Final exams ki preparation ke 5 different tips
Final exams aane wale hain or aapki taiyari proper nahi hai. Jaise hi ye exam najdik aa rahe hain aapki tension badhti ja rahi hai. Kya kare kaise pass honge ya ache number kaise aayenge. Aisi tension hoti hi hai, mujhe bhi hua karti thi. Aayiye jante hain kuch aise tips jo aapke final exams ki taiyari karne me aapki help karenge or aapko stress or tension se bacha sakte hain. Bas inke sath aapko khud ko motivate karna hai or aapko success jarur mil jayegi.
Exam ki taiyari ho or tension na ho , aisa possible nahi hai. Fir bhi in tips se aap final exam me better score la sakte hain. Actually agar aapne saal bhar man laga kar padhayi ki hai tab to aap is exam ko lightly le hi nahi sakte. Lekin jab aapne sara saal aise hi gujar diya ho tab to soch bhi nahi sakte ki aapko ab rest ki jarurat hai. Ab aapko apni taiyari race me bhagne jaisi karni padegi or is race me aapko tab tak nahi rukna jab tak ki race ka last lap finish nahi ho jata.
![]() |
Image source |
Exam ki taiyari ho or tension na ho , aisa possible nahi hai. Fir bhi in tips se aap final exam me better score la sakte hain. Actually agar aapne saal bhar man laga kar padhayi ki hai tab to aap is exam ko lightly le hi nahi sakte. Lekin jab aapne sara saal aise hi gujar diya ho tab to soch bhi nahi sakte ki aapko ab rest ki jarurat hai. Ab aapko apni taiyari race me bhagne jaisi karni padegi or is race me aapko tab tak nahi rukna jab tak ki race ka last lap finish nahi ho jata.
Final exams ki taiyari kaise kare- Instant tips
Waise exams ke liye to sare student preparation karte hain lekin kuch ache numbers se paas hote hain to kuch kafee mehnat karne ke baad bhi passing marks tak nahi la pate. Iska reason hai ki unki mehnat sahi direction me na hona. Agar aapke sath bhi aisa hi hota hai to khush ho jayiye ye tips aapke liye hai bas aap inhe aaj se follow karna start kar dijiye or apni mehnat ko ache marks me convert kariye.
1. Chapter explore na kare
Aapne jitna bhi pure saal padha ab use summerize karne ka time aa gya hai. Kuch Student aise time me sochte hain ki har chapter ko puri tarah padhkar yaad kar lenge. Agar aapne pure saal mehnat ki hai to ab aap aisa karke apna time barbaad kar rahe hain. Kyoki is tarah chapter explore karke aap sare chapter read nahi kar sakte.
Aise me hota ye hai ki kuch shuru ke chapter to aapko ache se yaad ho sakte hain lekin last ke chapter par ek najar dalne ke liye bhi aapke paas time nahi bachta. Or final exams ke liye aapko har chapter ki jankari jaruri hai chahe thodi si hi kyo na ho.
2. Study karte time Spot change karte rahe
Samay ke sath environment change ho rha hai. Ab aap ek hi jagah baith kar jyada time nahi bita sakte. Dusra agar aap social sites wagairah me jyada involve rahte hai to aapka man ek jagah ruk kar koi bhi kaam nahi kar sakte. Yahi chij aapke study me effect kar sakti hai.
Aap ek jagah baith kar jyada der tak nahi padh sakte. Isase bachne ke liye aap ghar par kam se kam 4 spot choose kare. Agar aapka ghar bahut chota hai ya maan lijiye ki ek room hai to aap unke char corner ko chun lijiye. Agar aapka ghar bada hai tab to or bhi acha hai. Aap har 1-2 ghante me ise change kare.
Asal me Aap jahan baith kar padhte hain. Wahan ki graphics aapko bore karne lagti hai or aapko lagta hai ki book bore kar rahi hai. Jab aap apna spot change karte hain to aapke samne ki graphics change ho jati hai. Or isase kafee had tak aapki boriyat door karne me madad milati hai. Or aapka mind kuch or der tak study me concentrate kar sakta hai.
3. Same subject ki theme change kare
Final exams start ho jate to aap chah kar bhi book or table ko chhod nahi pate. Aapka man thak jaaye fir bhi aapko padhna continue rakhna padta hai. Lekin aise me jab aapka man puri tarah oob jata hai to aap study to kar rahe hote hain lekin aapka mind kuch bhi recieve nahi karta.
Man is liye thak jata hai kyoki aap ek hi kaam bahut der se kar rahe hote hain. To chaliye kaam change karke dekhte hain. Aap ye mat sochiye ki padhayi na karke kuch or karna hai. Nahi aapko padhayi to karni hi hai lekin padhayi me aap abhi tak jo kuch kar rahe the use change kariye.Aayiye aapko btate hain ki karna kya hai.
Agar aap phyaics ke question samajh ya padh rahe hain to thodi der ke liye iske numericals karne start kar dijiye. Agar Chemistry ya Maths padh rahe hain to thodi ke liye sirf iske formula par dhyan dijiye. Isi tarah agar aap History padh rahe hai to isme aap sirf historical moment ke year ya timing par dhyan dijiye. Agar Biology, Geography hai to diagram banayiye. Is tarah aap apne subject se hatne se bhi bach jayenge or aapka time bhi kharab nahi hoga.
4. Study ke dauran important line highlight ya underline kare
School ya college me ye koi nahi baat nahi hai. Lekin ye tips aapko important topic note karne liye mila hoga. Jiska mere hisab se aapko lagsa hoga ki final exams ke time par koi kaam nahi hai.
Ji nahi ! Aap ise apne final exams ki taiyari ke time me bhi use kar sakte hai. Aap apni study ke dauran aise imortant lines ko highlight kare or ek baar dobara padhe. Isase aapko ye line puri tarah mind me fix ho jayegi or kisi topic se related ek main line agar aapko achi tarah yaad rah jati hai to aap us par aaya koi bhi question asaani se answer kar sakte hain.
5. Raat bhar jaag kar padhna avoid kariye
Agar aap ye sochate hain ki aap raat raat ko jaag kar jyada padh lenge or ye aapke exams ke liye acha hoga to aap galat soch rahe hain. Sabse pahle to isase aapki health par asar padta hai or tabiyat kharab hone ka dar hota hai. Agar aapne isase pahle aise raat-raat bhar padhayi karke paper diye hain to jara dimag me jor daliye ki aapne us raat jitna padha usme se kitna exams me likh kar aaye hain.
Mere hisab se 10-20% tak bas. Paper me question dekhte hi aapko ye lagta hai ki haan maine ye question padha tha lekin likhte samay kuch samajh nahi aata ki start kaise kare.
Mind par jabardasti pressure dalne se kam banane ke bajay bigad jata hai. Isliye ise rest dena bhi jaruri hai. Apna study ka aisa schedule banaye jisme aapki night kharab na ho. Jab aapka mind fresh hoga to jyada se jyada content compeletly recieve karega. Or yahi acha hai. Iske liye aap ye post padhe.
Mind par jabardasti pressure dalne se kam banane ke bajay bigad jata hai. Isliye ise rest dena bhi jaruri hai. Apna study ka aisa schedule banaye jisme aapki night kharab na ho. Jab aapka mind fresh hoga to jyada se jyada content compeletly recieve karega. Or yahi acha hai. Iske liye aap ye post padhe.
To ab in tips ke according apni study schedule me thode changes laye or aane final exams ko different style se face kare. Agar aapke paas bhi koi aise tips hain jo students ke liye faydemand ho sakte hain to comment box me bataye.
Subhe subhe paden
ReplyDelete