X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

YouTube se video download kaise kare

Agar aap youtube par video dekhate hain to jarur aapko koi video pasand bhi aati hogi or aap download karne ki sochte bhi honge. Chaliye aapko youtube se video download karne ka tarika btate hain.

Aayiye dekhte hain ki youtube se video download kaise kare.




Iske liye aapko youtube ko kisi browser me chalana padega.

Chaliye Google chrome me open karte hain. Aap niche pic me dekhiye maine google chrome open karke sony tv ka ek programme Beyhad search karke play kiya hai.




Ab mera man is video ko download karne ka ho gya hai. To ab ham start karte hain. Aap iske jagah par koi song video download karke dekhe.

Upar di huyi pic me dekhiye. Jo video chal rahi hai uski url (browser ke top par jahan website ka naam hota hai ) pahle kuch or tha jaise ki
Http://m.youtube.com/baki jo bhi ho

Upar maine use change karke mark kia hai. Dhyan se dekhiye. Ek ek dot dhyan se dekhiyega nahi to ye kaam nahi karega.

Http://m.  Ko hata kar http://ss ya ss likhna hai.

Jaise ki

Http://ssyoutube.com

Ssyoutube.com

Baki url me kuch change nahi karna hai. Ise change karke aap browse kar dijiye aapke samne niche di huyi screen khul jayegi.



Ab pic me maine jahan click kiya hai wahan par click kariye. Aapke samne kayi option a jayenge jisase ki aap is video ka 3gp, Mp4, AudioMP4,format me se kisi me bhi download kr sakte hain.

Ye bhi padhe:-

Youtube par bina download kiye offline video dekhne ka tarika. Save data.

 To friends aap bhi apni man pasand video download kariye or ye informaton aapko kaisi lagi. Mujhe xomment karke btana na bhule

Comments