Success ke top 10 rules- Mahendra Singh Dhoni
M. S. Dhoni, sitare jaisa chamakta naam, jise kisi bhi pahchan ki jarurat nahi or jo khud aaj Indian cricket ki pahchan ban gaya hai. Aap inke baare me ache se jante honge. Dhoni ke success ke picche raaj kya hai. Har basr unka decision sahi kyo jata hai. Kya ye unka luck hai ya unki mehnat ?
Dhoni ne cricket ki duniya me jo record bnaye hain or jo mukam haasil kiya hai. Unse kuch sikhne ka man karta hai. Mahendra Singh Dhoni ko aaj kaun nahi janta. Har wah country jahan cricket game khela jata hai Dhoni ke fans aapko mil jayenge. Even India ke main competitor Australia or Pakistan jaisi team ke player or fans bhi unke murid rahe hain.
Dhoni ne apni cricket career me bahut se kaam kiye jisase wo aaj duniya ke har cricketer se alag najar aate hain. Aayiye dekhte hain Mahendra Singh Dhoni ki life se jude wo 10 rules, jinhone unhe successful bnaya. Apne jeevan me safal hone ke liye aap bhi in rules ko follow kare or apni manjil ko kareeb laye.
Aisi badi hasti se koi bhi insipired ho sakta hai. Har kisi ko safal aadmi se kuch sikhne ki lalak hoti hai ya kuch jalan hoti hai. Lekin uski safalta ke liye uski mehnat or tyag ko har koi nahi samajhta hai. Unki jindagi aam aadmi se alag dikhti hai. Lekin aisa kyo hai. Aisa isliye hai kyoki wo aam aadmi ki tarah kahin bhi tutate ya mudate nahi. Inme kuch to khaas hota hai jo ek aam aadmi me nahi hota. Or wo hai ek target, ek success or ek zid.
Karna hai matlab karna hai.
Pana hai matlab pana hai.
Or aise hi kayi or tough rules & bold decision.
![]() |
Image credit |
Dhoni ne cricket ki duniya me jo record bnaye hain or jo mukam haasil kiya hai. Unse kuch sikhne ka man karta hai. Mahendra Singh Dhoni ko aaj kaun nahi janta. Har wah country jahan cricket game khela jata hai Dhoni ke fans aapko mil jayenge. Even India ke main competitor Australia or Pakistan jaisi team ke player or fans bhi unke murid rahe hain.
Dhoni ne apni cricket career me bahut se kaam kiye jisase wo aaj duniya ke har cricketer se alag najar aate hain. Aayiye dekhte hain Mahendra Singh Dhoni ki life se jude wo 10 rules, jinhone unhe successful bnaya. Apne jeevan me safal hone ke liye aap bhi in rules ko follow kare or apni manjil ko kareeb laye.
Mahendra Singh Dhoni ko safal banane wale unke 10 rules
Karna hai matlab karna hai.
Pana hai matlab pana hai.
Or aise hi kayi or tough rules & bold decision.
1. Do what you like-
Pahla rule ' wahi karna jo ki acha lage ' . Jindagi me Parents se lekar teacher or ghar ke or member, sab ka dabav hota hai ki aap unke according apna career chune. Aap wo kare jo wo chahte hai. Lekin agar aap kuch aisa karna chah rahe hain jo sabse alag hai. To aapka sath dene wala koi nahi hai.
Ab aap jo chahte hain. Jo aapko acha lagta hai. Use kaun karne dega. Upar se 'wo bagal wale Sharma ji kya kahenge' 😑 iski bhi tension. Aapko sabke against jana padega. Apni raah khud chunani padegi.
Tab tak to thik hai ki aapko koi support nahi kar rha or aapko khud hi kuch karna pade. Lekin tab kya ho, jab aapko aage bhi na badhne diya jaye. Tab aapko ladna padega. Situation badalni padegi. Aapko kuch aisi situation create karni padegi. Jisme aap dusaro ko satisfy karke apne liye bhi time nikale.
' Do what you like' ya ' Jo aapko acha lage' ek simple sa dikhne wala ye sentence bahut hi pareshaniyo ko ekattha kiye huye hai. Iske sath jaane ke liye bahut si problem face karni padti hai. Jisne ye face kar liya wo champion.
2. Simple living and focus
Koi nahi janta ki kal kya hoga. Is liye simple life jeene ki koshish kare. Aapke jeevan me jitna sadapan hoga aapka focus utna jyada aapke career par hoga. Success ka maja sadepan me hi hai.
