X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

3D secure PIN kya hai kaise banaye

3D secure service kya hai or iska PIN kaise banate hain. Bahut se log abhi bhi ise nahi jante or kisi tarah ki online shopping ke dauran ise dekh kar samajh nahi paate or apna Debit card block karwa baithate hain.

What is 3d secure pin and how to create this


Mere case me maine pahli baar me yahi kiya tha or mera ATM card block ho gya. Jabki ye ek bahut hi saral sa security service hota hai or ise bnane ka tarika bahut hi easy hai. To aaj mai aapse 3D secure pin or service ke baare me kuch jankari share karunga.

3D secure PIN ya service kya hai


3D secure pin 6 digit ka ek numeric PIN hai jo aapke debit ya credit card ko internet use ke liye protection deta hai.

Jab ap kisi bhi merchant website par jaise snapdeal amazon ya flipkart par shopping karte hain to aapko online payment bhi karni padti hai. Jise aap easily apne debit/ATM card ya credit card ya net banking ke through kar sakte hain

Ye service sirf aapke debit yani ki ATM card or credit card ke online usage ke liye hai. Isme aapke card ko ek extra security ke taur par ye PIN banane ki facility di jaati hai. Or ise aapko khud hi create karna padta hai.



Jab aap pahli baar apne card ka use kisi tarah ki online shopping ke liye karte hain to payment karte time aapko ise create karne ka option aata hai.

Abhi kuch hi bank dwara ye facility available hai lekin ho sakta hai ki bhavishya me aisi facility sabhi bank dwara de di jaaye.


3D secure PIN kaise banaye

3D secure service me registration karane ke liye aap apne bank ki website se easily create kar sakte hain( Agar aapka bank ye service provide karta hai )

Ye bhi padhe


Iske alawa Jab ap kisi bhi tarah ki online shopping karenge or apna ATM card online payment ke liye pahli baar use kar rahe honge to aap automatic registration page par refer kar diye jayenge.


Step 1:- Jab aap registration page par aa jaaye to aapke paas 2 option honge.

1. ATM PIN, Valid from date & date of birth
2. OTP based registration process

Aap chahe to apne ATM card ki detail se ya apne registered mobile se 3D secure pin create kar sakte hain. Chaliye pahle option se bnate hain.

Step 2:- pahle option par click karne ke baad aapko ATM card ki detail dalni hai.
1. Aapke card ki valid thru date daliye. Valid thru date aapke registration date hoti hai.
2. Apna date of birth daliye. Jo ki aapke bank account me diya gaya ho.
3. Ab apna ATM ka pin daliye.
4. Last me Register par click kar dijiye.

Card ki detail or date daliye


Step 3:- Ab aap next page par aa jayenge. Ab yahan aapko 3D secure pin dalni hai. Jo aap rakna chahte hain.
1. PIN daliye
2. PIN repeat kariye.
3. Submit par click kar dijiye.

Fill pin and confirm again


Bas aapne 3D secure pin bna liya hai. Ab is pin ko yaad karke rakhiye.

Ab ham dusare option se bnate hain. Iske liye aapke paas aapke account se registered mobile number hona chahiye.

Step 1:- upar step 1 diya gya hai use hi follow kare or OTP wale option par click kare.

Step 2:- Ab jo page open hoga usme mobile number wale option par click kariye or fir submit kar dijiye.



Mobile nber par clic kariye



Step 3:- Ab aapke mobile number par ek OTP message aayega. Ab jo next page open hoga usme
1. OTP daliye
2. Apna jo bhi 3D secure pin dalna hai wo daliye.
3. Pin repeat kariye.
4. Last me Submit par click kar dijiye.

Fill otp and pin and confirm

Aapka Secure pin ban gya hai. Ab aapka ATM card pahle se jyada secure ho gya hai.

Ab jaisa ki ATM card ka use lagbhag har jagah hone laga hai to iska galat use hone ka bhi dar hota hai.

Agar aap market me shopping karte hain or apna card swipe karke payment karte hain to aapke ATM card ka pin kisi ki bhi najaro me aa sakta hai.

Agar aapke card ka pin janane wale ko kisi bhi tarah aapka card mil jaata hai ya aapke card ki baki detail mil jati hai to aapke card ki detail se kisi bhi tarah ki online purchasing karke aapko nuksan pahuchaya ja sakta hai.

3D secure pin aapko aisi problem se bachane ke liye ek kadam aage rakhta hai or online payment is pin ke bina karna possible nahi hota hai.

To agar aapne apne card se online payment nahi kiya hai or pahli baar karne ja rahe hain to is PIN ko jarur banayiye.

3D secure PIN bhul jane par reset kaise kare

Agar aapne pin create kar liya hai or next time online shopping karte samay aapko yeh yaad nahi hai to tension mat lijiye ise aap dobara se reset kar sakte hain.



Online shopping ke liye payment ke option par jayiye apna card detail daliye.

Ab aap 3D secure wala option me aa jayenge. Agar aap pahle bhi is card se online shopping kar chuke hain to aapke saamne niche diye huye screen jaisa open hoga.



Click on forget

Ab upar image me dekhiye jahan btaya gya hai wahan click kariye.

Ab jo page open hoga wo bilkul new 3D pin registration page jaisa hoga. Bas aap upar registration wala process dekhiye or follow kijiye.



Aapka 3D PIN reset ho jayega.

Agar aap pahle kisi online shopping ke dauran ise samajh nahi paaye hain or aapne ise galat karke apna card online using ke liye block kar baithe hain to aapko ise bank jakar unblock karwana padega.

To ab aapko samajh aa gya hai ki 3D secure service kya hai or ise kaise create kar sakte hai or reset kar sakte hain. Agar aapko isase related koi question puchhna hai to aap comment kar sakte hain.

Comments