X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Mobile phone se PAN card kaise banaye. How to apply online.

Agar aapne abhi tak apna PAN card nahi banwaya hai or ye bhi nahi jante ki kaha banta hai. To ab aap apne mobile phone se PAN card online apply kar sakte hain. Ayiye dekhte hain ki iski kya importence hai or ghar baithe internet ki help se PAN card banwane ke liye kya kare. PAN card status kaise check kare or iske liye jaruri document kya hai.

How to apply online for pan card


पैन कार्ड क्या है ?

PAN, Permament Account Number,  ek unique 10 digit alphanumeric identity hai jo ki Tax departmemt dwara har ek taxpayer ko allot kiya jata hai. Alphanumeric ka matlab hai jisme Alphabate or number dono hote hain.  India me kisi bhi tarah ke paise ke transaction jo ki tax ke dayre me aata ho uske liye aapke paas PAN card hona jaruri hai. Iske alawa ye ek simple identity proof ke roop me bhi use kiya ja sakta hai.

Chaliye ab iski detail ko ache se jante hain. Agar koi card no. AKLPJ6430K hai to

Pahle 3 letter AAA se ZZZ ki serial me pdne wala aapka no. hai

4th letter card holder ka status represent karta hai. Individual ke liye P, kisi firm ke liye F, company ke liye C, AOP ke liye A or kisi Trust ke liye T hota hai.

5th letter, card holder ke surname ka pahla letter hai.

Agle 4 number 0001 se 9999 ke beech serially jo bhi aapka pdega.

Last letter jaisa ki upar diya K alphabetic check digit hai.


Online PAN card apply karne ke liye jaruri document kya hai

PAN Apply karne ke liye aapko in document ki jarurat hogi

1. Ek Identity proof - Jaise Voter ID

2. Ek address proof- Driving licence ya aadhar card (Aadhar card download karne, online status janane ya or related jankari ke liye yahan click kare)

3. E-mail Id - Agar aapne abhi tak nahi bnaya hai to yahan click karke banayiye.

4. Mobile number

5 Debit ya credit card ya net banking ( Optional ).

आॅनलाइन पैन कार्ड कैसे अप्लाई करे ?


National securities depository limited ki website se aap online application form fill karke easily bana sakte hain. Is form ko apne mobile phone se achi tarah kaise bhare iska pura process or payment method kya hai. Aayiye dekhe.

Pura process dhyan se ek baar padhiye uske baad hi form bharna start kare kyoki agar aapne ek baar koi page fill karne me der lagaya to page time out ho jayega or aapko fir se shuru se bharna padega. Is liye baar baar pareshan na hokar ek baar achi tarah padhe fir try kare.


Sabse pahle Application form open karne ke liye yahan click kare


Ab aapke samne nsdl ki website open jo jayegi.

Step 1:- Ab kyoki aapko naya card banana hai to application type me New PAN ( Form 49A ) select kariye or category select kariye. Category me Individual select kare.


 Fill your application type


Step 2:- Ab aapko apni basic information fill karni hai.



How to fill applicant detail for PAN


1. Apna title daliye. Shri, smt, km. me se jo bhi ho.

2. Apna surname daliye. Dhyan se sabse upar pahle surname dalna hai. Apna naam nahi.

3. Ab apna naam daliye.

4. Ab apna middle name daliye. Jaise Kumar, Kumari ya Sikh bhaiyo or bahno ke liye Singh ya kaur jo bhi ho.

5. Ab apni date of birth select kariye.

6. Apna E-mail address daliye.

7. Ab apna mobile number Daliye. Aisa mobile no. jo hamesha active rahta ho kyoki isme message bhi ayenge.

8. Ab jo captcha code diya gya ho. Use dekh kar niche ki khali jagah par bhar dijiye

Bas ab Submit par click kar dijiye.



Step 2:- Submit par click karte hi aapko iska token number pta chal jayega jo aapke screen par aa jayega. Ab confirm with Application Form par click kar dijiye


Note your token number for PAN




Step 3: Ab aap second page par aa gaye hain. Aapko apni puri detail bharni hai.


