X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

12 important tips Exams me top kaise kare. How to top in exams.

    Aap pure saal mehanat karte hain phir bhi exam me achche number nahi aate to bahut hi bura feel hota hai. Fir aapko lagene lagta hai ki isse jayda kya kare or exams me achche number kaise laye Aaj mai aapko btata hu kuch  aise jabardast Tips jo aapko exams me achche numbers lane or top karne me help kar sakte hain.Follow these tips for being a topper in exams.



1. Padhte samay subjects ko change karte rahe-
Sabse pahli baat subject badal badal kar pade. Kisi bhi subject ko lgataar na padhe ya jyada time kisi ek subject ko na de. Har kisi ka koi na koi favorite subject hota hai. Aur wo usi me jyada time invest karta hai. Aisa isliye hota hai kyoki apko us subject ko padhne me maja ata hai or isliye or subject me man nahi lagta aap pure saal kuch subject ko pure dhyan se padhte bhi nahi or exam aane par ratta maarkar kaam chlate hsi Or iska nuksaan ye hota hai ki us subject me to aap ache number laate hain jisme saal ka samay lgaya or baaki subject apko dubo dete hain. Har subject important hota hai kisi ko kisi se kam mat samajhiye. Agar aisa nahi to fir aap khud sochiye ki aap kyo saal ke ant me niraash hote hain. Kyoki aap inme se kisi na kisi subject ko sal bhar miss karte jaate hain or end me yahi aapki pure saal ki mehanat khrab kar deta hai

2. Ek timing schedule bnaayiye or har subject ko barabar samay dijiye-
    Sare subject ke liye ek timing bnaayiye or us timing se hi subject ko samay dijiye. Saare subject ko barabar read karte rahne se aapko iska fayda ye milega ki aapke mind ko har subject ke har topic ka knowledge hoga. Or is tarah apko in subject ke liye jyada pareshan nahi hona padega. Exam se das din pahle bhi agar aap inhe achchi tarah padhne lagenge to ye aapko achche se kanthasth ho jayenge. Ye chij sochne wali hoti hai or aapka beech beech me is par dhyan bhi jata hai ki har subject jaruri hai or aap iske liye apne aap se promise bhi karte hain. Lekin kar nahi paate kyoki aap iske liye perfect timing schedule nahi bnate or sochte rah jate ' aaj jaane do kal se padhunga' or agle din fir yahi. Or exam sir par aa nate hain tab dimaag chakrane lagta hai ki ab kya kare.

    Har subject ke liye week me 6 din ka schedule bnayiye. Weekend me baki activities ke sath favorite subject ko jyada samay de dijiye ise aapka man bhi lagega or exams me problem bhi nahi hogi.

3. Weak subject ke liye tution attend kare-
Agar aap saare subject me avarage number laate hain to aapke liye bas timing schedule hi bahut hai. Kuch students ko kuch subject samajh hi nahi ata. Or isliye wo usi subject me har baar fail hote hain ya kam number paate hain. Agar aap kisi subject me weak hain to uske liye tution attend kare. School ya college me pdhaye gya topic ya chapter tution me or ghar me roj dohraye. Isse dhire dhire aapka interest badhne legega or ek baar subject samajh me aane lga to bas timing ke hisaab se use bhi set kar le. Is baat ko jarur notice kar le ki jab tak ye subject aapka strong nahi hota baki subject se dhyan bhatkana nahi hai kahin aisa na ho ki aap ek ki taiyari kare or dusra aapse chhutne lage. Bas is subject par kuch dino ke liye extra time nikale.

