8 Arabpati companies jo bina planning ke shuru huyi
Log kahte hain agar aapko kisi bhi kaam ya business me success hona hai to apko uske liye saari planing pahle hi krni padti hai. Ye sahi bhi hai kyoki pahle se ki gayi planning apko apne kaam me success dilati hi hai. Lekin kya aapko maloom hai ki kuch companies aisi hai jo bina planning ke shuru huyi or aaj arbo rupaye ki sampatti wali company ban chuki hai.
Yahan mai aapko aisi 10 companies ya corporation ke baare me btaunga jinhone apna business shuru karne se pahle koi pre-planning nahi ki.
Facebook-
Aapne facebook ke baare me to suna hi hoga, jaroor, lekin iske baare me kuch baate nahi jaante honge. Facebook ki ek din ki kamayi lagabhag 18 crore rupaye hai. Mark Jukerburg ne year 2004 me Harvard University ke apne sathi students ke liye social site ke roop me Facebook start kiya tha. Tab Mark ne bhi nahi socha tha ki Facebook itna famous hoga. Itane bade level me facebook ko launch hi nahi kiya gya so iske liye kisi business plan ki jarurat nahi padi. Facebook ek vishesh community ko bus ek platfarm dene or aapsi meljol bdhane ki ek chhoti si soch thi jo aaj ek vishal roop le chuki hai.
Disney-
Disney nam kisi ke pahchan ka mohtaz nahi. Ise to bachcha bachcha janta hoga. Disney company ke owner Walt Disney ne is company ki shuruaat apne bhai Roy ke sath ek creative studio bnakar ki jisme 'Alice' naam ke character par film5 bnani shuru ki.
Unhone 'Alice's wonderland' ka ek bhaag 'Alice comedies' bnaya jo ek short film thi. Or is tarah bina kisi business plan ke shuru huyi company Disney aaj lagbhag 50 billion doller ki company ban chuki hai.
Google-
Google ki shuruat Sergey Brin aur Larry Page ne year 1996 me apne graduation ki padhayi ke dauran ek class project ke roop me ki thi. Wo bas ek aisi search engine bnana chahte the jisme websites ko unke sambandho ke aadhar par rank kiya ja sake. Lagbhag 32 mahino tak google sadharan tarike se bina kisi company ka roop liye chalta raha. Uske baad year 1998 me ise corporate jagat me shaamil kiya gya. Aaj google lagbhag 70 billion dollr ki sampatti wali company ban chuki hai.
Apple-
Apple company year 1976 me kuch is tarah start huyi. Steve Woznaik ne Steve Jobs ke sath milkar kuch Computer bechne ka ek chhota sa plan bnaya. Steve jobs ek dukan dar ke paas gaye or apne Apple I ko kharidne ki request ki. Steve dwara prastavit computer ki khaas baat uski machines ki uchch gudwatta thi. Dukandar ne is ek computer machine ke 500 Doller ki keemat par 50 computer ki demend rakhi.
Steve ne 50 computer 30 din me dene ka target rakh kar computer parts distributer se contact kiya. 30 dino ke andar dono mitro ne order ke mutabik apna kaam pura kiya or mile paiso ko distributers ko diya. Or is tarah yeh bina kisi business plan ke shuru hua. Aaj Apple company lagabhag 65 se 70 bilion dollor ki company hai.
Yahoo-
Yahoo search engine Jarry Jang or David Filo dwara apne university project ke dauran aane wali dikkato ko dur karne ke liye bnaya gya tha. Jerry or david year 1994 me apni P.hd ki padhayi ke dauran shodh ke liye alag alag site se jaankari prapt karte the iske liye unhe alag alag sites ki jankari haasil karne me kaafi dikkate jhelni padti thi or is tarah unke dimag me ek aisi site ka plan aya jisme sabhi sites ko asaani se dhunda ja sake. Us samay google ka koi namo nishan nahi tha. Jerry or david ne ek chhoti si site bnayi or usme aisi sites ki link ka data bnate gye. Is tarah Jerry ne apne university ki site me apni site ka link dala niska naam tha 'Jerry's guide for world wide web'.
Year 1995 me venture capital firm skoiya capital ne 1 million dollor invest kiya or is tarah bina kisi preplanning ke yahoo ki shuruaat hui.
Pepsi- pepsico
Year 1898 me ek pharmecist or drug store ke maalik Caleb Bradham ne ek fountain drink ka avishkar kiya or usko ' Brad's drink' ka naam diya. Unhone is drink ko apne store se hi bechna shuru kiya. Ye sab kuch aise hi chalta raha. Lagbhag 11 saal baad year 1909 me Automobile racer Barney Oldfield ka sampark Bradham se hua. Barney ne race shuru hone se pahle activness bdhane ke liye drink use karne ka samarthan kiya. Or is tarah Pepsico ki sthapna ki gayi jo kisi business plan ke bina hi shuru ki gayi.
Nike-
Nike company ki shuruaat 1962 me Philip Knight ne apne Japan ki Yatra ke dauran kiya tha. Philip apne Japan yatra ke dauran Onitsuka Tiger co. gaye tabhi unke mind me ek vichar aya or Philip ne unke product ko import karne ka offer diya jisase use wo apne desh me resell kar sake.
Or is Japanese company ko vishwas dilane ke liye Philip ne Blue Ribbon Sports ke nam se ek company apne desh me registered karayi or isi naam se 18 saal tak kaam karte rahe baad iska naam badal ke Nike Inc. rakha gya. Or Is tarah bina planning ke shuru huyi company ko year 1978 me Nike Inc. Naam diya gya.
Walmart-
Walmart world level par retail bikri ke liye famous company hai. World famous is company ki shuruaat bhi koi sochi samajhi planning ke sath nahi huyi balki Walmart ke founder Sam Walton ki dridh ichcha se huyi.
Kayi retails shops me kaam karne ke baad Sam Walton ne Bentonvile me apna retail store ' Walton's five & dime' ke naam se khola. Wal-mart retail Walton ke experience se shuru hua. Dhire dhire Walton pur desh me karib 50 se adhik mall bnaye. Iske liye Walton ne koi business plan nahi bnaya. Aaj Walmart ki sampatti karib 500 billion dollor ke aas paas hai.
Ye companies aaj itani uchayio par hai ki mere or aapke liye sapne ki tarah hain. Lekin iska matlab ye nahi aap life me jo karna chah rahe hain uska koi plan na bnaye ya koi future map na bnaye, iska matlab bas ye hai ki aap life me jo karna chah rahe hain use apni soch me is tarah baithaye ki bas wahi aapki life ban jaye. Ho sakta hai aaj situation aapke mutabik na ho or aapko tutna pade lekin us success ki chah ko dil se nikalne na de.
Bas apka ye sochna ki success kaise ho ya safal hone ke liye kya kya kare, jaisi baate kafi nahi hain, balki success ke liye aapko bas us raah ki dhun pakadani jaruri hai, jis par ap chalna chahte hain, fir chahe aapne uski planning ki ho ya nahi, aapko successful hone se koi nahi rok sakta.

Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.