Pan card process 1




1. Agar aapke paas Aadhar card hai to uska number daliye. Nahi hai to khali hi chhod dijiye.

2.Ab aapne jo information pahle page par likhi thi wo waise hi aa jayegi. Aapko direct apna Gender dalna hai. Male ya Female.

3. Registration number aise hi chhod dijiye.

4. Agar kisi or naam se bhi jane jate hain to use bhi dal dijiye. Iske liye Yes par click karke likhiye. Agar nahi hai to No par click kar dijiye.



Fill your parents letter Hindi


5. Ab aapko apne parents ki details dalni hai. Isme aapo father ya mother me se kisi ek ko optional rakh sakte hain. Matlab kisi ek ki detail jarur dalni hai or kisi ek ki agar nahi dalni hai to aise chhod sakte hain. Ab jaisa aap chahte hain us par click kar dijiye.

1. Ab unka surname daliye.

2. Unka name daliye.

3. Ab unka middle name daliye.

Aap chahe to dusare ka bhi detail dal sakte hain. Detail dalne ke baad Next par click kar dijiye.


Step 4:- Next par click karke aap Agle page par aa jayenge. Ye tisra page hai aapko kul 5 page ka process pura karna hai.

Fill address detail and income source hindi jankari

1. Yahan aapko apna income source btana hai. Maltab aapki kmaayi kahan se hoti hai. Ise apne hisab se select kare.


2. Ab aapko apna address dalna hai. Address achi tarah bhare. Kyoki isi address par aapka PAN card ban kar aayega.

3. Aap chahe to residence or office dono detail bhi bhar sakte hain. Agar dalna hai to office ki detail bhar dijiye.

4. Ab apna Telephone or email information bhariye.

Or Next par click kar dijiye.


Step 5:- Ab aap Next page par aa gaye hain. Yahan aapko AO code bharna hai. Aapne jo address fill kiya hoga uske according aapke area ke sabhi AO code aa jayenge. Iske liye pahle Help AO code par Indian citizen par click kariye. Ab is page par Next se upar ek option hoga. Jisme sare code diye gaye honge. Aap unme se apna AO code select kar lijiye. Code select karte hi Sari detail automatic aa jayegi. Bas ab Next par click kar dijiye.


Fill AO code in PAN





Step 6:- Ab aapko apna document detail dalna hai. Documentation process aap 3 tarah se submit kar sakte hain.

1. Post dwara document bhej kar.

2. Apna document scan karke online verify karke.

3. Or last apne aadhar card number ko verify karke.

Agar aapke paas aadhar card hai or aapne pahle bhari gayi detail me iska number dala hai to ye bahut asaani se verify ho jayega. Agar nahi hai to diye gaye proof me se jo aapke paas hai use select kariye.

Ab jo document aapne select kiya hai use scan karke verify kar lijiye. Kyoki aap mobile se scan nahi kar sakte to document ki clear photo khich kar upload kar dijiye.

Step 7:-Aapne ab tak jo details fill ki hain. Ab unhe ek baar check karne ka time hai. Aapke screen par sabhi details aa jayengi. Ise ek baar dekhiye or sab kuch sahi hone par Submit par click kar dijiye.


Step 8:- Ab aapko PAN ki fee jama karni hai jo ki 93 Rs hai or service tax 14 Rs hai. Yani aapko total 107 Rs. deposit karne hain. Aap draft dwara offline ya apne credit ya debit card ya net banking dwara online payment kar sakte hain. Online process dekhte hain.



Fill payment metbod


1. Online payment method par click kar dijiye.

2. Ab payment method select kariye.

3. Proceed to payment par click kar dijiye.


Step 9:- Ab apne card ya net banking ki detail dal kar payemnt kar dijiye.

Payment ke baad aapko ek acknowledge number milega. Ise sambhal ke rakhna hai. Jab tak ki aapka card ban kar aapke ghar par nahi aa jata.


Aapne successfully apne PAN card ke liye apply kar diya hai.



PAN CARD kitne din me ban kar aata hai. Online status kaise check kare


PAN card Apply karne ke baad 15 Days ke andar aapke ghar aane ke liye ready ho jayega or uske lagbhag 15 din ke andar aapke address par pahuch jayega.

Is beech me ya agar card ban kar aane me der ho to aap iska status bhi check kar sakte hain.

