X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Sirf 2 din padhkar exam me pass kaise ho. 10 naye tricks.

    aaj mai aapko btane ja rha hu aisi tricks jisme aap sirf 2 se 4 din padh kar exam me achche number ke sath pass ho skte hain. Apne internet par aisi tricks bhi padhi hogi ki 1 din me exams me top kare. Sach ye hai ki aisi koi tricks hai hi nahi jisme aap 1 din padhkar top kar sake.

    Sabse pahle mai apko btana chahunga ki ye tricks unke liye hai jo kisi sharirik pareshani ya kuch gharelu reasons se apne pure me padhayi par dhyan nahi de paaye or kisi tarah achche number se pass ho jana chahte hain. Exams me top karne ki ichcha rakhne wale or saal bhar man lga kar padhne wale ise follow na kare to thik hoga. Sabse pahle mai aisi tricks btata hu jo aksar log aisi situation me try karte hai. Uske baad mai wo dhansu tricks btaunga jo aapne kabhi dhyan bhi nahi diya hoga.




    General tricks jo log follow karte hain
Or aap dusri site me dekh sakte hain. Isse top karna to dur pass hona bhi muskil hota hai.

  1. Question bank ka prayog
  2. Ratta maarna
  3. Exam starting se pahle tak padhte rahna
  4. Question ko bhi answer sheet par likhna jisse sheet jaldi bharne me help milti hai.
  5. Badi badi (long) Headings dalna
  6. Jitna answer aata hai usi ko dobara ya tibara likh kar answer ko long show karna
  7. Bade bade aksharo me likhna jisse page jaldi bhra ja sake
  8. Question se hi answer ko nikalna. Baar baar puchhe gye question ko hi likh kar aage 'isliye' ya 'kyoki' ya 'aisa isliye hota hai' jaise word ya sentence jodte jate hai.
  9. Har page me niche ki 2 ya 3 line ko chhod dena. Jisse answer long lage.
    Pahale shayad ye tricks kaam kar jaati rahi ho lekin ab nahi. Ab evaluator bahut smart ho gye hain. Apki activites se hi wo andaja lga lete hain ki aapne exams ji kitni preparation ki hai. Or fir aapka result unke mood par depend hota hai. Agar unka mood achcha to aap pass nahi to lag gyi waat.

Ye bhi padhe:-



    Ab mere tricks par dhyan de or passing marks tak aaram se paaye.

1. Unsolved paper ki help le- 
Aapko lagega ki isse kya fayda. Ji isse bahut fayda hai. Kam se kam 2 ya 3 ghante unsolved paper me kharch kare. Dekhe ki kaun sa question har saal ya 2 saal par repeat kia ja rha hai og kaun sa randomly 3 ya 4 saal par dia ja rha hai. Ye aapko question bank me bhi mil jayega lekin unsolved paper se choose karne par un question ki jyada surity hogi. Isliye pahle isme search kare Uske baad question bank se milaye. Jo question repeat kiye ja rahe ho unko priorty de. Randomly aane wale question ko time ke hisaab se samay nikal ke padhe.

    Jyadatar unsolved paper achchi taiyari karne wale use karte hain jisse unhe pta chalta hai ki syllabus se related question kis prakar bna kar diye jaate hai. Magar aap bhi iska fayda le sakte hain iska achcha fayda milega.



2. Ratta na mare itane kam samay me aap yaad karke hi kuch kar sakte hain-
Sirf ratta maar kar aap apna time waste karte hai aapke mind me kuch nahi baithata. Yad karne ki koshish kare chahe har topics par thoda thoda hi kare. Topic ka knowledge hone par answer ko aisa bna sakte hain ki evaluator ignore na kar sake. Unhe number dena hi padega.

Read also:




3. Long ke bajaay short question ki jyada taiyari kare-
Long question ke answer par aapka jyada time waste hota hai or jyada time me kam question hi taiyar kar paate hain. Isliye short question ki jyada taiyari kare. Isse alag alag chapter ka thoda bahut knowledge mil jata hai. Or aapko long question ke anwser me bhi help mil jaati hai.

4. Exam start hone se pahle thoda sa rest le-
Exam start karne hone se adhe ghant pahle books ko side me rakh ke mind ko thoda sa rest de. Aap ye soch kar examination hall ke ander jaane se pahle tak padhte jate hain ki abhi padh ke jaane se kuch samay tak yaad rah jayega. Lekin aisa nahi hai ye trick to mai un logo ko bhi karne se mna karunga jo saal bhar achchi taiyari karke jaate hain. Fir aapne to 3-4 din hi tayari ki hai. Aisa isliye Kyoki ye adhe ghante ki padhayi aapke dimag me uthal puthal mcha deti hai or aapko pahle se jyada unconfident bna deti hai. Aadhe ghante ka rest aapke mind ko sthir karta hai or aapko pdha hua thik se yad rahta hai.

