PayTM kaise use kare. paise add or transfer kaise kare.dusare mobile me PayTM se paise kaise bheje.
Updated paytm payment bank jankari
Ayiye dekhte PayTM ko use karte hain isme apna account kaise add karte hain ya bina account add kiye wallet me paise kaise add karte hain. Kaiise kisi dusre number ya account me bhejate ya transfer karte hain. How to use Paytm, add money and transfer money safely.
Sabse pahle Yahan click karke Paytm download kariye
PAYTM APP DOWNLOAD
Ab app open kariye. Agar aapne pahli bar install kia hai to apki screen par direct sign up ka option aayega or agar aapne pahle kabhi install kia hoga to direct main page open hoga. jaisa neeche dia hua hai
Main page par aap pay par click kariye( naye users ko ye karne ki jarurat nahi)
Ab jo page khula uska process dhyan se padhiye sath me karte jayiye.
Sign up par click kariye
Ab apna Mobile number dale. Apna naam dale.Date of birth dale or gender dale.
Mobile No. dal kar Password daliye. or sign up par click kar de.
Ab aap ke mobile me ( jo number aapne dala hoga us par ) ek msg hai. ye OTP hai ise . is OTP no. ko ab jo page khula us par fill kariye.
or verify par click kariye. Bas aapka PayTM account ban gya hai or kaam karne ke liye taiyar hai. Ab aapko jarurat hai is PayTM wallet me kuch paise dalne ki jise aap kahi kharch karna chahe to kar sakte hain. Dekhte hain ki Paise kis tarah se add kiye sakte hain.
Paytm me Paise ( money) kaise add karte hain.
Sign up karne ke baad aap Paytm ke main page par pahuch gaye hain. Agar Main page nahi khula hai to sign in likha hua dikh rha hoga. us par click karke apna mobile number jo aapne dia hai. use daale or password wahi dale jo aapne abhi bnaya tha.
Sign in ke baad main page khul gya hai. Ab add money par click akriye. Aapke samne niche di gayi screen open ho jayegi.
ab apna debit card matlab aapka atm card nikale or jahan card number likha hai wahan apne atm card ke saamne wale hisse me ( Front par ) jo number likhe hain. Use yahan bhariye.
Iske baad aapke card me expiry date hogi wo daliye. ya ho sakta hai expiry date ki jagah till upto likha ho. jaisa bhi likha ho agle option me daal dejiye.
Ab apna card palatiye. Aapke card me 4 or 3 number alag alag likhe honge. agar dikh rha hai to jo last 3 number hain. wahi aapka CVV number hai ise tisare option me daliye.
Ek baat ka hamesha dhyan ye detail kabhi bhi kisi se online ya offline share na kare nahi to apke account balance se tempering matalab chedchad hone ka khatra hai. Koshish kare ye sara kuch dhyan se padh kar aap akele me hi kare kisi ke saamne baith kar na kare. Agar samajh na aaye to comment box me puchhe. lekin dhyan rahe kabhi jo 3 step( Card no. , Expiry date, or CVV) share na kare or na hi comment box me likhe)
3 step pure karne ke baad aap paynow par click kare. Ab apne jo amount ( paisa ) fill kia tha wo aapke bank account se kat ( deduct ) ke aapke PayTM account me credit ho gaye.
Ab baari hai ki hame kisi ko paid karna hai yani ki agar kisi ke PayTM account me transfer karna hai to kaise kare. Chaliye ise bhi sikhate hain.
Ab baari hai ki hame kisi ko paid karna hai yani ki agar kisi ke PayTM account me ya bank account me transfer karna hai to kaise kare. Chaliye ise bhi sikhate hain.
Paytm se dusre account me money transfer kaise kare.
Pay ya transfer karne ke liye dubara main page par aayiye or pay likhe huye option par click kariye. Ab yahan jo shuru ke 2 option jo aap dekh rahe hain wo paise dene ke hain or teesra option paisa lene ka or 4th wala pending amount. So pay ya transfer karne ke liye aap mobile number wale option me jayiye saamne wale ka mobile number puchiye, amount daliye or pay kar dijiye.
Ab mobile number ke alawa ek or tarika dekhte hain. ye tarika QRcode ka. Ye iasi pic jaisa hoga jo neeche di gyi hai. Kayi jagah jaise petrol pump ya mall jaisi jagaho par ye QR code bade design me bane hote hain. or samne wale ke mobile me show Code me mil jayega. Pay ya transfer karne ke liye scan code par click kare. aisa code scan kare, amount dale or pay kar de.
Ye to tha ki kaise aap PayTM se len den kar sakte hai. Kaise kisi PayTM me paise dalne hain or kaise transfer ya pay karna hai. isake alawa PayTM me bahut si chine hain. Jaise aap chahe to PayTM se shopping bhi kar sakte hain. M0bile ya Dish recharge kar sakte hain. kisi bhi tarah ka bill pay kar sakte hain. Or agar aap PayTM se kamana bhi chahte hain to meri purani post padh sakte hain.
Ye bhi padhe:-
Paytm seller se paise kaise kamaye
To dekha apne Paytm use karna kitna aasan hai. Isase kisi se bhi paise ka len den asani se kia ja sakta hai. Agar aapko fir bhi koi dikkat hai to comment karke puchh sakte hain.

Hi...!!!
ReplyDeletePaytm is a best online shopping sites to shop under various categories. Overall paytm avail 100% cashback sale during festival celebrations. Nice information regarding Paytm Recharge Offers