X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Android mobile me Calling ya Dialer option gayab kaise kare

Friends aapke mobile phone me hi kuch function aise hote hain jiske baare me aapko khud nahi pta hota. Aisa hi ek function hai ki phone me se dialer ya calling app ko invisible kaise kar sakte hai. Dosto dialer ko chipane ya gayab karne ka tarika aapke mobile me hi hai. Iske liye aapko alag se koi app install nahi karni hai.





Agar aapko lag rha hai ki mai kisi app hider ya app locker ki baat kar rha hu to aap galat soch rahe hain. Mai aapko aapke hi mobile function ke baare me btaunga jise aapne ya to kabhi use nahi kiya ya to kabhi dhyan nahi diya.

Isase aap kuch aisi pareshaniyo se bach sakte hain jisase chah kar bhi nahi bach paate the. Aap kitna bhi app lock kar lijiye ya phone lock kar lijiye lekin un logo se nahi bach paate jo aapka phone mangkar jabardasti ya to call karte hain ya aapki calling history ya information dekhte hain. 

Is trick se aap apne mobile ka dialer tab tak ke liye gayab kar sakte hain jab tak ap khud ise dobara visible karna na chahe. Ise aap apne phone me karke to advantage le hi sakte hain saath me kisi or ke mobile phone ko 2 minute ke liye lekar uske saath prank bhi kar sakte hain.

To aayiye dekhte hain ki

Phone ka dialer kaise gayab ya hide kare

Sabse pahle apne mobile ke seting me jayiye


Setting me jaakar aapko Apps ya Application ya Application manager ( Har mobile me alag alag hota hai ) me jayiye.

Application manager me aapko All apps par click karna hai

All apps me aapko Dialer ya Phone ya Caller ( Inme koi bhi aapke mobile me ho sakta hai) ka option search karna hai. Agar sare apps alphabetically aa rhe hain to D ya P ya C se start hote hi dikh jayega.

Lekin Kisi kisi mobile me dialer ka option assani se nahi milta isliye aapko running apps, all apps or system apps sab me jaakar dekhna padega. Kisi na kisi me mil jayega.

Dialer  ke option ko search karke ab us par click kariye


Ab aapke saamne Disable or force stop ka option dikhega.

Disable ke option ko select kariye.

Ab setting se bahar nikal kar main screen par aayiye or dialer ka yani jahan se aap call karte hai ya call history dekhte hai, uska option dhudiye.

Calling ya dialer ka option gayab ho chuka hai. 😊 
( Ye trick sumsung ke kuch device ko chhodkar baki saare android mobile me work karti hai )


Agar aap sach me excited hai to abhi asli mja baaki hai mere dost.

Kisi or number is number par call kariye jo aapne is mobile me lga rkha hai.

Aapki call ja rahi hai lekin aapke is mobile me ring nhi ho rha hai. Or jaise hi dusre phone se ring jana band hoga. Aapke is mobile me missed call ka notification aa jayega. 

Ye to bilkul hi kamaal hai. Lekin agar aap ise band karna chahte hai to aayiye dekhte hai ki 

Phone me calling ko band kaise kare
Simple hai agar aap apne mobile se caller ra dialer ka option gayab karna chahte hai to sim ko thodi der ke liye off kar dijiye.

Iske liye aap setting me jayiye

Setting me Sim card option select kijiye

Ab sim slot par off ya flight mode kar dijiye.



Android me bina dialer gayab kiye incoming call notification off ya invisible kaise kare

Aap chahe to is trick se kisi ko bhi prank kar sakte hain. Sirf 1 minute kisi ka android phone lekar aap aisi setting kar sakte hain ki dialer to gayab ya invisible nahi hoga lekin uske phone me aane wale incoming calls ka notification nahi aayega. Matlab call karne wale ko ring jati huyi sunayi padegi lekin is mobile me koi call aati huyi nahi dekhegi or ring khatam hote hi is phone par missed call notification aa jayega.

Aayiye dekhte hain kaise karna hai

Upar diye gaye dialer gayab karne ki trick ke process se dialer option par jayiye.

Ab Dialer open hone par  Notification ka ek option aayega. 

Notification par click kariye. Block all ka option dikhega.

Ab Block all ko on ya active kar dijiye.

Congratulation ab aapko Dialer ya Phone ya Caller app ki koi bhi notification show nahi hogi. ( Ye trick lagbhag har android phone me work karti hai)


To dosto aapko ye trick kaisi lagi ye btana mat bhuliyega. Comment karke apne experience share kare. Is trick se aap apne friends se maje jarur lena chahenge or shayad isliye is post ko abhi share na kare. Lekin prank ke baad jarur share kare. Tab tak please dusri tricks or post ko padhiye or share kariye.

Comments