Google search console me blog (website) ko submit kaise kare.
Hello friends ! Aapne blog bna liya hai to ab aap ise search engines me submit karna start kar dijiye. kyoki search engines aapke blog ke liye pahla paydan hai or blogging me aage badhne ka tarika hai. To ayiye start karte hain Apne blog ya website ko Google search engine me dalne se. Ab question hai ki ise kaise add karte hain. Iske liye google ne search console bnaya hai. Aayiye dekhte hain google search console kya hai, isme blog ko kyo or kaise submit kare
Account bnane ke baad Google webmaster tool ya search console aapke blog ke liye ye kaam karta hai.
Agar aapko blog submission me kisi tarhah ki koi pareshani ho to aap comment karke puch sakte hain. Blogging se related nayi nayi post padhne ke liye is blog ko follow kariye ya subscribe karke har new post ki notification apne email box par payiye.
Thanks for reading. Kindly visit again.
![]() |
How to add blog in webmaster tools in hindi |
Agar aapne blog bnaya hai ya bnane ki soch rahe hain to isase related sabse important element ke bagair aapka iske bare me sochna bekar hai. Wo element hai TRAFFIC. Kisi bhi site ki sabse jyada traffic google search engine se hi aati hai. Agar aapne blog ya website bna liya hai or us par apna domain lga diya hai to ab aapko ise search engines me submit kar dena chaiye. Aap kisi bhi search engine ki impotance ko kam kar ke nahi dekh sakte hain. Lekin in sab me google ki ek alag hi jagah hai. Isliye apko sabse pahle isse start karna chahiye.
Kuch blogging platfarm automatic aapke blog ko search engines me submit kar dete hain. But usme kafee lagbhag 6 month se 1 saal tak ka time lag jata hai. Agar aap professional bloger banana chahte hain to aapko ye kaam turant kar lena chahiye. To ayiye dekhte hain ki
Kuch blogging platfarm automatic aapke blog ko search engines me submit kar dete hain. But usme kafee lagbhag 6 month se 1 saal tak ka time lag jata hai. Agar aap professional bloger banana chahte hain to aapko ye kaam turant kar lena chahiye. To ayiye dekhte hain ki
Google search console kya hai ye kon kon se kaam karta hai
Pahle iska naam google webmaster tools tha. May 2015 ko iska naam change kar diya gya. Webmaster (Web+ master ) ka matlab ek aise web developer ya web architect ya web adminiatrator se hai jo kisi web ya websites ke liye kuch khaas bato ka dhyan rakhta hai jaise - web ko design karna, revise karna, traffic examine or users ke comment ka reply karna.
Account bnane ke baad Google webmaster tool ya search console aapke blog ke liye ye kaam karta hai.
- Sitempap submit karna or check karna
- Crawl rate ki setting karna or check karna
- Googlebots dwara access ki ja rhi site ka view or statistics setting or cheking
- Blog ke liye Robot.txt file check or write krna jo galti se robot.txt dwara blocked kar di gyi hai
- Site se kisi bhi tarike se linked internal or external pages ko list krna
- Kisi link jise googlebots ko crawling karne me pareshani aa rahi ho uski list bnana, blog se related URLs ke errors ko bhi list karna or show karna
- Search engines me kon se keywords traffic lane me help kar rahe hain, check karna ( google analytics )
- Prefer domain setting, jo yah dikhata hai ki Search engine me aapki site kaise show hogi
- Post ke structure data element ko highlight kar pana jisase aapke blog par maximum hit ho.
- Google dwara aapke site par kisi tarah ki penalty ka notification dena. Matlab aapne google ki kon rules terms, conditions ta policies ko overlook kar diya hai, iska pta aapko lage or aap us par kuch action le.
- Listing or crawl list errors ko add, change ya delete karne ke liye access provide karna
- Rich card use karna, jisase ap apni post material ko sirf ek image ke through search engine me show kar sakte hain.
