X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Class me top karne ke 10 Smart tips - How to be a topper

Agar aap class me top karne ke liye pareshan hain or bahut se purane tips aapke liye working nahi proove ho rahe hai to yahan aapko class me topper banane ki aisi tips di ja rahi hai jo apke liye 99% work karegi. Bas aapko thoda sa interest lene ki jarurat hai.

School ho ya college agar aap class me hamesha top aate hain to aapke parents ko bhi acha feel hota hai. Kitna bhi weak student ho har ek ke man me ye baat to aati hi hai ki mai class me topper hone ke liye kaise padhayi karu. Har teacher ka favorite student kaise banu. Agar aap bhi unme se hain to aapko kuch smart tips ki jarurat hai.



How to be top


Class me Top kaise kare - 10 smart tips

Topper hona koi easy talk nahi hai. Chahe jo field ho agar aap sabse aage rahna chahte hain to aapke andar kuch alag ya kuch extra hona chahiye. Lekin aapko is baat ki tension nahi leni hai ki aapke andar aisi koi quality nahi hai. Kyoki aisi qualities already hoti nahi balki layi jaati hain. Or kabhi kabhi aapke andar hoti hai bas aapko use thoda improve karna pdta hai.  In tips ko follow kare or apni class me school college ya university me topper bane.

1. School ke pahle din se hi apni progress ko notice kare-

Exams me ache number lane ke liye apna test khud lete rahe. Kuch students ise karte bhi hain lekin jab unke exams kareeb aa jate hain. Tab tak kafee der ho chuki hoti hai. Aap school ya college me kya padh rahe hain or usme se kitna hissa apka mind assume kar rha hai. Ise measure karne ke liye aap weekly apne liye ek test schedule bnayiye.

Or acha karne ke liye apne friends group ko iske liye kahe. Agar weekly test group me hoga to  aapke andar kuch jyada learn karne ki ichcha badhegi. 

2. Maximum class attendence -

Class bunk karne ki na soche. Agar aap sochte hain ki class bunk karke aap baad me sara course complete kar sakte hain to aap galat hain. Class me teacher jo discuss karte hain use dhyan se sunana aapke mind me strong jagah bna leta hai. Is baat ko apne man me baitha lijiye ki study course complete karna nahi hai balki knowledge collect karna hain.


Isliye jitna jyada se jyada ho sake class attend kariye. Teacher jis style ya method se chapter ko samjhate hain use note kariye. 


3. Padhne ka ek alag view banaye-

Top karne ke liye sabse jaruri hai exams me aapke haath or dimag ka ek saath chalna. Aapne pahle kabhi notice kiya hoga ki jab aapke mind kisi question ka answer achi tarah hota hai to aapka haath use automatic likhta chla jata hai.

Ye tab hota hai jab aapne kisi content ko achi tarah yaad kiya ho. Ise or easy bna sakte hain. Aap jo bhi daily school, college ya ghar me padhe. Use learn karne ka apna view banaye. Books, teachers or apne aap ko mix karke jo content niklega wo puri tarah se evaluator ko satisfy karne ke liye kafee hoga.


4. Dusaro se compare na kare-

Apni study level ko dusre students ke sath compare na kare. Comparison unke liye thik hai jo ki itane pichhe hain ki sirf aage aane ki koshish kar rhe hain. Agar aap baki 99% classmates se aage dikhna chahte hain to apna comparison kisi or se karna aaj se bhul jayiye.



To dusaro se compare karna chhodiye or khud se karna start kariye. Kyoki topper ka kaam is baat par dhyan dena nahi hai ki dusare kya kar rahe hain. Balki wo apne work par focus karta hai. Khud ko compare karne ke liye aap apna weekly ya monthly graph dekhiye. Ye dekhiye ki aapne pichhle week kya drop kiya or is week kitni improvement huyi.


5. Communication banaye rakhe

Class ke or student or teachers se communicate karte rahe. Aapko khud ko students se comparison karne se bachna hai lekin aisa karte samay ye dhyan rakhna hai ki aap bakiyo se communicate karna band mat kariye. Unse sikhna aapko jaari rakhna hai or uske liye ache relation bna ke rakhne hain. Achi taiyari or ache numbers ke liye padhayi me man lagna chahiye.
Padhayi me man lagane ke liye sabke sath ache relation or khush rahna sabse jaruri hai. Isliye dusare aapke sath kya kar rahe hain iska dhyan na rakh ke sabke sath communicate karte rahe. Sharing, kisi bhi problem ki solution ke liye sabse jaruri hai. Isliye dusro se communicate kare or apni study problem share kare. Aapki knowledge improve karne ka yeh behtar tarika hai.


