X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Jio money mPIN aur password bhul jane par app unlock kaise kare

Jio Money kya hai ye to aap jaante hi honge. Or ise chalana kaise hai ise bhi mai pichali post me bta chuka hu. Aaj ham baat karenge ki agar aap apne Jio money wallet app ka Mpin ya password bhul jaye to us ko unlock ya recover kaise kare. 

What to do after forgeting password and mPIN in jio Money


Ye app jitna secure hai kabhi kabhi aapke liye utna hi problem create kar deta hai. Kisi bhi website me ek password yaad rakhna to mushkil hota hai. Lekin isme password or Mpin jaise 2- 2 security features diye gaye hain. Jo bnane me to aap kisi tarah bna lenge. Lekin agar kuch din ke liye apne ise use nahi kiya to aap ise bhul jayenge or fir ho gaya aapke dimag ka dahi ๐Ÿ˜Š. 




To agar aap password ya Mpin bhul gaye hain to apko jarurat hai aise trick ki jo aapke password ko secure or saral banaye. Iske liye pahle ye post padhe



Agar aap Jio money istemal kar hai to mujhe yakin hai ki aap iska kafee acha experience le rahe honge. Jio money me account bnane me thodi si pareshani aati hai jise maine pichali post jio money kaise use kare me achi tarah samjaya tha. To ab topic par aate hain.


Jio money wallet app me Mpin or password bhul jaane par kya kare

Agar aap Mpin bhul gaye hain ya password bhul gay hain to apko ise dobara bnana padega. Isme kahin bhi ye suvidha nahi hai ki ye aap pta kar sake ki aapka purana wala Mpin ya password kya tha. 
To iska sidha sa ek hi solution hai ki aap niche diye steps ko follow karke nya Pin or pasword dalkar apne account ko unlock kar sakte hain.



Jio money app ka sirf mPIN bhul gaye hain to kya kare

Ise recover to nahi kar sakte lekin apna account unlock kar sakte hain. To chaliye dekhte hain kaise.

Step 1:- App open kariye apna phone number daliye or Login/sign up par click kariye.

Step 2- Ab jo page open hua hai usme pin keypad ke right side ( Dayin taraf ) me niche dekhiye Forgot mPIN? likha hoga. Is par click kar dijiye.

Click on forgot mPIN


Step 3:- Ab jo page open hoga. Us par aapko aapka password dalna hain. Atleast ye to aapko yaad hi hoga. 




Step 4:- Pasword ke dalne ke baad proceed par click kar dijiye.

Step 5:- Ab apke samne New Mpin create karne ka option aa jayega. Ab aap nya Pin daliye. Mpin aisa daliye jo aapko yaad rahe. 

Step 6:- Bas ek baar ise dobara confirm kariye. And it is done. Bas aapka account easily unlock ho gya hai.

Ye bahut hi asaan hai. Bas aap isi tarah kisi bhi problem ke liye is website ko dhyan me rakhiye ya apne browser ke bookmark me save kar lijiye.




mPIN or password dono bhul jaane par kya kare


Agar aapke sath aisa ho gya hai tab to aap bure fas gaye hain๐Ÿ˜‰. Lekin tension mat lijiye jab tak mai hu aapka account block rah hi nahi sakta. Aayiye dekhte is problem ko solve kaise kare aapke account ka darwaja kaise khole.

Step 1:- App open kariye. Apna number daliye or login/sign up par click kariye.  Ab jahan Pin keypad ke niche Forgot mPIN? likha hai wahan click kariye.

Step 2:- Ab jo page khulega usme aapko apna password dalna hai. Lekin aapko to wo bhi yaad nahi hai. To fir se is page me jahan Forgot? likha hai wahan click kariye.

Click on forget for password


Step 3:- Ab aapko apna date of birth dalna hai. Kam se kam ye to aapko yaad hi hoga. Iske baad proceed par click kar dijiye.

Step 4:- Ab aapke mobile number par ek OTP code aayega. Ab jo page open hoga usme 

Fill date of birth


1. Otp daliye
2. Naya pasword daliye.
3. Ek baar pasword fir se confirm kariye  or create par click kar dijiye. 

Agar aapko pasword  bnane me pareshani ho to yahan click karke padhe.



Step 5:- Ab jo next page open hoga usme naya pin bnaye 

Done ! Aapka password or PIN dono naya ho gya or aapka purana account bhi unlock ho gya hai.


Jio money app ka Mpin, password or exact date of birth sabhi yaad na hone par kya hoga

Fir to apka kuch nahi ho sakta. Aapko naye mobile number ke sath naya wallet account bnana padega. Isliye koshish kare apne ye sabhi data ek diary me likh kar rakhe.

Naya account bnane ke liye upar ek post ki link di gayi hai. Us par click karke padhe ya search box me search karke title par click karke padhe

Friends aapko kisi bhi tarah website ya kisi app ke password ya account bnane me problem ho rahi ho to aap comment kare. Aapko puri jankari detail me batayi jayegi. 


Comments

  1. I hv blocked my jio money account.
    how to unblock it.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Amit. aap is post me diya gya process follow kare

      Delete
  2. How to reset jio money mPIN.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Raj. Aap is post ka process follow kariye

      Delete
  3. Agar Dob (Date of birth ) bhi nhi yaad ho tb kya krege...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Iske liye aapko account bnane ke turant baad hi 3 security questions set karne padenge. Jab aap password or date of birth bhul jayenge to in questions ka answer dekar account unlock kar sakte hain

      Delete
    2. sir m password or dob bhul gaya hu

      Delete
  4. sir m password or apni dob bhul gaya hu or meri jio mony id khul nai rhi hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar 3 security question set kiye honge to uska answer dekar account open kar sakte hain. Nahi to aapko naya account bnana padega.

      Delete
  5. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

Post a Comment

Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.