X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Reliance Jio ki limit ghat ke huyi 1 GB/Day. Free using band hone ka mandra rha khatra

   Agar aap Jio user hain to ye aapke liye buri khabar hai. Reliance ki taraf se Jio user ke liye Happy New Year offer aya ki ab Free calling or free data March 2017 tak ke liye kar dia jayega. Lekin lagta hai ki ab aisa jyada din tak nahi chalega or yeh time se pahle hi band ho jayega.




Telecom regulatory authority of India ( TRAI) ne Reliance ko notice bheja hai ki Jio ki taraf se jo offer Sep 2016 me start kia gya tha wo New peoduct advertisement or promotion ke rules ke tahat kia gya tha. Jo ki 3 Dec 2016 ko khatam ho jana tha. Lekin Mukesh Ambani ne 3 Dec se pahle hi Jio ke free offer extend karke users ko New year offer dete huye March tak kar dia hai.

TRAI ne kaha hai ki ye Reliance ki taraf se bazar ka ulanghan hai or bazaar bigadne wala kaam hai. To kyu na ye mana jaye ki Jio sirf Market bigadne ka kaam kar rhi hai na ki apni bazar bnane ka.

Aapko bta de ki 16 Dec tak Jio ke 6 crores se bhi jyada users ho chuke hain. Jab ki Jio ka target Starting offer ke sath Dec 3 tak 5 crore users ka tha.


Filhaal Jio ne TRAI ko iska reply pesh kar dia hai jisme ye kaha gya hai ki Sep 2016 me Jio ka jo offer pesh kia gya tha wo user se kisi tarah ka benefit na lete huye daily using limit 4GB rakhi gayi thi or limit cross hone ke baad kisi tarah ka koi data plan purchasing ka process nahi tha. Jab ki 3 Dec ke baad Jio user ko free seva matra 1GB/Day rakhi gayi hai or uske baad wo data purchase kar sakte hain.

To is tarah ye kisi bhi tarah se market par atikraman nahi hai. Ab dekhne wali baat ye hai ki TRAI is par kya action leta hai or Jio user ko jhatka lagta hai ya Ambani dwara diya gya tohfa barkrar rahta hai.

Abhi kuch din pahle news aayi thi ki Jio dwara registered saare users ko Prepaid connection nahi mila hai. Kuch user ka connection postpaid bhi hai social media me kuch ne apna Jio bill bhi post kia tha.

To ab dhyan dene wali baat ye hai ki 4G ki speed me hame ye kaise pta chalega ki din me hamari 1GB ki limit smapt ho gayi hai. Agar aapka prepaid connection hai tab to thik hai aapka data automatic work karna band kar dega lekin agar aapka connection postpaid hua to aapko acha akhasa nuksan ho sakta hai.

Agar aapne abhi tak ye nahi jana hai ki aapka connection Prepaid hai Postpaid to apko ye abhi turant pta kar lena chahiye


Yahan click karke janiye ki

apka Jio connection Prepaid hai ya Postpaid hai


Ab Jio March tak chale ya December tak chale. Aapko Sambhal kar use karna hoga. Kahin aisa na ho ki aap pahle ki tarah Youtube par ghanto bitaye or bad me aapko ghanto soch me bitana pade😊

Comments