5. Ek se dusre question ke beech me gap timing- 
Ye baat maine pahle post me btayi thi ki ek answer dene ke turant baad dusra turant start na kar de. Kam se kam 10 second ka rest le. Apne dimaag me answer ki headings ko set kare or fir likhna shuru kare. Jab ek answer ke turant baad dusra likhna shuru karte hain to ap likhna to shuru kar dete hain lekin start acha nahi de pate. Or yahi evaluator ki najar me aa gya to aapki 10 second jaldi aapki kafee mehanat ko barbaad kar degi.

Read also:


6. Headings ko shart me likhe-
Aap ye sochte hain ki aap headings bade bade ya long likh denge to apka answer badhiya mana jayega. Ye tricks apke liye hi hai. Wo isliye kyoki aapne puri taiyari nahi ki hai to aapko Headings ko jyada long nhi likhna chahiye. Agar aap dedh ya do line ki headings likhte hain to aapka dedh ya do line ka content khrab hota hai. Agar aapne wahi fir se headings ki details me dal dia to iska aapko koi fayda nahi milta. Ulta agar evaluator ne is par gaur kar liya to uski samajh me aa jaata hai. Isliye headings ko jitna ho sake short me likhe or baki ke bache contents ko headings ke details me likh de. Isse apka answer bhi long hoga bina kuch repeat kiye.



7. Sunder aksharo me likhe-
Evaluator ko copy ka pahla page dekhte hi pta chal jata hai ki aapne kitni taiyari ki hai. Achchi tarah padh kar exam dene wale apni natural handwriting me answer dete hai jabki kaam chlane wale bde bde aksharo me likh ke jaldi page bharna chahte hai. Dhyan rakhe agar aapki handwriting badhiya hai to aapke thodi bahut galtiya bhi ignore ki ja sakti hai ya ho sakta hai ki aapki galati dikhayi hi na pade. Isliye handwriting achchi rakhe. Iske number milte hain.

8. Page normally bhra hua ho-
Agar aap page ki last ki 2 ya 3 line jan boojh ke chhod dete hain to aap ye mat sochiye ki aapka answer long samajha jayega. Aapke copy me ye shayad pahle page me andekha kar diya jaye lekin dusre page me aap pakad liye jayenge. Waise aapke answer ki quality or quantity dekhi jati hai na ki page ki quantity. Isliye page ko aise na chhode ki wo aadha blank lage or answer 2 ki jagah 3 page ka ban jaaye. Aap apni natural handwriting me page ki limit tak likhe. Iska fayda aapko hi milega.

Read also:


9. Extra answer na kare- 
Maine ye point toppers ke liye bhi uthaya tha ki sirf compulsory questions ka answer de. Extra question kabhi na kare. Ye extra questions ke answers aapka samay barbad karte hain. Kyoki evaluator har section ke total answer ko dekhte hain or agar aapne extra kiye hai to use kat dete hain. Kabhi kabhi to ise aapki oversmartness samajh kar apke number kaat diye jate hain.

10. Recheck kare-
Agar aapne saare question ke answer time se pahle de diye hain to khali na baithe. Answer sheet ko ek baar shuru se dobara dekhe ki kahin koi galti to nahi hui jaise ki Answer no. Galat ya headings no. Galat na ho gya ho ya likhne me jaldi me kuch chhut gya ho aadi. Waise recheck jarur karna chahiye chahe last ka 1 minute bcha kar hi aap apni copy par ek najar daale lekin daale jarur.

Read also:




    Yahan par kahin bhi examination hall me chit le jaane ki baat nahi ki gyi hai or na hi aapko kisi or site ki post me milegi kyoki chit ya nakal ki parchi le jaana anaitik hai or sath hi gair kanooni bhi. Isliye kabhi chit le jaane ki na soche.


     Ye 10 tricks naye hain or 2 -4 din ki padhayi se aapko exams me aasani se pass kra sakte hain. Lekin mai aap se kahna chahunga ki is tarah se paas hone ka koi matlab nahi hota kyoki aap pass to ho jate hain lekin aap se is saal ka jo syllabus chhut jayega wo aapko future me jarur nuksaan phunchayega. Isliye agar aapko kabhi aise pass hone ki jarurat pade to pass hone ke baad aap 2 ya 3 mahine me koi tution lekar syllabus ko pure dhyan se samajhe aur padhe. Jisse ki future me koi preshani na ho.

Comments

  1. Acha h jo took samay me exam dena chahta h

    ReplyDelete

Post a Comment

Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.