Travelling ke ek din pahle bina tatkal ke confirm ticket kaise book karaye
Agar aapko urgent 2 din baad kahin jana hai or distance long hai. To aap jarur sochenge ki aapko train ki ticket confirm mil jaye. To aaj mai aapko wo tarika btata hu jisase aapko ticket tatkal book bhi na karna pade or mobile ki help se normal reservation par hi confirm ticket bhi mil jayega. Seat available hai ya nahi ya confirmation kaise hoga iski puri jankari.
Lambi travelling ho or train ki ticket confirm ho to safar ka maja alag hi aata hai. Lekin iske liye aapko kam se kam 1 month ya usase jyada pahle railway ticket book karni padegi ya to 24 ghante pahle Tatkal booking. Lekin isme bhi aap sure nahi hote ki aapko confirm ticket mil hi jayega. To ab aap ye trick bhi try kar sakte hain. Agar aapki kismat achi huyi to aapko ticket bhi confirm mil jayega or aapke paise bhi normal reservation charge ke hisab se lagenge.Ek din pahle confirm ticket booking kaise kar sakte hain- without Tatkal
Step 1:- Niche diye huye link se app download kare.
Confirmtkt
Step 2:- Ab Is app ko open kariye. Aapke samne skip or login ke 2 option aayenge. Skip par click kar dijiye.
Step 3:- Ab aapke samne niche di huyi screen ki tarah image open ho jayega. Ab aap TRAINS BETWEEN par click kar dijiye.
Step 4:- Ab aapko ticket banana hai. To aayiye dekhte hain ki kya karna hai ki hame confirm ticket mil jaye.
Ise mai aapko New Delhi se Hawra ( Kolkata ) ki confirm ticket nikalkar samajhata hu. Niche di huyi image dekhiye or fill kariye.
1. Aapko jahan se train pakadni hai. Wo station daliye. Jaise maine New Delhi dala hai.
2. Ab jahan jaana hai us station ka naam daliye. Jaise maine HWH- Kolkata ( Hawra ) dala hai.
3. Ab journey date daliye. Jis date me apko travel karna hai. Aaj mai 21-2-2017 ko raat 10 baje ye ticket bna rha hu to 23-2-2017 ki date ki ticket banaunga.
4. Ab aapko jis class me ticket reserve karna hai wo daliye. Jaise maine Sleeper class dal rakha hai.
5. Ab quota daliye. Jaise Yahan General dala gya hai. Agar Ladies,Handicaps ya kuch or hai to apne hisab se daliye. Tatkal nahi dalna hai.
6. Ab search par click kar dijye.
Step 5:- Ab meri screen me dekhiye. Isase related Kayi train ki information aa gayi hai. Jinme se 2 ka screen shot image yahan diya ja rha hai. Ise dhyan se dekhiye. In trains me aapke ticket confirm hone ke percentage show ho rahe hain.
Pahle number me jo train aa rahi hai wo Kalka mail hai.
Ab dhyan se dekhiye is train me reservation status waiting list 18 show ho rhi hai.
Ye sabhi train me nahi likha hoga jis train me turant confirmation hone ke chances ya 2 se 5 waiting list hogi usi me show hoga. Matlab aapke train pakadne ke time tak 90% tak confirm hone ka chance hoga. Ab Yahan par click kar diiye.
Step 6:- Ab aapke samne kayi option aa jyenge. Aapko show altrnate travel option par click karna hai.
Click karte hi aapke samne wo tarika aa jayega jisase aap confirm ticket pa sakte hain.
Niche image me dekhiye.
Yahan btaya ja rha hai ki agar mai New delhi ki jagah par Chandi Mandir se ticket book karata hu to mujhe waiting list 3 milegi. Matlab chart prepare hote hote confirm ho jayegi nahi to RAC to aa hi jayegi.
Ek baat dhyan dena hai ki ticket book karate time mujhe boarding station me Adarsh nagar Delhi dalna hai. Jo ki New delhi se thodi dur par hai. Matlab mera reservation Chandi Mandir se ho jayega lwkin mujhe train Adarsh Nagar Delhi se pakadni hai.
To dekha aapne aap bhi aise hi koi bhi ticket sirf station badal kar book karwa sakte hain. Jisme aapko pakki ticket mil jayegi. Agar turant confirm na bhi huyi to chart bante bante jarur confirm ya RAC to ho hi jayegi.
Upar di huyi train me alternate ke anusar New Delhi se Chandi mandir kafee dur hai. Lekin har baar aisa nahi hota kabhi kabhi aapko same station ya ek station aage ua pichhe bhi seat available mil jati hai. Chaliye ek or alternate try karte hai.
Step 7:- Upar di huyi train list ki screenshot image me tisare number me ANTV HWH EXP ( 12324 ) train hai.
Is train me WL 61 show ho rha hai. Ab isme confirm ticket ka kya option hai wo dekhte hain. Niche diya gya screenshot dekhiye.
Is train me agar mai direct Anand Vihar ( Delhi ka hi ek station ) se Hawra tak tickat bnawata hu to mujhe waiting list 61 ki ticket milegi. Jo agle aane wale dedh din me confirm nahi ho sakti.
Ab mujhe jo alternate dikh rha hai usme mujhe 2 ticket banwani padegi. Anand Vihar se Mugal sarai tak ki confirm or fir Mughal Sarai se Hawra tak ki WL 2 milegi. Jo ki asaani se confirm ho jayegi.
Matlab mujhe station change karke bhi ticket nahi banwani hai bas aapko same train me pahle Anand Vihar se Mughal Sarai or dusari Mughal Sarai se Hawara tak ki ticket bnawani hai.
Ab aapko Ticket booking karani hai to apne mobile ke browser me IRCTC ki website me jayiye. Yahan padhiye
Abhi train ticket aarakshan par kuch online wallet jaise oxygen, paytm ya freecharge se payment karne par acha cashback offer chal rha hai. Jisme aapko kafee fayda ho sakta hai.
Agar aapko trick pasand aaye to share kare or is important jankari ko sab ke paas pahuchane me help kare. Agar aapko ise samajhne me koi problem ho to comment karke puche.
Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.