X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

ICICI Bank se kisi bhi bank me online money transfer kaise kare. Online safe transaction.

    Dosto demonetizetion se aap jarur effected honge or cashless hone ki taiyari kar rahe honge. Aaj mai aapko apke mobile se ICICI bank se kisi bhi bank me online paisa kaise bhejate hain ya online transaction or wo safe tarike se kaise karte hain ye btaunga. Iske aapka account ICICI bank me hona chahiye.

   Sabse pahle google play store me jaakar ICICI Imobile app dowload kariye. Online transaction sikhcne se pahle aapko is baat ka vishwas rakhna ho ki ye app bilkul safe hai. Kyoki jyadatar log is wajah se online transation nahi karte ki kahi unka data chura kar koi unka paisa na uda de 😊




    ICICI Imobile app puri tarah secure hai. Aapko btane ae pahle maine isase transaction bhi kia hai. So dont worry.

    App download karne ke baad open kare

   Ise open se karne pahle dhyan dijiye ki aapka jo mobile number aapke ICICI account no. Ke sath registered hai. Wo number aapke isi mobile me lga ho jis par aap internet chla rahe ho. Or slot1 me yani ki sim 1 ki jagah par ho.

  Open karne ke baad 2 step me apna mobile number verify kare.

Ab login PIN me apna ATM pin daale. Ye isliye kyoki aapko yaad rakhne me aasani hogi or regiatration bhi jaldi ho jayega.

Ab aapke samne ek window khul ke aayegi. Isme dekhe ki neeche A se P tak ke alphabate me se koi 3 alphabate likge honge.

Exmpl- A   B   C  ya    F   J    D
 ya kuch bhi aa sakta hai.

Ab aapko apna ATM card jeb se nikalna hai. ATM Card ke pichhe wale hisse me dekhiye.

A   B   C    D   E   F    G    H
I    J    K    L     M    N   O    P

Aisa likha hoga or inke sath 2- 2 number bhi likhe honge.
Ab dekhiye aapke mobile screen par kon se 3 alphabate dikh rahe hain.

Suppose ki  -   F   B    P -  likha hai to apne ATM card ke inhi alphabate ke sath wale number inme bhar de. Or apply ya register par click kare.

Congratulation. Aapne safely proccess pure kar liye hain.

Ab aapko kisi ke account me paise bhejne hain

Fund transfer ke option par jaaye.





Add new payee click kare.



Other bank par click kare

Jise paise bhejne hain uski detail bhare.

Payee Account name- ( jo account me wo hi daale)

Payee Account nickname- ( kuch bhi daal de)

Account number - ( Dhyan se daale)

Confirm Account number- ( dobara daale )

Ifsc code -

1. Agar aapko maoom hai to daal de

2. Nahi maloom to is par click kare

  City ka nam daale

 Bank ka naam daale.

Get Ifsc par click kare. Or show ho rahe code me se apne city ke naam se code choose kare.

Submit par click kare.

Ab fund transfer ka option aapke saamne hai.

Add payee par aapne kaam kar liya hai.

Ab amount daale. ( Mee hisaab se pahle 100 ya 200 hi transfer kare ) taki aapko yakin ho jaye.

Remark ko khali chhod de.

Ab transfer par click kare.

Congratulation. Apne safe online transaction kar liya hai.

Apke registered mobile number par debited balance ka msg aa gya hoga. ( Dhyan rahe har transaction par 5.75 Rs. charge katega.)

Agar koi pareshani ho rahi ho to comment kare.

Comments

  1. me jab bhi fund transfer karna cha rha hu to sari ditel bhaene ke bad bhi not rikord found aa rha he

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aisa nahi hai. Agar aapki detail sahi haior aap is ICICI app Imobile ka upar diya process follow karke paise transfer kar rahe hain to ye asani se ho jayega. Ek baar aap fir se padhe or fir try kare

      Delete

Post a Comment

Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.