X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Mobile screen me ad rha hai. setting kaise kare.

    Kya aapke mobile me chalte chalte achanak bar bar front screen me advertisment ( Ad ) aa rha hai or aap sab kuch karke pareshan jo chuke hai lekin fir bhi thik nahi ho rha. To aayiye jaante hain ki ise kaise thik karna ya kya seting me gadbadi hai jo hame samajh nahi aa rha.


   Ajkal ye problem common ho gayi hai. Kabhi kabhi to aapko pta bhi nahi chalta or bina matlab ke kayi apps automatically download hone lagte hain. Or aapko samajh nahi aata ki aisa kyu ho rha hai. Pareshan hokar aap apna mobile kayi baar restore kar dete hain. Setting ki saari khojben kar lete hain lekin ye problem as it is bani rahti hai.

   Sabse pahle iska reason janiye ki ye kyu ho rha hai. Aap play store se bahut se game ya app download karte honge. Jahan tak mera manana hai ki free game ya free app hi download karte honge.

    Main aapko btata hu ki free app me hamesha ek notice likhi hoti hai Contain ads . Ji haan dhyan dijiyega contain ads likhi huyi notice hoti jo apne dhyan nahi diya hoga.




    To agar apne koi aisa game download kia to aise app open ya close karte hi ad show karta hai. Jaisa ki upar pic me diya gya hai. Screen par aane wala ad bhi isi wajah se show ho rha hoga.

    Lekin jarui nahi ki ye ad isi wajah se a rahe hain. Fir bhi ap inhe delete ya uninstall karke dekh sakte hain. Agar ab bhi problem solve nahi ho rahi to aayiye btate hain ye kyu ho rha hai.

     9apps ka naam to aapne suna hi hoga. Agar aapne ye app download ki hai ya pahle kabhi kiya hoga to ise turant delete kar de. Ye app aapki mobile ki setting me turant data or cache ko catch karta hai. Or aap kuch bhi kar le ad ko show hone se nahi rok sakte.

  Isliye sabse pahle ise uninstall kare or file manager me jaakar bhi delete kar de.

    Iske baad bhi agar ad show ho rha hai or aapki problem solve nahi ho rahi hai to aapke paas ab 2 hi raste hain

    Pahli ye ki kisi mobile software repairing center jaye or thik karaye 😊

 Lekin ek rasta or hai - check kre ki aapke mobile me system update available hai ki nahi. Agar aapko phone update kiye huye kafee time ho gya hai ya aapne abhi tak ek baar bhi update nahi kiya hai to jarur available hoga. Iske liye

  ∆ menu se setting me jaye. Fir About phone me jaye. Ab software update me jaye. Agar software update available show kar rha hai to turant software update kar de. I am 100% sure ki ab aapki problem solve ho gayi hogi.

   Agar aapko kuch bhi samajhne me pareshani ho rahi ho to comment karke puch sakte hain.

Comments

  1. Hamne ek click & earn naam ki app download ki thi. Is app ko uninstall kar diya hai. Fir bhi mobile screen par kabhi bhi add aa jate hain. Yahan tak ki homepage par bhi. Agar software updated ho. To kya kare ? Kya mobile restart kar lene se, add aane band nahi honge ?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar software updated hai to is post me or bhi tarike bataye gaye hai ln use try kariye. Fir bhi na thik ho to ek baar ye follow kare setting> Apps> Google play store. Ab data clear karke dekhiye ad aana band ho gya hoga.

      Delete
  2. Play store data clear karne se bhi nahi hua. Kya phone restore karne se kaam nahi banega?

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap apna important data kisi memory me save karne ke baad phone factory reset karke dekhiye. I think ye work kar jaaye

      Delete
  3. Mere mobile me bahut ad aata hai or mene apne mobile ko update bhi kar liya hai but fir bhi ad aata hai...
    Mere phone me 9apps bhi nhi hai..
    Ab me kya kru..
    Ad kese bnd hoga..

    Aapne bola hai ki update krne ke baad 100% ad bnd ho jayega..
    To mera kyu nhi huaaa....

    ReplyDelete
  4. Screen pr bahutadd a rhi hai kya kru

    ReplyDelete
  5. Mobile ply store khud hi khul jata hai aur app download hone lagti hai

    ReplyDelete

Post a Comment

Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.