4. School ya college me weekly ya monthly test jarur attend kare- 
Agar aap har subject me badhiya or apne timing schedule bhi bnaya hua hai lekin ye soch kar weekly ya monthly test attend nahi karte ki isse koi fayda nahi hone wala to aap galat hain. Aise weekly ya monthly test isliye liye jate hain ki pta chale ki aap apne final exams ke liye kitne serious ho. Koshish kare ki har test ko attend kare or har test ka result aane par khud baith kar isko review kare, dekhe ki aapse kahan kya galtiya ho rahi hain ya kya chhut rha hai. Agar aap aise test ko miss karte jate hain to aap yahi saari mistakes final exams me karte hain. Isliye in test ke mahatva ko samajhe or har test ke bad aap khud realise karenge ki finals me kitne percent ke hakdaar hain.

    Weekly ya monthly test se fayda ye hai ki in test me jo question puchhe jate hain or jinke aap answer dete hain wo aapke mind me kafee achchi tarah set ho jate hain or final exam ki preparation me in question ke liye aapko jyada time waste nahi karna padta or ap kuch extra karne ki koshish karte hain

5. Dusaro ke sath khud se bhi competition rakhe-
Aap dusro ke sath khud se bhi competition rakhe. Har test ya exam ko clear karne ke baad ye soche ki agle test me isse jyada number la sakte hain ya nahi. Har baar miss huyi ya galat chijo par revision kare or khud se promise kare ki agli baar is baat ka dhyan rakhna hai. Agar aapne saal ke har test me pichhle se badhiya kia to pakka hai ki finals aapke liye behtar jaane wala hai. Dusro ke saath competition me ap sirf use hraane ya usse jyada number laane ki koshish karte hain lekin apni mistakes anylise karna bhul jate hain or finals me inhi mistakes ki wajah se aapko maat khani padti hai.

Aisa nahi hai ki aapko dusro se matlab hi nahi rakhna. Is tarah to aap jitna mila utane me khus rahne lgenge. Dusro ke result or number aap khud ko motivate karne ke liye dekhiye. Ye dekhiye ki wo kitni mehanat ya kya extra karta hai or khud ko motivate karke aap se hui galtiyo ko anylise kare or agar upar diye tips ko follow kar rhe hain to iska pura fayda aapko milega. 

6. Main topics ya important questions ke chakkar me na pade-
Padhayi me kuch bhi main ya important nahi hota. Saare topics or question most important hote hain. Kuch student teacher ya kisi se puch ke important ya main topics ko tick karte hai or ye trick ladate hain ki inhi topics ya question se unke finals clear ho jayenge. DoSto mai aapko bta rha hu ki aisi tricks sirf unke liye hoti hai jo padhna nahi chahte or bas saal ke end me agle class me chale jana chahte hain. Mai aap se request karunga ki ap in chakkaro me na pde or padhayi or exams ko serios lekar sal bhar thoda thoda taiyari karte rahiye. Aise tricks me padke aap apni saal bhar ki mehanat barbaad kar denge kyoki examiner kabhi ye dekhte ki aapne kya pdha hai wo kahin se bhi koi bhi question exam me aap se puch sakte hain. Isliye aisi tricks ko avoid kare or in tips ko dhyan me rakh kar padhte rahe.

7. Ache friend group me rahe- 
Agar aapka friend group aisa hai jisme aapke baki friend aapko ya aap khud ko sabse tej tarar or intelligent samajhate hain. To aap galat group me hain. Aise group ko turat badle. Ye soch aapko or aapke career ko dono ko barbaad karne ke liye kafee hai. Is soch ke sath aap dhire dhire khud hi ye sochne lagte hain ki ab mujhe kuch karne ki jarurat nahi. Aisa isliye lagta hai kyoki aap dusro ki taraf dekh kar ye sochte hai ki mai behatar hu ya mai kam se kam inse to behatr hu. Isliye aise group ko join kare jisme baki ki student ya friend aapko barabar ki takkar de sake ya jinhe aap khud se jyada minded or intelligent samajhte ho. Aisi group me aapko kuch sochne ka samay nahi milta bas ek dusre ko follow karte rahe or aage badhte rahe.



