X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Ek acha Domain kaise chune.

Ek acha domain utna hi jaruri hai jitna ki aapki har ek post achi ho. Kayi website apne unique domain ke wajah se itni jaldi famous ho jati hai jitna sahyad owner ne socha bhi na ho. Lekin kayi website sirf or sirf apne ek bina soche samjhe or bina planning ke liye gaye domain ki wajah se flop ho jati hai. Ye ek acha question hai ki kaisa domain mere blog ya site ke liye acha rahega. Lekin 100 me se 50 domain lene se pahle blogger ye sochte hi nahi. Yahan mai aapko bataunga wo 10 baate jo domain registration se pahle aapko dhyan me rakhna chahiye. Aise domain jo SEO or social marketing ko impact karte hain





Kya domain aapki site ki traffic badhane me help karta hai. 

Domain aapke blog ya site me traffic bdhane me utna hi help karta hai jitna ki apke ek ache post ka acha title. Aap post likhne ke baad ya pahle post ke title ko sochne me jitna time lagate hain utna hi time aapko apne blog ka domain register karne me karna chahiye. Aapki ek post sirf us post ke liye traffic ka medium banti hai lekin soch samajh kar register kia gya domain aapke har post ke liye utni hi traffic taiyar karti hai.



Domain ke liye keyword research kitna important hai.

Saalo se bilions website domain registered huye honge. Lekin kya domain ke liye keyword research jaruri hai. Bade marketers ko agar aap dekhte hain to wo target keyword ke sath domain choose karte hain. Aise domain se unhe unke CTR increase karne me help milati hai or search engines me high ranking milati hai. Dekhte hain ki keyword research karke liye huye domain se kaise fayda hota hai.


Search engines me jyadatar search question words ke sath hote hain. English me dekhe to jyadatar chije what ya how se or hindi me kya or kaise keyword ke sath hi search ki jati hain. To agr ham aisa koi domain le jo how, what, kya ya kaise se shuru ya khatm hota hai to hamari site ya blog ko 100 searching me kam se kam 10 pageview to milenge hi. Lekin inke baad bhi kuch dhyan dene wali baate hain


Brand domain kya hai. Keyword domain se kitna alag hai.

Nahi agar aap sochte hai ki aap kisi ache keyword ka domain hi ek badhiya domain ho sakta hai to bhi ap galat hain. Keyword research karke liya gya domain har jagah work nahi karta. Agar aapka blog aapke kisi bussines se related hai to aapke liye ye jaan pana bahut hi muskil hota hai ki kaisa domain apke blog ya web ko success kar payega. Aise me aapko apne business se related koi keyword khoj ke nikalna padta hai. Jo aapke business ko ya aapke brand ko show karta ho.

Ise samjhne ke liye aap kuch success website ko dekh sakte hain. Jaise Snapdeal, Quiker. In website ko dhyan se dekhiye. Snapdeal se aapko ek ache deal ka pta chalta hai. Yani ki online purchasing ka pta chalta hai.

Isi tarah quiker se kaam ka quick hone ka pta chalta hai matlab kisi chij ke le aane me or le jaane ki website hai.


Lekin in sab ke alawa bhi bahut si aisi website ya blog hain jo kafi famous hain lekin na to wo kisi keyword se or na hi brand ya business se related hai. Fir bhi aaj apne aap me ek brand hain. Isliye aisi bahut si chije hain jo domain purhasing se pahle aapko dhyan deni chahiye.


Brandable domain choose karne ke Tips.


Ek brand domain ke liye keyword research karnw ke baad bhi aapko kuch khas baato ka dhyan rakhna padega or aap bhi apne blog ya website ko ek brand name de sakte hain. Aap ke choose kiye huye domain me ye quality honi chahiye.


Yaad karne layak ho:-

Sabse pahle is baat ka dhyan rakhe aapka domain itna bda na ho ki yaad karne me parshani ho. Agar aapko yaad karne layak domain lena hai to chota se chota soche. Ye isliye bhi jaruri hota hai ki aapke blog ya website ka visitor kab aapki site chhod kar kisi or website me intereated ho jaye kuch pta nahi hota lekin kabhi bhi blog par wapas a sakta hai. Or ye tabhi possible hoga jab use aapka blogname yaad rahega.

Unique ho :-

Domain aisa choose kariye ki jo unique ho. Kisi or website ko dekhkar milta julta naam lena aapko fayde ke bajay kabhi kabhi nuksan de sakta hai. isliye kisi ko copy karne ki jagah apna ek unique brand bnaye.


.com extension ho

Iska fyada to aap bji jante honge. Agar nahi jante hain to main btata hu. Intrrnet ka naam mind me aate hi hame .com hi yaad ata hai. isliye .in ya .org ya or kuch lene ki na soche. Wiase ye thoda mehenga hota hai . Lekin fir bhi kyoki ye lifetime rhna hai Koshish kare ki .com hi le


Relavent hona chahiye :-

Domain hamesha apne business ya blog se related lena chahiye. Isase ye hota hai ki search engines me aapki website ka naam dekhne ke baad visitor attract hote hain. Relavent na hone par Kabhi kabhi aapke website name ko dekh kar visitors aate to hain lekin aapke content unke matlab ke nahi hote or wo turant return ho jate hain or isase apko fayda nahi balki nuksan hota hai.


Easy to spell hona chahiye :- 

Aapke liye sabse dhyan dene wali baat ye hai ki aisa domain kabhi na chune jo spell karne me difficult ho ya aisa jo samajh hi na aaye. Aap chahe letter or number milakar name bnaye liken spell kya kia gya hai ye samajh aana chahiye.


Chota se chota domain behtar :-

Jyada bda domain kabhi na chune. Aksar aap 3 ya 4 word ko milakar domain bnate hain. Meri slaah maane jyada ae jyada 1 ya 2 word ko milkaar bne domain hi chune.


Sabse alag domain kaise chune

Ek sabse badhia domain choose karna bahut kathin hai. Lekin kuch baato ko dhyan me rakh ke aap bhi ek jabardast domain create kar sakte hain


  1. Ek jabardust domain ke liye kuch exciting word se ban sakte hain. Iska example bahut hi known hai. Aap google, yahoo, bing, quora ya amazon ko le lijiye. Hain na exciting. 
  2. Aap do words ko aise mash up kar sakte hain ki milne ke baad wo ek nya word bnate ho or sunane me kuch nya ya good sound feel dete ho. Jaie Pinterest ya Groupon.

Aapke liye ye poat kitni helpful rahi mujhe comment karke btaye.

Comments