Oxigen wallet app me account kaise banaye. Paise add or transfer kaise kare
Aapne ab tak kitne online wallet use kiye honge lekin agar oxigen app nahi use kiya to ab jarur kariye. Baki wallet ke mukable ise chlana bahut hi saral hai. Aayiye dekhte hai Oxigen wallet app me account bnane ka tarika kya hai. Or isase paise add or transfer kese kiya jata hai.
Read also
Isme aap asaani se money add karke transfer kar sakte hain, Apna mobile number recharge, gift card send, Bus ya train ki ticket booking kar sakte hain or Oxigen wallet ke through kisi se bhi paise mangwa bhi sakte hain.
Oxigen wallet me register kaise kare (account kaise bnaye )
Is wallet ki rating play store me 4 se niche hai lekin fir bhi iski featuring kafee achi hai. Mere khyal me aapko ye wallet app ek baar jarur try karna chahiye. Isme sign up karne ke liye niche diye steps ek baar ache se padhiye uske baad follow kariye or easily money bheje or mangaye
Step 1:- Sabse pahle is app ko yahan se download kare
Step 2:- App open kariye. Ab aap jis number ke sath account bnana chahte hain wo number daliye. (Note:- Koshish kare ki Jio ke alawa koi number use kare.) Niche image me dekhiye number dalne ke liye kahan click karna hai. Mobile number dalne ke baad OK par click kar dijiye.
Step 3:- Ab jo page open hoga usme apna
1. Naam daliye
2. Date of birth daliye ( Janamtithi )
3. Password daliye
Read also
Isme aapko numeric password dalna hai. Matlab sirf number wala. Jo ki 6 number ka hoga. Jaise 383625 ya 345021 ya aise hi kuch bhi jo aapko asaani se yaad rah sake.
Step 3:- password dal kar Submit par click kar dijiye.
Step 4:- Ab aapne jo number dala hoga usme ek OTP code ayega use copy karke ab jo page open hoga us par dal dijiye or submit par click kar dijiye.
( Note:- Jio ke number par kabhi kabhi Ye OTP aane me time lagta hai ya aata hi nahi hai. Isi liye koi or number hi use kare )
Step 5:- Submit karte hi aap next page par pahuch jayenge. Ab isme aapko Apni Email Id dalni hai. Kuch email Id jo aapke phone ke play store ya emails ke liye chal rahi hogi wo automatic fetch ho kar aa jayegi. Aap chahe to unme se select kar sakte hai ya nayi e-mail id ke sath aage badhe. Iske liye kahan click karna hai aap niche image dekh sakte hain.
Step 6:- Ab aapko apne area ka pin code dalna hai. Agar aap area code nahi jante to yahan click karke jan sakte hain.
Step 7:- Promo code me kuch nahi dalna hai. Bas last me OK par click kar dijiye.
Congratulation aapne apna account bna liya hai.
Oxigen wallet me paise add kaise kare
Ab aapko wallet me paise add karne hain. Aayiye dekhte hai kaise.
Step 1:- account bnakar aap main page par aa jayenge. Ab jahan LOAD MONEY likha hai wahan click kariye. Niche image dekhiye kahan click karna hai.
Step 2:- Ab jo page open hua hai. Usme aapko wallet me kitna paisa add karna hai wo daliye.
Step 3:- Paisa dalne ke liye aapke samne credit card debit card, net banking or IMPS ka option hai.
Mere hisab se debit card ka option aapke liye saral hoga. Aapka ATM card hi debit card ka kaam karta hai. To chaliye ATM card se paise add karke dekhte hain. Aap debit card par click kar dijiye.
Step 4:- Ab aapko apne ATM card ki detail dalni hai.
1. Card ka number daliye. Card ka number aapke card ke samne wala 16 number hoga. Kisi kisi me kam ya jyada bhi hota hai.
2. Ab apna naam daliye. Jaisa ki bank account me likha gya ho.
3. Ab apne ATM card ki expiry date daliye. Ye aapke card ke saamne card number ke niche likha hoga.
4. Ab CVV daliye. Card ko palat kar dekhiye. Black label ke niche ke number me se last ka 3 number hi CVV hai. Aap upar image me dekh sakte hain. CVV ko indicate kiya gya hai.
5. Nickname me koi apna short name ya kuch bhi naam dal dijiye.
6. Iske baad jo option hai. Wo card ko save karne ka hai. Agar aap is par tick karenge to ye save ho jayega. Or future me kabhi aapko paise add karne huye to aapko sirf CVV dalna padega or payment ho jayegi. To agar aap ise save karna chahte hain to tick kar dijiye nahi to aise hi chhod dijiye.
7. Last me ADD MONEY par click kar dijiye.
Congratulation aapke oxigen wallet me paise add ho chuke hain.

Oxigen wallet se paise transfer kaise kare
Oxigen wallet se aap kisi bhi mobile number, bank account me to money transfer kar hi sakte hain. Sath hi aap chahe to kisi ke whatsapp, facebook or twitter account par bhi paise transfer kar sakte hai. Aayiye dekhte hain kaise karna hai.
Mobile number par transfer karne ke liye
Step 1:- Sabse pahle mobile par transfer karne ke liye app ke main page se send par click kariye.
Step 2:- Ab bas jo page open hoga. Us par jitne paise send karne hain wo daliye aur wo mobile number daliye jis par aapko paise bhejne hai.
Step 3:- Last me send par click kar dijiye. Or fir confirm karke OK kar dijiye.
Bank account me transfer karne ke liye
Step 1:- Main page me send par click kariye. Ab jo page open hoga usme jahan bank likha hai wahan click kariye.
Step 2:- Ab jo amount bhejna hai wo daliye.
Jiske bank account me bhejna hai uska naam likhiye.
Ab jis bank ka account hai uska naam likhiye. Jaise State bank of India. Isi tarah jo bhi bank ho.
Ab account number daliye or send money par click kar dijiye.
Bas apke paise easily send ho gaye hain.
Facebook whatsapp or twitter se paise kaise bheje
Aap isi tarah bank ke bagal wale option par click karke kisi ke facebook, whatsapp or twitter ke account me paise bhej sakte hain. Aayiye dekhte hain kaise.
Step 1:- Main page se menu me jayiye. Ab social connect par click kariye.
Step 2: Ab aapke samne facebook messenger, whatsapp or twitter me se jisase aapko money transfer karna hai. Us par click kar dijiye.

Step 3:- Ab main page par wapas aayiye or send par click kariye.
Step 4:- Ab whatsapp facebook ya inme se jise aapne social connect setting se on kiya ho us par click kariye.
Read also
Step 5:- Ab amount dalkar jise paise bhejne hain use choose kariye or last me send kar dijiye.
Bas aapke paise is naye tarike se bhi asani se transfer ho gaye hain.

Facebook messenger whatsapp twitter se paise recieve kaise kare
Ye bahut hi assan hai. Jaise maan lijiye ki aapko kisi ne messenger ke through paise bheje to aapke messenger box me ek link message aayega.
Us link par click karte hi aap direct oxigen wallet par chale jayenge. Or aapke oxigen wallet par utane paise add ho jayenge jitane aapko bheje gaye honge.
To dekha aapne ki Oxigen wallet me account bnana kitna easy hai or utna hi asaan paise add, send or recieve karna hai. Isi tarah aap apna mobile number recharge kar sakte hain, bus ki ticket book kar sakte hai or gift card send or recieve kar sakte hain.
Ise achi tarah padk kar account bnana start kariye. Agar is process me aapko kisi tarah ki problem ho to comment karke puch sakte hain.
Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.