X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

IRCTC Account kaise banaye. Ticket booking kaise karaye

Online ticketing indian railway ke dwara pessenger ke liye ek tohfa jaisa hai. Lambi line, bheed bhad, time wasting se mukti or sabse jyada train information se related seva aaj hame IRCTC ke madhyam se mil rahi hain. Ab rail ki ticket book ( reservation ) karane se lekar train schedule tak aap kahi bhi bas internet se pta kar sakte hain.  To ayiye dekhte hain IRCTC kya hai, is par account kaise bnaye. Or mobile ki help se train ticket kaise reserve kare.

IRCTC account kaise banaye.

Indian Railway Catering and Tourism Corporation (IRCTC) 
Indian Railway dwara operated ek upsanstha hai jo online ticketing, catering, or tourism ki seva available karati hai.


How to create IRCTC account


IRCTC se ticket reservation bahut hi easy hai. Lekin aaj bhi bahut se log is par apna account bnane me fail ho jate hain or ticket reserve ya book nahi kar pate hain. Iska reason hai ki agar pura form 5-10 me complete karke submit nahi kiya gya to session time out ho jata hai. Agar aap ek baar me bina koi galati kiye ticket confirm karna chahte hain to is post ko ek baar puri tarah ache se jarur padhe. Niche diye steps follow kariye or IRCTC me account banayiye.



Step 1:- Niche di gayi website par click kariye. Agar aap mobile se ticket book karna chahe hain to pahle apne browser setting me jakar  Mobile view off ya desktop version on kar dijiye.

irctc.co.in


Page open hone par Sign up par click kariye.





Step 2:- Ab aapke samne niche diye gaye page jaisa open hoga. Usme aapko kya bharna hai ye mai aapko shuru se last tak btata hu. Jisase aap ek baar me bina kuch galti kiye account bna lenge. Bas ise ek bar  puri tarah dhyan se padhna or samjhna hai.





             Section 1

1- Username- ye is website me aapke account ka naam hota hai. Isme aap 3 se lekar 10 shabd ya number ya undercore ( _ ) dal sakte hain. Ise kuch aisa rakhiye jo aapko asani se yaad rahe. Jyadatar ise apne naam se jodkar bnaya jata hai fir ye asani se yaad rah jata hai. Exmple- Jaise mera naam Anush hai yo mai Nameanush ya anush123 ya anush_234 rakh skta hu. Aap jo bhi rakhna chahe rakh lijiye or.

  • Check availibility par click karke dekh liiye ki available hai ya nahi (Ab tak itne user ban gaye hain ki har username kisi na kisi ne pahle hi rkha hota hai. Agar User Id already exists .... Please choose a different User Name... likh kar aata hai to aap kuch axar badal kar fir se try kar sakte hai. 

  • Jab aapka username sahi ya available hoga to  User Id is Available..Please go ahead with the Registration Process... likh kar aa jayega to aap aage badhe. 

2- Password -
Chaliye ab jante hain ki IRCTC account me pasaword kaise banaye . Ise dhyan se dekhiye. Agar aap password kaise bnana hai ye samajhne me thodi si chook karte hain to baar baar pareshan honge. Or last me kuch aisa password dal denge jo aapko baad me yaad bhi nahi rahega or aapki pareshani badh jayegi.

Aisa password dalna hai. jo aapko easliy yad rahe. Password 8 se 15 shabdo ka hona chahiye. Jisme


  • Kam se kam ek Capital letter ( A se Z tak me koi bhi ) ho.
  • Kam se kam ek small letter ( a se z me koi bhi ) ho.
  • Kam se kam ek number ho.
  • Koi bhi symbol ( @#$_&£¢°¢™€ ) nahi dalna hai.
  • Kahi bhi space nahi dena hai.
Jaise Anushdev4 ya anush8Dev ya anUshde2v

3. Password confirm - Password jo aapne pahle dala hai. Use dobara yahan par dalna hai. Koi hi shabd miss nahi hona chahiye.

Kisi bhi website me account bnane or password dalne se pahle ye jarur padhna chahiye



4. Security question- Isme aapko diye gaye questions me se koi bhi ek chunana hai.

5. Security answer-  Yahan par aapko upar dale question ka answer likhna hai. ( Note - Is question or answer ko yad rakhna hai  kyoki agar kabhi aap apna password bhul jayenge. To aap is question ka answer de kar apna password recover kar sakte hain.)

