X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Broiler poultry me har baar fayda kaise kamaye

Poultry ka business dikhne me jitna saral hai utana hi karne me kathin hai. Broiler poultry me kitna or kab fayda ya loss hoga janana muskil hota hai. 40 se 50 din ke andar aap acha profit bhi kama sakte hain or ghata bhi kha sakte hai. Lekin kya koi aisa tarika hai jisase broiler poultry me har baar acha munafa ho or nuksan ke chances kam ho. Ji haan ek tarika hai. Aayiye dekhte hain kaise aap ise kar sakte hain.



Broiler poultry me acha fayda har baar paaye


Jaisa ki aap jaante hain ki poultry me layer breeder or broiler me se aap koi bhi kaam shuru kar sakte hain. Lekin agar aap ke paas punji kam hai to broiler poultry hi suitable hoti hai. Kyoki iska turn over period 40 se 50 din hota hai or aap chhote farm se shuruaat kar sakte hain. 
Ye to thik hai ki chhoti punji me aap poultry farm ka kaam start kar sakte hain. Lekin poultry product ( Egg, chiken, live bird ) ka daily ghatata badhta rate broiler poultry ka kaam karne walo ke liye muskile khadi kar deta hai. Kabhi to isme ek dam se fayda or kabhi bahut jyada nuksan ek baar me ho jata hai.

Ab baat aati hai ki jisne thodi si punji lagakar kaam shuru kia agar use pahli hi baar me loss ho jaye to wo kya kare. Iska koi rasta ho jisase ise ek dhara ki tarah chlaya ja sake jisme nuksan ki possibility na ke barabar ho. 

Iske liye dekhta hain ki hame loss ki sambhavna kahan hoti hai. Or usase bachne ke kya option ho sakte hain.

Live bird taiyar karne ke liye aapko 40 din tak kharch uthana padta hai. Ye kharch murge ke liye chicks, feed, medicine or kaam me lage huye labour ke liye hota hai. Or jab aapka bird avarage body weight par bikane ke liye taiyar hota hai to aapki najar market me live bird ke chal rahe current rate par padti hai. 

Agar market me rate acha chal rha hai tab to aapki balle balle hai lekin agar rate aapke production cast se kam hai to apke liye chinta ka vishay ho jata hai.

Ye business karne wale hamesha ise ek juye ki tarah dekhte hain. Kyoki market ki maths lagakar bhi bade bade maharathi isme achi khasi maar kha jaate hain. To chhote mote logo ki ganit to isme bahut pichhe rah jati hai.

Is risk ko khatam karne ke liye kuch aisa ho ki jisme aapko isme lagne wala kharch bird bikne ke baad pura pura mil jaye or sath me kuch fayda bhi mil jaye.

Kam se kam lagat ( paise ) me broiler poultry kaise shuru kare

Lekin sochiye agar kuch aisa ho ki aapko sirf broiler poultry farm bnane ka kharh karna pade, bird ko taiyar karne ka kharch bhi na karna pade, aapka business shuru ho jaye or profit hone ke chances bhi pakke ho. 

Ye possible hai agar aapke paas kuch paise hain or aap sirf poultry farm bna sakte hain lekin business start karne ke paise nahi hai to bhi aap ise kar sakte hain. Lekin kaise


Broiler poultry ka business badi badi compnies bhi karti hain. Kuch iske liye apne khud ke farm taiyar karte hain to kuch intrgration ke madhyam se. Integration to aap jante hi honge.


Broiler poultry integration kya hai. Isase business kaise kare. 

 Isme ek banda khud koi kaam na karke dusaro se karwata hai. Badle me profit ka kuch hissa ya commission deta hai. Isame jyadatar market risk unka khud ka hota hai or aapka profit ya commission kahin nahi jata matlab pakka hota hai. Aise hi kuch badi badi companies bhi broiler bird ka busines karte hain. Bade level me karne ke liye wo ise kayi region, area or line me baant dete hain. Jisase ise control karne me assani hoti hai.

Jaisa ki aap log jaante hain ki poultry me bird ko bimariyo ka bahut khatra hota hai. Or iske liye Bio- security ka bhi dhyan rakhna padta hai. Or agar ek bar bimaree aa gayi to pure birds ko effected kar deti hai jisase bird ki mortality ( mrityu ) to hoti hi hai unka average body weight bhi kam aata hai. Is hisab se agar ek hi jagah par kayi hajar ya laakh bird ka paalan kiya gya or bimaree aa gayi to sambhalna muskil ho jayega or nuksaan bhi bahut jyada ho jayega.

Iske liye in companies ne integration shuru kiya. Integration me wo farmer se ek agreement karte hain. Ye agreement har company apne hisab se alag alag terms ke sath krti hain. Lekin jyadatar kuch is tarah ka hota hai.

1. Farm bnane me kharh aapka hoga. Matlab farm bnane me company ka yogdan nahi hoga. Kisi tarah ka koi loan ya karj nahi milta. Aapko apne kharch par farm taiyar karna padta hai.