Online status check karne ke liye yahan click kare or easily apne card making process ka status janiye.

PAN card Online apply krne ke fayde


PAN card Online applying process ka fayda ye hai ki aapka application form jab tak thik se fill nahi hoga tab tak submit nahi hoga.  Jisase ki apply karne ke baad form reject hone ka dar nahi hoga.

Aap ghar baithe sare process complete kar sakte hain. Kahin jane ki jhanjhat nahi hai.


Payment bhi online kar sakte hain. Agar aap online transaction karna nahi jante to E-wallet or kisi bhi tarah ke online den len ke liye ye sabhi post padhiye kyoki Ab iski jankari bahut jaruri hai





PAN card ke fayde ya benefit kya hain


PAN card Alag alag jarurato me kaam aata hai. Aapke jis kaam me aayega aapko bas utani hi importence samajh me aayegi. Chaliye ek najar me dekhte hai ki iske kya kya fayde hain.

1. PAN aapki identity ka ek solid proof hai or aapke Indian hone ki pahchan hai.

2. Tax return ke liye jaruri hai.

3. New bank account open karwane ke kaam me aata hai.

4. Kisi tarah ke financial investment me ya transaction ke liye jaruri hai.

5. Kisi bhi tarah ka business start karne ke liye jaruri hai.

6.  Koi bhi property kharidne ke liye.

7.  Loan lene ke liye

8. Kisi bhi registered sanstha me work karne ke baad salary lene ke liye.

9. Iske alawa bhi bahut se jagaho me.


Ab is process ko apne mobile me karna start kare. Or har page me sabhi information sahi or thoda jaldi jaldi bhare jisase page timeout na ho paye.



PAN card kya hai, iske liye jaruri document, ise mobile se online kaise banaye, status kaise check kare, card ke fayde or online apply karne ke fayde aapko sabhi jankari yahan mil gayi hai. Pure process me aapko kisi tarah ki koi problem ho ya iske regarding koi question puchna ho to comment kare.

Comments

  1. PURA PROCCESS HONE K BAD ACKNOWLADGE NO MILA BUT USKE UPAR FORM KO PRINT KARKE ADDRESS PAR BHEJNA HOOGA KYA

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aapne PAN card apply karte samay id kon si use ki hai. Agar online upload nahi kya hai to aapko ise print ke sath us address par bhejna padega.

      Delete
  2. कृपया नीचे दिए गए आवेदन फार्म को प्रिंट करें, हालिया रंगीन तस्वीरों को ठीक करें, उपलब्ध कराए गए स्थान पर व्यवस्थित रूप से साइन इन करें, और निर्दिष्ट समर्थन दस्तावेजों के साथ एनएसडीएल ई-शासन को निर्दिष्ट पते पर भेजें। आयकर टैक्स पैन सर्विसेज यूनिट (एनएसडीएल ई-गवर्नेंस इन्फ्रास्ट्रक्चर लिमिटेड द्वारा प्रबंधित) 5 वीं मंजिल, मंत्री स्टर्लिंग, प्लॉट नं। 341, सर्वेक्षण नंबर 997/8, मॉडल कॉलोनी, दीप बंगला चौक, पुणे -411 016 पैन / टीडीएस कॉल सेंटर के पास : 020- 27218080 | फैक्स: 020 - 27218081 ई-मेल: tininfo@nsdl.co.in

    ReplyDelete
  3. It is not important to go to the Income Tax Department, as all the basic data is accessible on authority sites. Presently, it is anything but difficult to know PAN Jurisdiction subtle elements on the off chance that you have your PAN Card Number. Here is well ordered technique of know your pan jurisdiction by pan number AO visit here. Thanks

    ReplyDelete
  4. Thanks for your guidance. It is really helpful check pan card status. I had applied for PAN card offline and I got it after 1 and half month later. But i didn't know how to check PAN card status. This kind of blog very helpful for the people like me. Thanks.

    ReplyDelete
  5. Figically Documents kaha jama kare

    ReplyDelete
  6. Sir ye mera PAN Card Application - Reference Number 2017083011684
    Check kro please Kiyun nahi aaya

    ReplyDelete

Post a Comment

Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.