6. Preferred language -     me English ya Hindi me se jo bhasha aapko asan lage chose kar lijiye.


      Section 2  Personal details

7. First name - Apna naam daliye ( Surname nahi dalna hai )
 
8. Middle name-    daliye ( Jaise- Kumar ya sikh bhai Singh dal sakte hain.
     
9. Last name -    Yahan surname daliye.

10. Gender- me Male ya Female choose kare.

11. Marrital status- me agar shaadishuda hain to Married or agar nahi hain to unmarried par tick kar dijiye.

12. Date of birth- me apni janm ki tarikh daliye ( ekdam sahi sahi jaisa ki Adhar card ya voter card me jo diya gya ho)



13. Occupation - me aap kya kaam karte hain ye dalna hain. Agar list me diya gye option me se sambandhit kam se alag kuch karte hain to other  par click kar dijiye.

14. Adhar card & PAN card-  ka number dalna hai. Chahe to khali chhod dijiye. Jaruri nahi hai.

15. Email -  Isme aapko apni email id dalni hai. Agar aapne abhi tak mail ID nahi banyi hai. To ye post padhe.




16. Mobile no.- Yahan par apna mobile number daliye. Aisa number daliye jo ap hamesha active rakhe. Kyoki agar aap kabhi apna password ya username bhul gye to isi mobile ki help se recover kar sakte hain.

17. Nationaliy- me Agar aap India se hain to Indian or agar kisi or country se hain to wo dal dijiye.


Ye bhi jaane :-






           Section 3 Residential address

18.  Flat ya door ya block no.- me koi ek daliye. Makaan no. Ya Block no. me se koi bhi dal dijiye.

19. Street/ Lane and Area/Locality - Gali no. Or Area me mohalla ya colony ka nam daliye ya chhod dijiye. Ye koi jaruri nahi hai.

20. Country - me aap jis desh se hain wo daliye. Jaise India se hain to India. 

21. PIN code- daliye. Agar aap India se hain or aapko aapke address ka PIN code nahi pta hai to Mapsofindia par click karke pta kar lijiye. PIN code dalte hi aapka state, City, or Post office automatic aa jayega.



22. Phone- Yahan agar aapke ghar par koi landline number hai to wo nahi to apna mobile number hi dal dijiye

23. Copy residence to office address- Me yes par tick rahne dijiye.

24. Type code shown- me jo code upar likha hua hai use same dekh kar likh dijiye.

25. IRCTC Newsletter
26. Commercial promotion 
27. Please inform me about SBI card through phone - me se teeno me No  par click kar dijiye. Agar aap chahe to yes bhi kar sakte hain. Isase aapke mobile or email Id par IRCTC ke promotional massages aate rahenge. Ise No hi kare to thik hai.



Bas ab aap    Submit Registration Form>>> par click kar dijiye.


Step 3:- Submit karte hi aapke samne I agree to terms ka page aayega. Us par click kar dijiye. Ab aap Next page par aa jayenge. Ab aapko apna email id or mobile number verify karana hai. Ye isliye hota hai jisase koi kisi or ka number ya mail dalkar galat ya farzi account na bna sake. Ab email ke niche aap verify par click kariye.






Step 4:- Ab aap apna email Id open kariye. Isme ek OTP number aya hoga. Ise copy kariye or wapas IRCTC ke site me jakar OTP wale option par fill karke Submit kar dijiye.




Ab aapka email verify ho chuka hai.

Step 5:- Isi tarah mobile number ke samne verify par click kariye. Aapke mobile par ek message aayega. isme bhi ek OTP diya hua hoga. Ise copy kariye or fir se  IRCTC ki site par aakar submit kar dijiye.




Bas aapka mobile number bhi verify ho gya hai. Or aapka account asani se ban gya hai.




Ab agar aapko ticket book karani hai to iska process niche diye gaye steps ko follow karke janiye.

IRCTC ( Indian Railway ) ticket online kaise booking karaye.


Step 1:- Upar sign up process me diye gaye link se INDIAN RAILWAY ki website me jayiye.

Step 2:- Aapne jo username or password rakha tha wo yahan par daliye. Diya gya code daliye or login par click kar dijiye.

Step 3:- jo page open hoga. Us par apko apni journey plan karni hai. Isliye plan my journey par click kariye.




Step 4:- Ab ticket ke liye process start karte hain.

1.From station- par jahan se aapko train pakadni hai us station ka naam daliye. Jaise hi aap station ka naam dalna shuru karenge waise hi station code  or station name aa jayega. Aap us par click kar dijiye.

