X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Bluetooth se internet share kaise kare.

Waise to aajkal sbke haath me android mobile hi dikhta hai lekin agar aapke kisi friend ke paas ya kisi sath baithe person ke paas android nahi hai or uske mobile me internet chlana hai to mai aapko bluetooth se internet share karne ka tarika btata hu.




Waise thodi bahut bhalayi to aap wifi se bhi karte hi honge. Lekin ab aap bluetooth ke simple process se bhi internet share kare or thoda sa punya or kamaye.

Aayiye dekhte hain ki bluetoth se internet data kaise transfer kar sakte hain.

Bluetooth se internet data share kaise kare

Step 1:- Apne android mobile ki setting open kariye.

Ab Tethering & Portable hotspot open kariye.
Agar nahi dikh rha to More dikh rha hoga. Use open kariye. uske baad tethering ka option dikh jayega

Step 2:- Ab sabse niche aapko bluetooth tethering ka option dikh rha hoga. Bluetooth tethering open kare. Is sabke sath apne mobileka internet data on rakhna hai.

Ye bhi padhe




Step 3:- Ab jis par internet transfer karna hai us mobile ka bluetooth on kariye or new device search par click kariye. Device pair kariye. Or connent hote hi dekhiye us mobile me internet ka symbol aa gya hoga.

Waise ye process android se android me work karta hai but utani speed nahi milati hai jitani ki wifi ki milati hai. Isliye android me wifi se internet share karna hi thik hai.

To ab data share karte rahiye or bhi khul kar or mujhe comment karke btayiye ki ye post aapke liye kitni helpful rahi.

Comments