2. Company broiler ka sara kachcha maal apko apne kharch par deti hai. Jaise chicks, feed, medicine. Note- Kuch chhote mote jaise bijali pani aadi ka kharch apko khud karna padega. Farm ki managment aapko karni padegi. Us par aane wala labour kharch aapka hoga.

3.  Broiler taiyar hone par aapko kuch nahi karna padta. Use market me bechne ka kaam bhi company  hi karti hai.

4. Aapko per bird ya per kilo gram ke hisab se tay kiya gya commission de diya jata hai.

5. Ache performace ( acha kaam ) ke liye kuch incentive ( protsahan ) money bhi diya jata hai. Ye lagbhag har company deti hai. Jisase farmer acha kaam kare or result ache aaye.

6.  Market risk se aapko koi matlab nahi hota. Matlab murge ka rate market me kya chal rha hai isase aapko koi fark nahi padta. Aapko apna commission milega hi milega.
Note - Kuch companies market rate ka bhi criteria fix karti hain. Jisase agar rate is criteria ke upar chla jayega to aapko uska bhi incentive diya jata hai.

7. Farmer ki performence criteria bhi nishchit ki jaati hai. Jisase koi farmer kisi tarah ki gadbad ya chori jaisi chije na kar sake or ache se acha kaam karne ki koshish karta rahe. Is criteria ke niche result ya performence aane par farmer ko deduction lagyaa jayega ( kuch amount kata jayega ) .

8. Lagbhag sari company aapki managment ki dekh rekh ke liye ek supervisor aapke farm par daily ya weekly routine se pahuchta hai jo aapke kaam detail ko company head tak pahuchata hai.


Broiler poultry integration se company ko kya fayda hai

Iska sabse bada fayda unko ye hota hai ki unke sare bird ek jagah par nahi hote or is tarah agar kisi ek farm par bimari aati hai to baki ke birds bimariyo se bach jaate hain or bada nuksan hone se bachaav ho jata hai.


Market me unke bird har samay available rahte hain. Kabhi rate ki wajah se loss to kabhi profit hota rahta hai. Bade level me hone ke karan wo profit & loss ka balance asani se bna lete hain.


Alag alag region ya area me hone ke karan jis area me maal kam hota hai wahan kuch acha rate milne ke chances badh jate hain. Jab ki ek jagah ya ek hi area me lakho bird hone se aisa hona samabhav nahi hota.




Integration se farmer ko kya fayda ya nuksan hai

Agar aap already broiler ki poultry farming karte hain or upar diye integration ke niyam ko padh chuke hain to jaan gaye honge ki isase kya or kitne fayde hain. Lekin fir bhi ek baar najar dalte hain ki kis tarah ke fayde hain.

1. Aapo kachche maal ke kharche se chhutkara mil jata hai.

2. Market me bird bechne ke jhanjhat se bach jate hai.

3.  Market risk ki tension nahi hoti hai.

4.  Aapke profit ki guarantee hoti hai.

5.  Ache kaam par incentive ke bhi chances hote hai.

6. Kaam ki nirantarta bani hoti hai. Ghaate ke baad  baithna nahi padta.

7. Company ka supervisor technical help ke liye available hota hai.


Har chij ke kuch fayde to kuch nuksan hote hain. Integration me aapko nuksan ye hoga ki

1. Aapko sirf fix commission milega na ki pura fayda.

2. Aapko company ki policy ke anusar chalna padega. Yahan tak ki farm ki managment me bhi company ke supervisor ka dakhal ho sakta hai.

3. Aapki performence achi hi deni padegi. Nahi to ho sakta hai ki aapka agreement cancel kar diya jaye.

4. Aapko ek ek bird ka hisab rakhna padega. Jitane murge kam honge unka pura charge lga kar paise kaate ja sakte hain.


Broiler poultry business ke liye company ke sath integration agreement kaise kare

Iske liye kuch chhote mote process ko pura karna padta hai. Isme aapko apne farm ke papers ke sath kuch gaurantee ke papers or kuch blank chaque ( Jo ki company ke naam par kiya gya hoga ) signature karke dene padte hain.

Blank chaque company apni security ke liye leti hai baki aap company ki puri jaankari achi tarah lekar puri tarah santusht hone ke baad hi kisi prakar ke paper ya chaque ka len den kare.


Paper process pura hote hi aapko chicks placing ki date bta di jayegi. Aap sari taiyari karke rakhe or nischit date me chicks recieve kare.



Broiler poultry integration ke liye kuch jaani maani companies

1. Suguna
2. Venkys
3. Shalimar
4. IB group
5. CP
6. Skylark

Or bhi bhaut si chhoti moti companiya hain lekin ye company broiler integration me kafee famous hain or vishwashniy bhi hai. Aap in companies ke baare google par search karke pta kar sakte hain.

Integraion ke liye aap apne area me sthit in company me se kisi ke bhi najdiki office me jakar contact kar sakte hain.

To ab aap jaan gaye honge ki kam kharche me aap broiler poultry business kar sakte hain. To agar aapka farm bna hai or aaj hi kisi company ke manager se mile or farming start kare or har baar nishchint hokar munafa kamaye.

Agar aapko iske regarding kisi tarah ki koi or jankari leni hai to aap comment karke puch sakte hain.

Comments