X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Ek achi or perfect patni ( wife ) kaise bane

Har ladki ke mind me ye khyal ata hi hai ki' meri shadi hone wali hai mera sasural kaisa hoga, husband ya jeevansathi kaisa milega. Saas sasur kaise honge ya baki ki family wale kaise honge. Sabse aham sawaal hota hai ki mai ek achi patni ya wife kaise banugi. To aayiye dekhte hain ki ideal wife me kya lakshan or gud hote hain.

Jeevan ke har kshetra me insan ko khud ko sabit karna padta hai ki wah kis riste par kitna khara utarega. Purosho ko mahilao ke mukable me aisi situation kam face karni padti hai. Jabki mahilaye apni puri life me aisi situation se kayi baar gujarti hai. Isi me ek hai jab kisi ladki ki shadi hoti hai or use apne pati ke sath nayi life start karni padti hai. Tabhi ladaki ke upar ek dam se patni ke kartavya ka bojh aa jata hai.


How to be an ideal wife


Waise to aajkal love marriage bhi kafee hone lage hain jisme ladka or ladki ek dusare ko achi tarah jante hain. Lekin arrange marriage aaj bhi kafee success mani jati hai. Lekin ek achi patni banane ya sabit hone or pati ko khush rakhne ka khyal har ladki ke dimag me aata hi hai chahe wo love marriage ho ya arrange. Ye kuch tips follow karke aap apne pati ka dil aasani se jeet sakti hain or ek adarsh patni ke roop me khud ko sabit karti hain.

1. Pati patni ka pavitra rishta dagdar nahi ho

Shadi ke baad kisi bhi tarah ke purane relationship me rahna matlab aap apne pati ko doha de rahi hain Ladka ho ya ladki college tak pahuchte- pahuchte kisi na kisi relation me aa jate hain. Agar aapki shadi usi partner se ho jati hai jiske saath aap relation me hain tab to aap lucky hain. Lekin agar aisa nahi hota hai to aapko jra sambhalna pdega.

More important topics





Ek baar relation me hona fir use puri tarah life se erase ( mitana)  kar pana kafee muskil hota hai. Use bhulna namumkin sa hota hai. Lekin ye apke marriage life ke liye bahut hi jaruri hai. Koshish kare ki agar aapka shadi se pahle koi or boyfriend ya girlfriend hai to is rishte ko puri tarh yahin par khatam kar dijiye. Kyoki aisa relation ladka ho ya ladki kisi ko bhi nahi pasand ki uska pati ya patni kisi or ke sath sambandh rakhe. Isliye shadi se pahle aap aise rishte ko viram de dijiye.

2. Pati ko khush rakhe 

Aapki shadi ko 1 din huye ho ya 1 saal ya 10 saal pati ko khush rakh kar hi aap ek perfect wife ban sakti hain. Pati ko khush rakhne ke liye aapko kuch khas nahi karna. Ek wife ko uske husband ko khus karne ke liye kya karna hai ye batane ki jarurat nahi hai. Haan unke pasand napasand ka khyal jarur rakhe

3. Ghar ke baki logo ka bhi khyal rakhe

Isase aap ek achi bahu hi nahi ek achi insan bhi kahlayengi. Ghar ke baki logo ko sath agar aap acha behaviar rakhegi to iska asar bhi indiectly aapke pati par hi padega. Jab aapki tarif aapke pati ko kisi or ke muh se sunane ko milegi to unki najar me aapka maan apne aap badh jayega.


4. Faltu ki jarurate na badhaye

Aksar kharche kmaayi ke hisab se badhte hi jate hain lekin fijul kharchi kisi ko bhi achi nahi lagti. Isliye jab soch samajh kar kharch karne wali wife mil jaye to husband ki kismat hi khul jati hai. Mehnat ka fal mitha hota hai lekin wahi fal jab soch samajh kar kharch kiya jaye to uska swad or bhi meetha ho jata hai.

