X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Domain register godaddy par kaise kare. Sirf 99 Rs. me

 Aapne TV par Ad to dekha hi hoga ( Godaddy ke sath badhe chalo). Lekin bahut kam logo ko samjh me ata hoga ki ye godaddy kya hai or iska use kya hai. Ye kya bechti hai. To mai aapko bta du ki ye domain, web hosting, website security sell karti hai. Aaj mai Domain register karne ka tarika bataunga.




Ab swal uthta hai ki domain kya hai. Godaddy ek website maker company hai. Jo aapki website bnane me help karti hai. Aur domain website ke naam ko kahte hain. Agar aap bhi apni website banana chahte hai to jarur use aisa naam dena chahenge jo aapka man pasand ho. Chaliye dekhate hain ki domain( jise Url bhi kahte hain ) kaise kharidte hain matlab register kaise karte hain.

Domain purchase karne ke liye kayi site hain. Aap inme se koi bhi choose kar sakte hain.


  1. Godaddy.com
  2. Bigrock.in
  3. 1and1.com
  4. Namecheap.com
  5. Domain.com
  6. Domains.google
Iname se Godaddy mujhe achi lagi or mai aapko isi par apna domain registration karane ke liye kahunga.

To start karte hain 

Domain registration kaise karte hain

Step 1:- Apne mobile ya PC me browser open kariye. Agar mobile se register karna hai to niche click kare.



Step 2:- Ab apke samne jo screen aayi hai wo kuch niche di huyi screen ki tarah hogi. Ab pahli arrow ki tarf click kariye. Fir create My Account par click kariye.



Steo 3:- Ab aap chahe to apne facebook account ke sath login kar sakte hain ya nya acount bnana hai to   1. Apna Email address daliye. Agar apka email id nahi bna hai to niche clik karke bna sakte hain.


2. Apna username daliye ( username aisa daliye jo aapko baad me yaad rahe. Kyoki isi se apka godaddy account handle hoga ) 

3. Koi acha sa secure password daliye. Password me 

  • Kam se kam 9 letter yani axar hone chaiye
  • 9 me se kam se kam ek axar Capital letter yani bada axar ho
  • Kam se ka ek axar small letter me ho
  • Kam se kam ek number (1 se 9 tak koi bhi ) ho
  • Kam se kam ek symbolic letter ho ( @#&*'©™£$¢)
  • Shuru le ke ant tak kahin bhi space nahi dena matlab jagah khali nahi chhodni hai.
4. Ab create account par click kar dijiye.

Ab aapka account ban gya hai.


Step 3:- Ab aapke samne godaddy ka menu aa gya hoga. Ab aap chahe to 1 ya 2 din ruk jaye ho sakta hai godaddy apko domain purchasing me kuch chhoot( offer) de de. Kyoki aksar aisa hota hai. Agar koi offer milega to aapke gmail id par aa jayega. Lekin agar aapko abhi lena hai to aage ka steps follow karte jaye.




All product par click kariye.

Ab domains par click kariye.

Ab apna domain search kariye. Agar domain dalne ke baad niche di huyi screen ki tarh Yes! Your domain is available. Buy it before someone else does.  likhkar aata hai to bas aapka domain available hai aap use purchase kar sakte hain.





Ab agar aap domain sirf 99 Rs./Year per purchase karna chahte hain to apne domain me niche dekhte jayiye. Aksar  dotcom (.com) domain costly hi hote hain. Ap .in ya .net ya .org wale domain 99 Rs. Me purchase kar sakte hain. Lekin agar .com wala hi domain purchase karna chahte hai to aap domain badal badal kar search karte jayiye. Koi na koi domain aapko .com ke sath 99 Rs. me bhi available hoga. Jaisa ki aap upar screen par dekh sakte hain 1by2u.com 99 Rs./ Year me available hai. Koshish kre ki aisa hi domain le jo aapke blog ya site se related ho. Blog or website me antar janana jaruri hai. Tabhi aap ek acha domain search kar kar sakte hain. Aap niche click karke jaan sakte hain ki
ek acha domain kaise registered karate hain

Step 4:- Domain select karne ke baad aap continue to cart par click kariye.

Ab aapke samne jo option aayega. Usme se ek niche di huyi screen me diya gya hai use apne mobile me dekhe. Isme domain protection or protect registration ka bhi charge juda hua hai. Waise mere hisab se ye apki domain security ke liye jaruri hai lekin agar abhi sirf domain purchase krna hai to ise No thanks kar dijiye.




Step 5:- Continue with these option par click kariye. Ab aapko apne domain registration ke liye kitne paise dene honge ye aapke screen par aa gya hoga. Procced par click karte hi apke samne payment karne ka option aa gya hai. Apne payment method ko choose kariye.

Aap credit card, debit card, net banking ya or option me jo choose karna ho kar sakte hain. Chaliye debit card se karke dekhte hain.

Step 6:- Debit card me aap apna ATM card use kar sakte hain. Apne ATM card ka type choose kare. Jaise VISA card ya master card jo bhi ho.




Ab apna card number dale. Iske baad CVV dale or fir apne ATM card ka expiry date dale or continue par click kariye. ( Note:- Apne card ki information ko kisi se share na kare na hi comment box me likhe.)

Ab privacy & terms ko padhna chahe to padh lijiye. I agree par click kariye or proceed par click kar dijiye.

Ab jo amount aapse bola gya tha wo aapke account se deduct ho gaye honge. Or aapke registered number par uska mesaage aa gya hoga.

Aapne successfully domain purchase kar liya hai ab aap ise apne blog me set kar sakte hain or ek pure website bna sakte hain.

Aapke liye ye post kitni helpful hai comment jarur kariye or share karke dusaro ki bhi help kariye.

Comments