Iska example aap Dhoni se le sakte hain. Unke ghar parivar se lekar unke cricket career or marriage life har jagah aapko simple living dekhne ko mil jayegi. Itane paise hone ke bawjood aaj bhi wo glamorous life se door hain or aaj bhi apne khel par pura focus kar rahe hain.
3. Believe in yourself
Khud par viahwas rakhiye. Aap jo bhi kar rahe hain us par safal honge, is baat ka aapko vishwas hona chahiye. Aap tabhi success honge jab apke sapne sachche honge. Agar aapko apne aap par vishwas nahi hai to aapke sapne bhi khokhle hain. Unka koi astitva nahi hai
Agar aap cricket khel ko hi le to aapko ball aane se pahle ye vishwas karna padta hai ki is ball par bada shot maar sakte hain. Iske baad baat bawler par jaati hai ki uski fenki huyi ball kis tarah se aati hai or uska kya result hua.
Bikul isi tarah aapko vishwas karna padega ki condition aapke according hi hogi or aap kar lenge.
4. Don't be afraid
Failure ka dar apne dimag se nikaliye. Aap kya karne ja rahe hain or usme aapo kitni safalta milegi. Ye na soch kar aap apni planning ke according bas kaam karte rahe.
Dhoni ne apne life or cricket career me bahut se aise decision liye jisne unko baki sab se different bna diya. Agar aapko kuch pana hai to risk to lena pdega. Or wo bhi aisa risk jo sabko sochne par majboor kar de. Success bhi real hai or failure bhi. Lekin aise step or risk lekar aap fail ho ya success, aapko fame milna hi hai.
Aise bahut se step Mahi ne liye hain. Yahan baat karte hain T-20 world cup 2007 ke final ki. Jab last over me Mahendra Singh Dhoni ne Joginder Sharma ko ball di to sabke chehre dekhne layak the. Unke paas kayi jaane pahchane or manjhe huye bowler hone ke bawjood unhone ek aise bowler ke sath daanv khela jo sab ko chaukane wala tha.
Ye bhi padhe
Lekin us world cup final match ki jeet ne ye dikha diya ki aapka vishwas sabse alag chij hai, uske aas paas kisi tarah ke dar ke liye koi jagah nahi hai. Isliye life me kuch aise step jarur le jiski success, ek normal success se kahin jyada badhkar ho. Jiska celebration apne aap me special ho.

5. Make a proper time schedule
Mahi ke according successful hone ke liye time ko value dena jaruri hai. Apne work ki scheduling karke aap apna bahut sa time waste hone se bacha sakte hain. Or is time me aapko jo kaam karna hai ya jo ho chuka hai use review kar sakte hain.
Time ka paband hona to hamesha se hi acha mana gya hai. Lekin jab baat career or success ki hoti hai to aapko jarur is tips ko follow karna chahiye.
Time ka paband hona to hamesha se hi acha mana gya hai. Lekin jab baat career or success ki hoti hai to aapko jarur is tips ko follow karna chahiye.
6. Dont blame others & take responsibilities
Kisi dusare ko kabhi blame mat kariye. Aap aaj jo kuch bhi hain apni wajah se hain or kal jo kuch bhi honge wo bhi apni wajah se hi. Aapko bas kisi ka support mil sakta hai lekin wo aapki life ke liye jimmedar nahi ho sakta.
Isliye apni kisi bhi situation ke liye kisi or ko doshi thahrane ke bajay use sudharne ki koshish kare. Usme kya kamiya hain use dekhiye. Or aage ki taiyari kariye.
Dhoni ne apni cricket life me bahut se aise decision bhi liye jo sahi nahi huye. Or uska karan sirf wo nahi balki unke sathi players bhi rahe. Lekin Dhoni ne unhe blame na karte huye apne anadar sudhar kiye or apni cricket life ke girte huye graph ko unhone ek baar fir nayi uchayiya dena shuru kiya.
7. Apne aas paas ke talent ko ubharne dena
Dhoni ke upar kayi baar aise aarop bhi lage ki wo kuch khaas players ko support karte hain or ye players wo hain jinse unki ache meljol hain. Lekin is par Dhoni ka sirf yahi kahna hota tha ki wo sirf or sirf talent ko mauka dete hain baki kisi se kisi tarah ka bhedbhav nahi hai.