- Siteslink ko demote karna. Jisase aapki website me add others sitelink se aapke blog me effect na pade.
To agar ye tool aapke liye itna kuch karta hai to aayiy dekhte hain ki
Google search console ya websmaster tools me account kaise banaye or blog ko add kare.
Step 2:- Apne gmail account ko open kare, sign in kariye or niche diye gaye website link par click kariye.
Step 3:- Link open karte hi aapke samne google webmaster tools ki site open hogi. Lekin aapke id verification ke liye aapse re-enter password manga jayega. Password fill kariye or Sign in par click kariye.
Step 4:- Ab aap search Console me aa gaye hain. Aapke samne jo screen aa gayi hai us par ADD A PROPERTY ka option aayega or bagal me kuch space hoga. Us space me apne site ka full URL bhariye. Or add a property par click kar dijiye. Niche image dekhiye.
![]() |
Website name daliye.ADD A PROPERTY par click kariye |
Steo 5:- Add a property par click karte hi google par aapko aapki website ya blog verify karani padegi. Mai aapko iska sabse easy method btata hu. Jo page apke saamne khula hai. Us par Alternative method ko select kariye. Thik se samajhne ke liye niche di gayi image dekhiye
Step 6:- Alternative method ko select karke aapko HTML tag par tick karna hai. Jaise hi aap tik karenge ek script ya code likha hua milega. Aapko is code ko copy kar lena hai. Or is page ko abhi aise hi chhod dena hai. Verify par click nahi karna hai.
![]() |
Code copy kariye. |
Step 7:- Ab aap browser par new window open karke apne blog ka dashboard open kariye or template par jayiye. Agar aapka blog blogger.com par hai to aap niche image dekh sakte hain.
![]() |
Blog ki template setting me jakar edit kariye. |
Step 8:- Template me jakar edit template par click kariye or head search kariye.
Step 9:- head search karke cursor ko head ke aage le jayiye or enter dba akr ek line niche a jayiye. Ab jo code aapne copy kia tha use yahan paste kar dijiye. Or save template par click kar dijiye
![]() |
Search head & paste code |
Step 10:- Ab search console wale page me jakar verify kar dijiye.
Congratulation apne apna blog google webmaster tools me submit kar liya hai. Ab aapki website google search engine me aane lagegi. Aap search karke try kar sakte hain.
Webmaster tools me sitemap kaise submit kare
Ab aapko apne website ki sitemap submit karni hai jisase ki aapki sari post google kayde se index kar sake. Ek baar aapki sari post index karne ke baad google apne search me aane wale keywords ko aapke blog me recognize kar usase related post ko show karega. Sitemap submit karne ke baad aapki har post google me aane lagegi. Lekin search me top par aane ke liye jarurat hogi to aapke strong seo friendly content ki. Apne blog ke liye sitemap se related post niche padhe.
Webmaster tools me sitemap kaise submit kare
Ab aapko apne website ki sitemap submit karni hai jisase ki aapki sari post google kayde se index kar sake. Ek baar aapki sari post index karne ke baad google apne search me aane wale keywords ko aapke blog me recognize kar usase related post ko show karega. Sitemap submit karne ke baad aapki har post google me aane lagegi. Lekin search me top par aane ke liye jarurat hogi to aapke strong seo friendly content ki. Apne blog ke liye sitemap se related post niche padhe.
Agar aapko blog submission me kisi tarhah ki koi pareshani ho to aap comment karke puch sakte hain. Blogging se related nayi nayi post padhne ke liye is blog ko follow kariye ya subscribe karke har new post ki notification apne email box par payiye.
Thanks for reading. Kindly visit again.
I am regular reader of your blog and no doubt it all stuff is awesome. The best thing about your sharing and posting is that you always provide content that is helpful for both the newbie and experts. search digital marketing openings in hyderabad.
ReplyDelete