8. Dusro ko bhi sath le- 
Jaisa ki maine upar kaha ki apne se intelligent group ko join kare. Lekin har group me ek aadhe friend to mil jayenge jo aapse weak honge. Aap us friend ko notice kare or iska fayda uthaye. Aisa nahi hai isse uska nuksan hoga aapke sath sath iska usko bhi fayda milega. Aap khud padhne ya samajhne ke baad use padhaye. Isse aapka revision turant ho jayega or use bhi ek chhoti unpaid tution mil jayegi. Padh kar padhane se aapke padhe huye topics achchi tarah yaad ho jayenge. Lekin iske liye kisi aise ko chuniye jo padhne ke liye interested ho na ki aapka or apna time waste kare.


9. Handwriting bhi sudhare- 
Ye to aapko bhi pta hai ki pdhayi me sirf padhna hi nahi likhna bhi aata hai. Technology jis tarah se din par din badhti ja rahi hai ho sakta hai ki ek din aisa aa jaye ki sara kuch typing par nirbhar ho jaye. Lekin phir bhi aap Handwriting ko ignore nahi kar sakenge. Handwriting hamesha shiksha ke sath juda rahega or iska mahatv kabhi kam nahi hoga. Isliye padhne ke sath likhna bhi jaruri hai or likhne ke liye aapki likhawat jitni sunder hogi utna hi aap Examiner ko lubha payenge. Kabhi kabhi good handwriting ke karan aapke answer me chhoti moti galtiya bhi andekhi kar di jaati hai. Isliye apni handwriting par jarur focus kare. Iske liye aap roj ek sulekh likhe. Sulekh to aap samajhte hi honge. Koi ek article le or use char ya paanch par likhe . Ek hi article ko likhne se aap ki practice badhegi or dhire dhire likhawat achchi hone lagegi.

10. Khus rahe-
Ye chota sa lagne wala tips sabse important tips hai. Kisi ne kaha hai ki "Agar aap khud ko khus nahi rakh sakte to jindgi me kuch nahi kar sakte." Isliye khus rahiye, aap pichhle exam me kam numbers se paas huye ya fail huye is baat ki tension dimag me na rakhe. Khusi man se agle saal top me aane ki taiyari kariye. Yaad rakhiye agar aap khus rah kar padhayi karte hain tabhi pdha hua material kuch samajh aata hain or dimaag use receive karta hai. Yadi aap kisi or baat se tense hain or aapka man padhayi me nahi lag rha to khud ko thoda sa rest de. Mind ko relax hone de nahi to pdha hua kuch bhi yaad nahi hota. Tension me aap dekh to book ya notebook ki taraf dekh rahe hote hain lekin aapka dimaag kuch samajhne ke liye ready nahi rahta or aap is tarah apna time waste karte rahte hain. Isliye khusnuma mahaul me rahe or khud ko bhi khus rahe.



11. Positive soche- 
Hamesha positive soche. Achcha soche or hamesha aage badhne ki soche. Positive soch hamesha aapke andar ek energy bnati hai or negative soch aapko aage badhne se rokti hai. Agar aapka pichhla sal khrab gya hai use bhul kar is saal pure man se padhayi kare. Baar baar wahi soch kar apna mind disturb na kare. 

12. Oversmart na bane-
Don't try to be oversmart. Kabhi ye na samajhe ki aapko sab kuch aata hai. Ye thought aapke liye harmful ho sakti hai. Agar aapne tution ya coaching ki help se exams se pahle syllabus khatam kar liya hai to iska revision karte rahe ye soch kar na baithe ki ab aapke paas karne ko kuch nahi rah gya. Oversmartness apko nuksaan pahuncha sakti hai. Isliye syllabus khatam hone ka fayda uthaye or revision par revision karte rahe.

   Mer khyal me maine aapko har wo tips batayi jisse aap exams ko simply clear kar sakte hai. Ek final exam me top kar sakte hai. Maine koi bhi aisa point nahi liya jo apke liye mushkil ho. Jo aap har roj karte hain bas usme thoda changes karne hain bas. Bahut aasan hai bas tips follow kare or bole All is well.

Comments