2. To station- me aapko jahan par jana hai us station ka name or code daliye.

3. Journey date- me jis din aapko yatra ke liye ticket online booking karni hai wo date dal dijiye.

4. Ticket type- me E-ticket hi rahne dijiye.

5. Ab agar aap kisi senior citizen ( 60 saal se upar vyakti ) ya chhote bachche ka ticket banana hai to special concession wale option par tick kar dijiye nahi to untick hi chhodkar submit kar dijiye.




Step 5:- Ab jo page open hoga usme aapke samne us date me aapke diye huye station ke beech chalne wali trains ka naam aa jayega. Ab aap train ke naam ke samne jo coach ( 1AC, 2AC, ya sleeper ) aapko book karana ho. Us par click kariye.





Step 6:- Click karte hi upar screen me seat available hai ya nahi show hone lagega. Agar seat available show ho to Book par click kar dijiye. or Agar aapko ek train me seat available nahi dikhti hai to aap fir se niche di huyi train list me se kisi ke samne coach par click karke dekh lijiye. Jis par seat availibility dikhe us par book kar lijiye. Agar kisi train me seat  na available ho to waiting par hi booking kar lijiye. Ho sakta hai travel date aate aate automatic confirm ho jaye.





Step 7:- Book par click karte hi jo page open hoga us par aapko apni detail bharni hai. Aap ek ya ek se jyada logo ki ticket ek sath bna sakte hai.





1.Name- Yahan jiska ticket banana hai uska pura naam bhariye. (  Aapko train me ticket ke sath ID bhi dikhana pad sakta hai. Isliye Travelling ke time me koi ID bhi sath me lekar jayiye. Or yahan us ID me jo naam hai wahi daliye.

2. Age- me apni umar daliye

3. Gender- me male ya female  jo bhi hain daliye

4. Berth preference- me aapko upar ,niche ya beech wali seat chahiye. Aap ye choose kar dijiye. ( Note- agar waiting ki ticket book kar rahe hain to ise khali chhod dijiye. Isase waiting se confirm me convert hone ke chances kam ho jate hain. )

5. Senior citizen- me agar aap 60 saal se upar kisi ki ticket book karna chahte hai to yahan tick kar dijiye.

6. Opt berth- me tick rahne dijiye.

7. Nationality- India hi rahne dijiye.

8. Agar aapne senior citizen par click kiya hai to yahan jiska ticket bnana hai unka ADHAR CARD or aage ADHAR CARD NUMBER daliye.
Nahi to ise aise khali chhod dijiye.

9. Ab niche diye box me agar kisi bachche ki ticket bnani hai to use bhar dijiye. Nahi khali chhod dijiye.

10:- Ab niche ek captcha code diya gya hoga. Use dekhakar bhar dijite or Page me sabse niche next par click kar dijiye.

Step 9:-  Ab aapke samne jo page khulega. Us par aapko payment method choose karna hai. Mai aapko online wallet ( Paytm account ya freecharge ) use karne ki salah dunga kyoki isase aapka transaction secure or safe rahta hai.





Step 10:- Ab wallet par login kariye. Agar aapke paytm ya freecharge wallet me aapne paise pahle add kiye honge tabhi hoga. Isliye ticket bnana shuru karne se pahle is wallet me paise add kar lijiye.
Iske liye aap ye post padhe or paise add kare. Jo aapko acha lage us par account bna lijiye. Dono hi safe or bahut hi easy hain.




Step 11:-  Agar aapne wallet me paise dal liye hain to aap jaise hi Make payment par click karenge. Waise hi Login ka option aayega. Login karte hi payment par click kariye. Or aapki ticket book ho jayegi.




Step 12:- Ab jo page open hoga us par aapki booked ticket aa jayegi. Iska screen shot le lijiye ya print nikal lijiye. Mobile se print nikalne ke liye aap direct apne mobile ko printer se data cable ke sath jod kar print nikal sakte hain. Agar aapko print nikalne me  pareshani hoti hai to ye post padhe


  • Mobile se kuch bhi easy print kaise kare. 

Agar aapki ticket waiting hai to aap PNR ya train timing janane ke liye ya indian railway ko kisi tarah ki koi suggestion ya complain karna chahte hai to ye post padhe.






To ab aap jaan gye hain ki kaise IRCTC se easliy ticket bna sakte hain. Post thodi badi hai lekin agar aapne puri post dhyan se padh liya hai to ab aapko ticket bnane me koi pareshani nahi aayegi. Fir bhi agar aapko koi problem hoti hai to comment karke puch sakte hain.

Comments