X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Jio Prime membership kaise active kare - 3 Tarike

Hamne apni pichhli post me btaya tha Jio prime offer plan kya hai. Agar aap ye membership join karna chahte hai or nahi jante kaise join kare to mai aapko btata hu Jio prime memebership kaise le or member kaise bane. Iske kon kon se tarike hai.



1 March se aap ise join kar sakte hain. Iska fayda ye hain ki Jio ne pahle jo data recharge ke plan nikale the. Is ₹ 99 ke membership plan ke baad wo or bhi jyada saste ho jayenge. 31 March 2017 tak aap iski membership le sakte hain. Iske baad ise band kar diya jayega.

Jio prime membership ke baad kitne ka data plan lena padega


Jaisa ki sab jante hai or shayad aap bhi yahi jante honge ki is plan ke baad aap sirf 303 Rs. mahine ke data recharge kar sakte hain. Jis par unlimited data jisme daily 1 GB data 4G ki speed or fir 128 kbps ki speed se milega. Lekin aisa nahi hai. Aap is memebership ke baad 19 Rs. se lekar Rs. 9999 ka koi bhi plan le sakte hain.


Prime plan or non-prime ke data plan me kya antar ( Difference ) hai


Yahan par prime plan or non-prime plan campare kiye ja rahe hai. Jisase ham samajhne ki koshish karenege ki is memebership plan ke baad hame kitna or kya benefit hoga.


₹ 19 ka plan

Prime- 200 MB, 
Non-Prime -100 MB ,voice call or sms unlimited ( Validity- 1 din ) 

₹ 49 ka plan

Prime- 600MB, 
Non-Prime - 300 MB, voice call or sms unlimited ( Validity - 3 din )

₹ 96 ka plan

Prime- Unlimited data ( daily 1 GB 4G uske baad 128kbps ), voice call or sms unlimited (validity- 7 din)
Non-prime- 0.6 GB ( lagbhag 600 MB )voice call or sms unlimited validity - 7 din

₹ 149 ka plan

Prime- 2 GB, 
Non-prime - 1 GB  voice call unlimited sms- 100 validity - 28 din

₹ 303 ka plan

Prime- Unlimited data ( daily 1 GB 4G uske baad 128 kbps speed ) voice call and sms unlimited validity -28 din, matlab total 28 GB  4G data 1 month me 

Non-prime -2.5 GB data 28 din ke liye unlimited voice call or sms

₹ 499 ka plan

Prime- Unlimited data ( 2 GB daily 4G speed uske baad 128kbps speed ) unlimited voice call or sms validity - 28 din, matlab total 56 GB 4G data

Non-prime 5 GB data + unlimited voice call or sms validity - 28 din

In plans ke sath aapko samajh me aa gya hoga ki Jio prime or non-prime me kitna bada antar hai. Or sabse badi baat iska member banane ke baad jaruri nahi ki aapko 303 rs ka recharge karana hi pdega. Aap chahe to apne jarurat ke hisab se kam ya jyada ka bhi recharge kar sakte hain. Prime plan ke sabhi benefit janane ke liye ye post padhe


Sath me aap ye bhi samajh gaye honge ki agar aap Jio prime plan nahi subscribe karenege to aapka kitna loss hoga. iske alawa bhi ₹ 999 ka plan, ₹ 1999 ka plan, ₹ 4999 ka plan or ₹ 9999 ka plan jisme aapko isase bhi jyada fayda hoga. To isase pahle ki internet me ise active karne walo ki bheed badh jaye or jio ka network down chalne lage. Chaliye dekhte hain ki iski membership kaise milegi.

Jio prime membership pane ke liye kya kare - 3 tarike

Method 1 - My Jio app se

Step 1:-  My Jio app ka update version install karne ke liye yahan click kare. 

Step 2:- App open kariye or 5 sec rukiye. Aapke samne niche di huyi screen open ho jayegi.



Step 3:- Agar aisi screen nahi aati to my jio par click kariye. Ab menu me jakar Jio prime par click kariye.

Step 4:- Ab is screen me jahan Get jio prime likha hai wahan click kare


Step 5:- Ab jo screen aapke samne open hogi 99 ₹ amount likha hoga. Wahan click kare.



Step 5:- Ab aapko iski payment karni hai. Ise aap Jio money, credit card, debit card ya net banking ke dwara kar sakte hain. Ab jisase aapko payment karna hai kar dijiye.


Method 2 - Jio ki website dwara

Step 1:- Sabse pahle jio ki site me jane ke liye yahan click kare.

Step 2:- Ab aapke samne jo screen open huyi hai. Us par Get jio prime par click kariye.



Step 3:- Apna Jio Number dal kar submit kar dijiye.



Step 4:- Ab membership plan par click kariye. Or fir get prime plan par click kar dijiye.

Step 5:- Ab payment method choose karke 99₹ pay kar dijiye.


Method 3- Apne nearest Jio office se

Iske liye aapko apne paas ke Jio office jana hai.
Apna number verify karana hai.
Or 99₹ fee jama karne hain.


Congratulation aapko Jio ki prime member ship mil gayi hai. Ab aap 31 March ke baad upar diye plan benefit ke according koi bhi recharge kare or unlimited maja continue kare.



Last word

Kul mila kar is membership plan ke jariye Jio apni sim ka cost aapse le rahi hai. Lekin agar dekha jaye to in 6 mahino me jio users ne jitna khul kar internet use kiya hai. Shayad wo market me Jio ke aaye bina possible nahi tha. Isase pahle agar aap 200 se 250 ₹ de kar 1 month me 1 GB net ka data pack use karte the. To aapko iski importance pta chal rahi hogi.

Filhaal market me aise bahut se plan aane ki khabar hai jo jio se ache or saste hain. Lekin ye sirf or sirf khabare hi hain. Kisi retail shop me ya online aisa koi offer nahi mil rha hai.


To agar aap 31 March ke baad bhi khul kar internet use karna chahte hain to abhi is membership plan ko le lijiye. Kyoki 31 March ke baad ye band kar diya jayega or non-prime plan ke hisab se recharge karwana pdega. Aisa na ho ki aap kisi or company ke ache plan ka wait karte rahe or ye offer bhi aapke hath se nikal jaye. 99₹ koi jyada bada amount nahi. Ek baar aap iske member ban gaye to saal bhar aap saste internet ka maja lete rahenge.

Membership ke baad aap jarurat ke according recharge kar sakte hain. Agar aap kisi mahine me recharge nahi karana chahte or net nahi chalana chahte to aapko koi paisa nahi dena pdega. To abhi activation process start kariye or kisi tarah ki problem ho to comment karke puchhe.

Comments