X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Mobile par professional looking bill invoice kaise bnaye

 Jis tarah in dino cashless transaction bahut hi jor shor se chal rha hai. Ab aapko jarurat hai paperless billing se len Den Shuru kar dena chahiye. Agar aap cashless transaction karne lage hain to uska bill bhi Dena Padega To kyu na transaction mobile se ho raha hai to bill mobile se hi aye or jaye. Professional look wala bill mobile me kaise kare.

Isme sabse badi pareshani hai ki bill ka format mobile me kaise bnayenge. Or fir send karne ki dikkat se kaise nipatenge.





Aaj mai aapko in sab problems ko ek sath finish karne ka aasan sa tarika btata hu. Mai aapko ek aise app ke bare me batunga. Jisase aap online marketing kar rhe ho ya offline marketing. Aap apne mobile me bill invoice ready kare,send kare, bill piad ya unpaid ka seal use kare ya payment remainder dekhe. Ye app kisi bhi tarah ke selling ka full solution hai


To ayiye dekhte hain

Mobile phone ko bill maker kaise banaye

Step 1:- Bill invoice app ko aap yahan se download kare



http://viid.me/qtDgSz


Step 2: - App ko open kare or apne google ya facebook ke sath login kariye. Agar google account nahi hai to yahan padhe

Google account kaise banana hai.


Step 3:- Ab apna wo mobile number fill kare jis par aap bill payment ya invoice delivery ka message details dekhna chahte hain. ( Aap jo bhi number yahan fill karenge usi par aapke bill se related sare message ayenge)

Step 4:- Aapne jo number fill kia hai us par ek OTP receive hoga. Use copy kare.

Step 5:- Ab app par wapas aakar OTP paste kar dijiye. Or continue par click kar dijiye.

Aapka account ban gya hai.




Step 6:-  Ab aap jis tarh ka bill format ready karna chahte hain use select kare. Ya agar aap apne logo ke sath bill banana chahte hain to Select company logo par click kare. Or apply kar dijiye.

Ab aap samne main page open ho gya hai. Ab aap chahe to + par click karke new bill create kar sakte hain. Lekin isase pahle kaam ko kuch or easy kar lete hain.


Step 7:- Page me upar right side me dikh rahe 3 dots par lick kare or setting me jakar apni biling information ko update kare



Step 8:- Ab aap diye gaye option me setting karke apne bill ki auto information set kar lijiye jisase ye aapke bill create open karte hi automatic aa jayegi.

  • Proflie- Agar aapse profile me koi galti ho gayi ho to yahan se correct kar sakte hain.
  • Bill Formats- Yahan se kabhi bhi bill format change kar sakte hain.
  • Notification- Bill sending ke liye notification on ya off kar sakte hain
  • Reminders- Yahan ap paymwnt ke liye remainder lga sakte hain
  • TAX- Is par stock ke hisab se lagne wale TAX set kar sakte hain. Jisase automatic wo apke har bill me include ho jayega. Aapko bar bar nahi lagana padega.
  • Send SMS- Aap kisi ko bhi uske bil ke regarding message bhej sakte hain
  • Update  Number- Aap chahe to number badal sakte hain
  • Bill Remark- 
  • Set due days- Payment day or due day set kariye
  • Set currency- Ise aise hi rahne dijiye





Step 9:- Ab main page par aakar + par clik kare. Ab apne sale item se related besic information bharte jayiye or kuch is tarah ka oficial look wala bill payiye.



Aisa bill aap aksar bade shop ya restorent me dekhte honge. Jo ki computer se banaye jate hai lekin ab aap ise sirf apne mobile se generate kar sakte hai.


Momobills ke saath aap kisi bhi tarah ka bill bnakar easy send kar sakte hain. Agar aap iski hard copy bhi rakhna chaht hain to aasani se printer ke sath mobile ko connect karke print kar sakte hai. Waise ye app paperless bill ko badhawa dene ke liye hai. Ise aap puri tarah khatabahi ke roop me use kar sakte hai. Jis par kisi bhi len den ka pura lekha jokha rakh sakte hain. Saath me reminder jaisi facility aapko update rahne me help karti hai.

Main page me aap chahe to summary me click karke apne purane len den ko kabhi dekh sakt hain.


Comments