Agar aap bhi job karti hai to ye na soche ki ye aapka paisa hai or jahan marji kharch kar sakti hai. Agar aisa kar rahi hain to aap galati kar rahi hain. Hawa pani or khane ke baad paisa hi jeene ke liye sabse badi jarurat hai. Har paisa chahe wo jiska ho ek dusare ke aapsi samjhaute se hi kharch kare

5. Vyavhar saral rakhe

Ye bahut hi badi baat hoti hai. Bolne ke sath sath tone ka bhi dhyan rakhe. Aksar log bolna to kuch or chahte hai lekin unki tone aisi hoti hai ki samne wala unki baat ka matlab hi kuch or nikal leta hai. Agar aapne aaj tak apni tone par dhyan nahi diya to ek baar jarur dijiye. Agar aapki awaj mithi hai to tone sone pe suhaga ka kam karti hai. Kuch logo ko aisi kala me maharath hasil hoti hai ki wo kisi ko kadwa bhi mithi tone me bol jate hai or saamne wala bura bhi nahi manta.

Filhal apko kadwa nahi bolna hai. Bas apni batcheet ka tarika bilkul hi saral rakhe. Isase aapke pati aapko kisi se bhi baat cheet me rok tok nahi karenge.


6. Galtiya na kare or pati ki galtiya na ginaaye

Ye sirf aap hi nahi aapke pati par bhi lagu hota hai. Koshish kare ki roj roj ki chhoti moti galtiyo ko karne se bache. Aapki roj ki galtiya agar aapke pati ignore bhi kar rahe hai to bhi ye na soche ki sab normal hai kyoki brabar aisa hoga to aap jyada din isase bach nahi payengi or ho sakta hai baat galtiyo se baatcheet or fir ladayi tak pahuch jaye.

Isake sath hi pati ho ya patni choti moti galtiyo ko na hi dimag me rakhe or na hi unhe kisi baat chit ke dauran ginaaye kyoki  aisa karne par baat badhti hai or bigadti hai. Dhyan rakhe anaitik ya unethical galtiyo ko ignore bhi na kare. Aisa koi bhi kaam jo aapke bhavishya ke liye sahi nahi hai uska aap virodh kar sakti hain ya us par aasani se baat kar sakti hain.

7. Subah ki shuruat ek pyari si muskan se kare

Kahte hain din ki shuruat achi ho to sara din acha jata hai. Isliye kabhi bhi din ki shuruat khrab mood se or khrab si shakl bna kar na kare. Kisi ke bhi samne ek pyari si muskan lekar jaye. Khaas kar apne patidev ke samne jane se pahle is baat ka dhyan rakhe. Kyoki aapki muskan unka din bna sakti hai.


8. Pati ko kaboo me karne ki koshish na kare

Kabhi bhi ye na soche ki aapke pati aapki kabu me rahe kyoki aisa karne se hamesha unki kaam ya business me tarakki me fark pdta hai. Jab insan apni soch se chalta hai tabhi uska present of mind kaam karta hai. Agar wah kisi par nirbhar ho jate hain to decision making person nahi rah jate or iska effect sidhe unke career me pdta hai.

Aap chahe to unse baat cheet ke dauran unke sath unki problem ko samajhe or sulajhane me help kar sakti hain.

9. Romantic bane rahe

Jindagi me agar romance nahi hai to kuch nahi hai. Aapki umar 25 ho ya 50. Samay - samay par iska jaadu chalate rahe.

10. Kisi or ke sath tulna ( comparison ) na kare

Dusari friends ya padoshiyo ke pati kitna kamate hain, jaldi so kar uth jaate hain, picnic, picture lekar jaate hain, anniversiry, birthday yaad rakhte hain. Aisi baate aksar patniya apne patiyo se karti hain. Jo ki unhe kabhi nahi karna chahiye. Aap unhe direct in kaamo ke liye kah sakti hain lekin kabhi bhi kisi ke sath comparison karke na kahe. Ye bahut hi buri chij hai. Isase relation me asar pdta hai.


  Jeevan me aisi bahut si chhoti badi baate hain jisko dhyan me rakh kar aap ek adarsh patni ka darja pa sakti hain. Pati ko khush karna, santust rakhna ek bhartiya nari ke liye bahut hi aham baat hoti hai. I hope ki Ye tips aapko is kaam me madad kare. Agar koi khaas baat is post me chhut rahi hai to aap comment karke bataye.

Happy marriage life.


Comments