X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Aadhaar card me apna mobile number kaise add kare

Aapke aadhar card me koi mistake hai to aap use online correct kar sakte hain. Lekin uske liye aapka Mobile number aapke aadhar ke sath juda hona chahiye. Agar aapne apne adhaar ke enrollment ke time apna mobile number add nahi karaya hai to isme huyi kisi bhi tarah ki gadbadi ka aap ab online correction nahi kar sakte. To aayiye dekhte hain apne mobile number ko aadhaar card ke sath kaise jode.




Aadhar card India me apni pahchan ka sabse importand document ban gya hai. Bank me account khulana ho ya PAN card bnana ho, Mobile ki sim line ho ya koi or ID and address proof bnana ho aadhaar card har jagah kaam ata hai.

Mobile number ko aadhar se online joint karne ki suvidha filhaal abhi band kr di gayi hai. Iske liye aapko card banwane ke samay hi dhyan se ise add karana hota hai. Lekin agar aap bhul gaye ya chhut gya hai to ye option hai aap ke paas


Mobile number ko aadhaar card se add karne ke 2 tarike


1. Aadhar enrollment center me jayiye. Or mobile number add karne ki ek request apply kariye.

2. UIDAI ke website se AADHAR enrollment form download kariye. Form fill karke aadhar center ko post kar dijiye.


Mobile number ko aadhar card se kaise jode

Step 1:- Niche diye gye link se enrolment form download kariye.

Aadhaar enrolment/correction form



Step 2:- Form fill kariye. Ye form new adhaar card enroll karne me ya purane card ko correct karne ke done ke kaam me aata hai. Agar aapko apna mobile number add karna hai to sabse upar apne card ka EID no. or apni baki details bhariye.




EId no. Aapke aadhar ke sath diya gya hota hai jo 14 number ka hota hai. Ye adhaar number se alag hota hai. Samajhne ke liye niche pic dekhiye.


Step 3:- Form fill karke isi form me niche 2 address diye gaye honge. Unme se kisi me post kar dijiye.

Is process me thoda time lagta hai. Iska status aap check kar sakte hain. Isi post me niche link me click karke us post ko padhe.


Aadhar card me mobile number change kaise kare


Agar aapne aadhar enrollment ke time me ya baad me apna mobile number add kar diya hai to aap ise kabhi bhi online change ya edit kar sakte hain. Edit karne ke liye niche diye gaye steps follow kare


Step 1:- Niche diye gaye link par clik kariye

Mobile number change/edit


Step 2:- Ab jo page open hoga usme empty box me apna aadhar number daliye or security code dalkar send OTP par click kariye.





Step 3:- Aapke mobile ( Jo aapke aadhar ke sath registered hoga)  me ek code ayega. Ye code dalkar verify kariye.

Step 4:- Ab jo page open hoga usme kayi option honge. usme se mobile wale option me tick karke submit par click kar dijiye.

Step 5:- Ab aap apna new mobile number daliye or proceed par click kar dijiye.


Aapka mobile number 7 dino ke andar change ho jayega. Aap apna mobile number updated adhar card ka status check karna chahte hain to ye post padhe



  • Aadhar card me apna name, email, gender ya address kaise correct kare.




Jab aapka aadhar card update ho jaye to aap ise download kar sate hain. Download karne ke liye ye post padhe


Aadhar card se judi kisi bhi tarah ki jankari aap is website me Aadhar card ( eaadhar ) solution category me jakar le sakte hain. Ye jankari aapko kaisi lagi. Comment box me batayiye.

Comments

Post a Comment

Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.