Dhoni ka manana hai ki sirf aapke successful hone se aap puri tarah success ko nahi pa sakte hain. Agar aap sach me aisi success chahte ho jo aapke baad aapke naam ko bnaye rakhe to aapko dusaro ko mauka dena padta hai.
Iske liye aapko sahi talent pahchanana pdega. Kyoki agar aapne galat option chuna to logo ka muh band karana bahut kathin ho sakta hai.
Haal hi me Dhoni ke Test cricket se retirement ke baad ek interview me test ke new captain Virat Kohli ne is baat ko accept kiya ki Dhoni ne unke talent ko pahchana or unhe kayi baar fail hone ke baad bhi non-stop mauke diye. Or aaj Virat Kohli Indian Cricket me ek heere jaise chamak rahe hain.
8. Keep calm
Crodo cricket fans jo Dhoni ko field me dekhte hain unke shaant nature ko dekh kar chakit ho jate hain ki jo sakhsh itane sahasi fasile leta hai wo ground par itna shant or hamesha khush kaise rah sakta hai.
Success hona itna aasan nahi hai aapke andar kuch devine quality to hone hi chahiye. Kisi bhi condition me khud ko shaant rakhna ek bahut badi kala hai. Cricket ground me mahaul kitna bhi critical ho. Mahi khud ko shaant rakh kar decision lete hain or result unke favour me hota hai.
Mahi ke is gun ( गुण ) se kayi cricket hastiya bhi hairan ho jati hain. Pakistan ke commentator Ramij Raja ne Jab Sohaib Akhtar ka interview liya to unhone khud swikar kiya "Mahi pahle to aise bowler ko mauka dega jis par kisi ko ratti bhar bhi bharosha na ho lekin jab usi bowler ko maar pdti hai to chupchap khada ho kar dekhta hai. Is jagah par agar koi or captain ho to koi bhi abhadra vyavhar kar sakta hai. Lekin Mahi us over ke baad uski pith thapthapayega or agle over ke liye naye tips or taiyari ke sath fir se use layega. Mahi sabse alag hai or uske sath khelne wala bahut bhagyashali hai."

9. Do something different
Success ka matlab sirf paisa nahi hota. Safal wahi kahlata hai jiske paas daulat ke sath sohrat bhi ho. Kuch aisa jo itihas ban jaye, karna sabke bas ki baat nahi hoti. Dhoni ne apne cricket career me aise bahut se decision liye jisase wo hamesha logo ki najar me bane rahe. Aisa hi ek faisla unhone liya Test cricket se sanyas ka.
Dhoni ne test cricket se retirement tab liya jab wo apne career ke top par the. Dhoni ke liye sare decisions me ye bhi aisa tha jisne cricket jagat me wahwahi kar di. Ab aage wo kya karne wale hain ye to samay hi batayega.

10. Finish proudly
Kuch logo ka manana hai ki Indian team jab match jeet rahi hoti hai or Mahi non-strike end par hote hain to jaan bujh kar strike par aate hain or last ball par score bna kar jeet ka credit le jaate hain. Lekin agar aap iska ulta dekhte hain to Mahi ne aise bahut se match bhi last ball tak khele hain jisme India ka jeetna bahut hi mushkil tha. Inme se kuch match me team ko haar ka samna karna pada to kuch me jeet mili.
Iska seedha sa fanda hai ki aapka khauf jamane me barkarar rahna chahiye. Duniya ko ye dar hamesha bna rahna chahiye ki aap kabhi bhi game palat sakte hain. Aap kisi bhi field me job kare, business kare ya kuch bhi kare. Haar, jeet or jamane ke dar se hatkar pure proud ke sath inning ko finish kariye.
Hame ye kuch tips Dhoni dwara unke interview ya press conference me baatchit ke dauran pta chalte hain. Agar aap unhe folliw karte hain to or na jaane kitane discipline or principles hain jo Dhoni ki success me helpful rahe hain. Lekin in 10 rules ko follow karke aap apne future ko ek acha start de sakte hain.
Agar aapke mind me inke alawa bhi kuch tips hai ya aapko M.S. Dhoni ke andar kuch khaas dikhta hai to comment karke jarur bataye.
Agar aapke mind me inke alawa bhi kuch tips hai ya aapko M.S. Dhoni ke andar kuch khaas dikhta hai to comment karke jarur bataye.
Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.