X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Instamojo- online store banaye payment mangaye or refer karke kamaye 500 Rs..

Duniya jitani digital hoti ja rahi hai utani jyada facilities roj din hame mil rahi hai. Online transaction ke liye aaj bahut sari suvidhaye apps or websites ke dwara hame mil rahi hai. Instamojo inme se ek hai. Ayiye dekhte hain Instamojo kya hai. Isame kaun sa product online bech sakte hain. Online paise recieve kaise kare. Or refer karke earn kaise kare ?


Refet and earn 500 instamojo account


Instamojo kya hai

Instamojo India ki ek company hai jo hame physical product, Digital product, event tickets or bhi kayi product online bechne ki facilties deti hai. Iski khaas baat ye hai ki aap online selling ke liye jo payment recieve karenge uske liye ek link create kar sakte hain or us link ko msg, whatsapp ya kisi bhi messenger par send karke bina apni bank account detail kisi ko diye hi payment recieve kar sakte hain.


Yeh PAYTM, FREECHARGE, BHIM APP, or baki ke bank app jaise ICICI Imobile, PHONEPE se kuch alag or kuch milta julta hai. Isme aap ek instamojo link banakar jo paise recieve karenge wo aapke instamojo account me add ho jayenge. Iske baad aap apna bank account isme verify karayenge. Or fir apne bank account me transfer kar sakte hain. Isme aapko total transact amount ka 2% + 3₹ transaction charge lagega.


Instamojo me account kaise banaye

Isme account bnane ke liye aap iska Mobile App install kar sakte hain ya simply iski website me jakar bna sakte hain. Ham yahan mobile ki help se instamojo account banayenge.

Step 1:- Sabse pahle iski website par jane or 500 ₹ paane ke liye yahan click kariye.

Step 2:- Ab aapke saamne niche diya hua page open ho jayega. Ab aapko sign up karna hai. Aap sign up for free par click kar dijiye.



Step 3:- Ab aapke samne page open hoga. Usme sign up ke 3 option honge.
1. Google
2. Facebook
3 Instamojo register



Aap facebook ya google account ko link karke asaani  se account bna sakte hain. Agar aapko instamojo me register karke bnana hai to aayiye dekhte hain kaise bnayi jayegi.

Step 4:- Register karne ke liye

1. Apni E-mail Id dale.
2 Ab ek strong password daliye.
3. Or Sign up par click kar dijiye.

Step 5:- Ab aapko apna Mobile no. Verify karna hai. 1.Apna mobile no. dalkar verify par click kar dijiye.
2. Ab aapne jo number dala hai us par ek OTP code aya hoga. Use dekhkar dal dijiye or verify kar dijiye.

Read also


Step 6:-Ab jo page open hoga usme apko instamojo username bnana hai. Ise bahut dhyan se or bahut hi saral sa bnana hai. Kyoki is username ke sath bhi aap payment kar sakte hain. Ye username kuch aisa dikhega jaise

Instamojo.com/ashishjais


Aap upar diye link me click karke mere instamojo account me paise pay kar sakte hain. Isi tarah aap bhi apna manpasand username bna sakte hain.

Step 7:- Ab aapko apna PAN card verify karna hai. Username bnane ke baad jo page open hoga. Us par
1. Apna PAN card daliye.
2. PAN card ka name daliye.
3. Ab next par click kar dijiye.


Step 8:-  Ab Bank account detail fill kariye.
1. Apna name daliye jo aapke bank account me ho.
2. Apna account number daliye fir dobara confirm kariye
3. Ab Bank IFSC code daliye.
4. Ab terms padhiye or create account par click kariye.

Congratulation ab aapka account ban gya hai.

Instamojo se kya kya kar sakte hain

Account bnakar aap online product bech sakte hain. Yani aap apna online business start kar sakte hain.
Iske liye aap niche image me dekhiye. 



1. Menu me jayiye
2. Ab add product par click kariye
3. Ab aapko jaisa store bnana hai uska option aapke samne aa jayega. Aapke samne Physical product, event ticket, Digital event or kuch or option aa jayenge. Aapko jaisa product add karna hai us par click kar dijiye.