6. English improvement -

Subah uthna, man lga kar pdhna, har subject par dhyan dena or na jane aisi kitni hi baate hain. Jo hamne suna hai or jo sahi bhi hain. Lekin ye har koi follow karta hai or sabke sath aap kahan hain ye dikhta hi nahi.

Agar aap India ya pakistan jaisi country se hain to jante honge ki yahan English ki kitni importance hain. Padhayi khatm karne ke baad aapko iski importance jyada samajh aati hai. Aap koi acha sa business karte hain to thik hai lekin achi job or career pane me muskil nahi hoti.

Aap ye soch rahe honge ki iska kisi topper se kya lena dena hain. Dhyan dijiye aap aage tabhi jayenge jab koi pichhe jayega. Success hone wale apne competitors se ye ummed rakhte hain ki wo unse jealous feel kare. Or yahi jealousy unko aage or aage badhne me help karti hai. Bas aapki English speaking yahi kaam karegi.

ye matter nahi karta ki aap English school ya syllabus se padhte hain ya kisi or Hindi, Urdu ya apni Local language syllabus ke sath. Aapki English me fluency hona chahiye. Agar aapki English achi hai to baki teachers bhi aap par jyada focus karenge. Or iska fayda aapke baki subjects par pdega. 

English ke liye Aap alag se speaking class ya tution class attend kare. 

7. Shortcut avoid kare


Study ke dauran jab aapko kisi tarah ke problem ho to guide book, ya teacher ki taraf turant daur ke  na jaaye. Ye rasta sabse easy lagta hai. Actually jab itni suvidhaye available ho to koi kyo apna dimag faltu ladaye. Lekin aisi suvidhaye aapko apahij bnane lagti hai or aapko ye kabhi samajh nahi aata. Kyoki har problem me solution ke liye aap inme se kisi ko pakadte hain or aapko yahi saral lagta hai.

Lekin aapko isase bachna hai. Ye shortcut aapke liye problem create kar sakte hain. In shortcuts se pahle aap isme thodi si mehanat kare. Aisi study problems ko pahle khud solve karne ki koshish kare. Ek baar jab aap aisi problems khud ke liye rakhne lagte hain apko kisi tarah ke guide book ki jarurat nahi padti or dhire dhire problems bhi kam hone lagti hai.


Ek baat ka dhyan rakhiyega ki ' Aalas me hamesha maja aata hai. Lekin mehanat hamesha satisfaction deti hai.

Ek baar aapko khud se satisfaction hone lagi to aapko shortcut ache lagne band ho jayenge or yahi se aapke topper banane ki shuruwat ho jayegi. Lekin ye satisfaction sirf shortcut na apnane ke liye honi chahiye. Na ki padhayi ke liye. Or jyada sikhne or padhne ki bhook aapke andar hamesha jinda honi chahiye.


8. Har field ki thodi jankari rakhna start kare-

Student life me nervousness aapko tabhi aati hai jab aapko lagne lagta hai ki aapke andar kuch kamiya hai. Ye kami aapko tab feel hoti hai jab aapse kuch aisa question kiya jata hai jiska aapko ABC bhi na pta ho.

Isliye jitna jyada ho sake utni jyada field ya subject ki kuch na kuch knowledge rakhiye. Aapka bolna start karna aapka confidence level high karega. Jo ki ek topper ke andar hona chahiye.


9. Group study -

Agar aap top karne ke liye tution class ya cotching class attend karte hain to iske alawa group study bhi start kar dijiye. Aapko school or tution study ke baad iske liye time nikalna padega. 

Jyadatar student is liye bhi baki students se pichhe rah jate hain kyoki unhe kuch subject ya matter se judi knowledge hoti hai. Jo ki ek average student ki nishani hai.

Topper ke liye jaruri hai ki use kisi bhi matter ya subject se related thodi bahut jankari ho. Aise knowledge ke liye group study perfect hai. Jab aap group study karte hain to aapko ek dusare ke madhyam se kuch nayi jankariya milti hain. 



10. Subject taste change karte rahe

Bahut se student padhne me thik thak hote hain or kisi khass subject me class me unke sabse jyada number aate hain. Lekin fir bhi kabhi class me top nahi kar pate. Iska reason hai unka koi fevorite subject. Aise kisi favorite subject ke liye wo sabhi subject par dhyan nahi dete or result bas har baar ki tarah wahi rah jata hai. 

Isliye school ya college ke pahle din se hi apne stream ke according har subject par brabar interest rakhe. Time time se taste change karte rahe. Kisi bhi subject ke liye jyada crazy na ho or kisi subject ko ignore na kare.


In sab ke alawa aapko top par aane ki bhook honi chahiye. Aap apne aage badhne ki bhook ko badhate jayiye or result aapke samne hoga. Khud ko motivate karte rahiye.

        Very simple. Aap kar sakte hain.

Comments