X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Blogging Website kaise banaye.

Agar aap apni website banane ki soch rahe hain to aapke mind me ye baate jarur aa rhi hongi.

  • Website kya hai.
  • Website banane ka tarika kya hai.
  • Start kahan se kare.
  • Kaun sa platfarm sahi rahega.




Blogging ya website bnane ka khyal tabhi aata hai jab aapke ander blogging ka passion ho. Aap jo jaante ho use duniya ko batana chahte ho. Aur sath me Duniya ke samne khud ko ek kabil or prasidh person ke roop me lana chahte hai. Last me baat aati hai blogging ke sath kamayi karne ki.



Blogging platfarm ke liye maine apni pichli post me bataya hai. Jisme maine 6 best paltfarm diye jahan aap apne budget ke anusar start kar sakte hain. Agar apne wo post nahi padhi hai to ab padh lijiye or kud choose kariye ki aapke liye kaun sa platfarm behtar hai. Yahan padhe

6 behtar blogging platfarm. Apni website ke liye chune ek badhiya aadhar.


Website bnane ke liye mai aapko salah dunga ki aap blogger me start kare. Ye bilkul feee hai or isme lifetime hoating ka koi charge nahi hai. Ye google ka hi ek part hai or is par bnayi gayi website ya blog ko jaldi hack nahi kiye ja sakte. Matlab agar ap is par apni site bnate hain to security issue bhi kam hai.

To chaliye dekhte hain ki

Blogger me website (blog) kaise banate hain

Sabse pahle apne computer par browser open kariye or google search baar par ya direct url blogger.com daliye.

Ab aapke samne google ki site khul ke samne aa gayi hogi jaise maine niche pic me dia hai. Ab aapko apni gmail id se sign in karna hai. Agar aapne gmail id nahi banayi hai to niche click karke bna sakte hain

Gmail Id kaise banaye.

Gmail id se sign in karne ke baad aap sidhe blogger ki site par pahuch jayenge. Ab create a blog par click kariye. Ab aapke samne bloger ki site open hokar aa jayegi.


Ab niche pic me dekhiye jahan New blog likha hai wahan click kariye




Ab niche di huyi pic ki tarah aapke samne ek pop up box khul kar samne ayega.




  • Title daliye ( Jo aap apne blog ya site ka rakhna chahte hain)

  • Ab site ka naam daliye jo kuch is tarh ka ayega (ABC.BLOGSPOT.COM) jisme ABC aapke dwara dala hua hai or baki blogger ka main domain hai. Is tarah ke blog ya site name ko sub domain kahte hain. Address dalte hi agar aapka domain available hoga to niche right tick ka nishan aa jayega. Nahi to not available likh kar ayega. Agar not available aa gya to aap kuch addess ya subdomain choose karna padega. Jaise ki aap upar photo me dekhiye maine dala hain Meribhasa.blogspot.com  dala hai jo kayi subdomain ya address check karne ke baad aayi. 

Domain purchase kaise kare



  • Template choose kare. Jo bhi template aapko abhi thik lage aap choose kar lijiye baad me purchase kar ke change kar aakte hain. Isase aapke blog me koi bura asar nahi padta. Aap kabhi change kar sakte hain.

  • Ab create blog par click kare

Congratulation aapne apna blog bna liya hai. 

Blogger me Nayi post kaise likhe


Ab aapko apna pahla post karna hai. Blog banne ke baad apki screen me blog ka menu aa gya hai. Ab niche pic me dekhiye jahan New post likha hai wahan click kare.






Ab samne niche dia hua page khul kar aa gya hai.



Ab post title ki jagah par Aap jo post likhna chahte hain. uske hisab se title likhiye. 


Niche apni post likhiye. Post complete karne ke baad page ke right side ( Dayi taraf ) me dekhiye. Aapko post setting ka option dikhega. Post setting me aap post ko label ya tag de sakte hain. Uski post timing schedule set kar sakte hain. Apne post preview dekh sakte hain ki aapki site me aapki post kaisi dikhegi or kahan galtiya hai jise wapas post me aakar sahi kar sakte hain. 




Ab publish par click kar dijiye.

Congratulation aapne apne website ki shuruaat kar di hai. I wish ki aapka blog safal ho or aap bulandiyo ko chuye. Aapko ye post kaisi lagi comment karke btana na bhule.


Comments