Android Mobile me ek haath se fast typing kaise kare.
Hello friends. Aapne ek haath se typing karne ki to koshish ki hogi or jaante honge ki ye itna nahi hota. Koi bhi chij asaan nahi hoti use asaan bnana pdta hai. To dekhte hai ki android mobile ek hath se asaan ya easy typing wo bhi fast tarike se kaise karni hai.
Aksar ham ek hath se typing tab karte hain jab hamara dusra hath busy ho. Matlab ek hath kuch khana ya kuch pakade rhna. Sabse jyada tab jab ham bed par lete huye ho or hmara ek hath chadar ya razayi me hota hai.

Aise me hame pareshani ye hoti hai ki hmare hath se mobile chhoot jata hai. Dhyan dijiye aisa kyu hota hai. Aisa tab hota hai jab hamara mobile right hand me ho or hame typing karte time O, P,K,L,N,M ,back, ya . or enter ki button par kaam karna ho. Or agar hamara mobile left hand me ho to Q, W, A, S, Z, ,shift ya symbol change ki button par kaam karna ho.
Sochiye itni hi jagah agar aapko khali mil jaye to aap aasani se one hand se fast typing kar sakte hain. To ayiye dekhte hain ki aap ye kis tarah karte hain.
Android mobile me one hand se fast typing karne ka tarika
Sabse pahle aap jis par type karna chahte hai. Us app ko open kar le. Jaise whatsapp, message box ya koi app jahan aap writing karna chate hain.
Writing ke liye keyboard open kare. Ab niche pic me dekhiye jahan comma ( , ) ki button hai. Use tap & hold kijiye( thodi der dba ke rkhiye) .

Ab aapke saamne keyboard setting ka option aayega. Use open kariye.
Keyboard setting me aap preference ke option par click kariye.

Preference ke option par click karte hi sabse top par aapko one handed mode ka option dikhega. Yehi option aapko ek haath se type karne me help karega.
One handed mode click kariye.

Ab agar aap sirf right hand se type karna chahte hain to laft handed mode select kare.

Lekin agar aap left hand se type karna chahte hain to right handed mode par click kare.

Ab aapke saamne niche di huyi screen aa jayegi. Ab aap kisi bhi hand se easy fast typing kar sakte hain. Ab agar aapko hand change karke typing karni ho to arrow par click karke hand mode change kar sakte hain. Or agar full screen keyboard chahiye to full screen ke symbol par click kar deijiye. Ye bahut hi easy hai.

Ye post aapke liye kitni helpful hai comments karke jarur bataye or share karke dusaro ko bhi sikhaye.
Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.