4. Ab yahan ham Physical product ke liye online store create karenge. Physcal product par click kar dijiye. Jo page open hoga us par

  • Poduct ka title daliye.
  • Yahan product detail daliye
  • Iske baad aap order booking ke baad kitne din me shipping kar sakte hain. Ye daal dijiye.
  • Ab is product ka aapko jo price rakhna hai wo rakh dijiye.


5. Ab aapko iski kuch Advance setting karni hai.

  • Advance setting me aapko koi url dalna hai. Ye url aapka koi blog ya website ya koi facebook page ka url ho sakta hai.
  • Ab agar aapko thanks message likhna hai to likh diiye. Ye message jab koi aapke product ko purchase karke payment karega to use automatic chla jayega.
  • Ab aapko ek webhook url dena hai. Jisase ki agar koi purchaser purchase karta hai to uski sari detail us webhook url par chali jayegi.

6. Ab last me aapko SEO setting karni hai. Seo ka matlab aapne jis product ko yahan sell ke liye ready kiya hai. Agar koi same product google ya kisi search engine me search kare to aapka product bhi result me show ho. 


Isi tarah aap Digital store, event ticket or kisi tarah ki membership ke liye bhi online store bna sakte hain.


Payment link kaise banaye

Ab product ke liye payment link bnani hai.

Iske liye aapke dashboard me ek option hoga create a payment link us par click kare.

Agar aapke dashboard me aisa koi option nahi dikhta to aap menu par click kare.

Menu par clik karte hi aapko option dikh jayega. Create link par Click karte hi ek pop-up window open hogi.



Ab is par 2 chije puchi gayi hongi. Sabse pahle aapko ye likhna hai ki aap kis purpose ke liye link create kar rahe hain fir uske baad kitna amount lene ke liye kar rahe hain.

Dono chije bhar kar create par click kar dijiye.

Instamojo link se payment kaise le

Is link se easily payment le sakte hai. Jisase aapko payment lena hai use is link ko bhej dijiye.

Jab aap upar bataye gaye tarike se link bna lenge to link bhejne ke liye sabse pahle menu par jayiye.



Menu me jakar payment links par jayiye. Aap image dekh kar bhi samajh sakte hain.



Ab aapke samne custom payment link ka option hoga use click kar dijiye.

Ab send payment link par click kar dijiye. 
Aapke samne aapka link aa jayega. Ab aap use copy kar sakte hain ya direct whatsapp meassage facebook twitter ya kisi bhi option se send kar sakte hain.

Ab jab aapke us link par koi click karega to niche diya gya page open hoga. Jisme wo apna naam, email id or mobile number dalkar next par click kar dega.



Or next page par apne credit card, debit card, net banking ya wallet se payment kar sakta hai. Is tarah aapne link me jo payment fix ki hogi wo amount aapke instamojo account me aa jayegi.


Instamojo invite & earn se 500 Rs kaise kamaye


Aap iska referral link bhej kar per invitation 500 Rs tak kama sakte hain. Iske liye aap us step ko follow kare.

Step 1:- Apne instamojo menu par click kariye.

Step 2:- Ab invite & earn par click kariye.



Step 3:- Aapke samne aapka referral link or code aa jayega or sath me facebook whatsapp twitter or msg ke option aa jayenge. Ab jiske through link bhejna hai us par click kar dijiye. 

Bas ab agar koi aapke link se Instamojo me account banakar kisi tarah ki koi transaction karta hai to aapko 500 ₹ mil jayenge.


Instamojo se product sell karne or transacrion shuru karne ki lagbhag sabhi jankari aapko yahan de di gayi hai. Ab aap payment lene ke liye ise bhi try kar sakte hai. Sath hi ise refer karke per refferal activation 500 ₹ bhi kama sakte hain. Agar aapko isase related koi or jankari chahiye to aap comment karke puchhe.

Comments