bchate hain or kuch aisi galtiya karte hain
Ek baat kahna chahunga ki please pura paper na padhe. Ek yahi nirdesh jo question paper me diye hota hai lekin main kahta hu aap ise apne hisaab se follow kare.
Hota ye hai ki aap saara question paper jab padhte hain to agar aapko saare question ke answer aate hain to ap puzzled ho jate hain ki kis question se shuru kare. Or aapko kam se kam puchhe gaye question limit se bhi kam ke answer aate hain to aap isi tension me baaki ke answer bhul jaate hain. Isliye mai kahunga ki aap shuru se dekhte jaaye or jis question ka aapko answer aa rha ho. Usi se shuru kar de. Bas baki ke nirdesho ko dhyan me rakhna na bhule.
5. Answer ki starting thik se na karna-
Aapne hamesha is baat ko suna hoga ki apne answer ko kabhi kitaabi bhasa na de. Aap kitab me kya padhke aye hai use bikul yaad rakhe lekin thodi si apni maukhik bhasa ka bhi prayog kare. Answer start aise kare ki evaluator ko aapke pahle paragraph se hi anumaan lag jaye ki aapne answer question ke according diya hoga ya nahi. Aapki copy me answer ka kitna portion pdha jayega ye koi nischit nahi hai isliye shuru ka portion aise rakhe jo answer se related ho. Kuch log is baat ka dhyan nahi rakhte or answer ke pahle paragraph me answer ko ghumaane firaane me nikal dete hain.
6. Ek ke bad dusre question ka answer Turant shuru karna-
Har answer ke bad 10 second ka rest le. Bilkul, 10 second. Agar aapko maximum 10 question ka answer dene hain to 3 ghante me lagbhag 2 minutes barbad honge. Lekin hakikat me ye barbad nahi jayenge. Ye 10 second ka rest apko agle answer me bahut madad karega. Relax hokar agle question ka answer soche or fir shuru kare. Is 10 second me aap answer ke headings ko mind me set kare. Agar aapko hall me water bottel allowed hai to thoda paani piye fir likhna shuru kare.
7. Headings ka pura dhyaan na dena-
Apne answer me heading use kare. Ye sabse main point hai. Maine pahle hi kaha ki aapke answer ka kon sa portion pdha jayega ye aap nahi jante isliye heading hi ek maatr jariya evaluator ka focus khichta hai or kam samay me aapka answer jyada se jyada number dene wala ban jata hai.
8. Underline karna na bhule-
Agar aapko evaluator ka or jyada dhyan khichna hai to ap main point ko underline ya bold karna na bhule. Main baar baar aapko bol rha hu ki aap chhote se answer ko bhi kafee prabhavshali bna sakte hain lekin agar question ke liye jyada marks fix kiye gye hain to apko uska answer long karna padega. Lekin aapko pta hai long answer ko koi pura nahi padhta isliye apko main- main content ko highlight karna padega. Isliye contents underline ya bold karne me aalas na kare.
9. Last paragraph par dhyan na dena-
Agar aap sochte hai ki apke answer ki starting dekhi jati hai or answer ko long karne ke liye kuch bhi likh denge. To iska koi fayda nahi kyoki aapke answer ki ending bhi utni smartness se likhi gyi honi chahiye jitni ki starting.
Last paragraph me aapke answer ka pura conclusion diya gya hona chahiye. Ye aapke answer ka pura nichod hona chahiye. Last paragraph par evaluator ka utna hi dhyan jata hai jitna ki baki points me. Isliye ise puri tarah question se related hi likhe.
10. Extra question jaan-bujh kar karna-
agar ap ye soch kar ek do question jyada karke aate hai ki agar koi question galat ho gya ho to uski bharpayi ho jayegi to apna number bna kar nahi balki bigad kar aa jate hai. Evaluator apse jyada smart hote hain or aapki is hoshiyari ka pura fayda wo uthate hain or aapko utne hi number minus kr dete hain jitne number ke wo question hote hain. Kyoki iska bhi rule hota hai jiske khilaaf aap kuch nahi kar sakte.
Ab aap jaan gye honge ki aap exam me jo galati karke aate hain aapka result usi ki wajah se khrab hota. Exam ki kuch galtiyo ko maine yahan nahi btaya jo ki aam hai jise ap sab jaante honge. Isliye ab in galtiyo par gaur kare or inhe avoid kare. Inme sudhaar karke aap khud ko exams ke liye puri tarah taiyar karke hi jaye.

- kam number ke question me jyada time waste kr dete hain
- Jarurat se jyada question ke answer de dalte hai or jaldi jaldi me har answer sahi se nahi de paate.
- Ek section me maximum question ki limit se jyada kar dete hain. Iska fayda to nahi kabhi kabhi iska nuksaan jarur mil jata hai.

Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.