Ek acha saral strong or smart Password kaise banaye- Tips in hindi
Aapne kayi websites or apps me account bnaya hoga or agar account bnaya hai to usme password Or security PIN bhi dala hoga. Tab to aapke sath aisa bhi hua hoga ki inme se kuch website par aap ise bna kar bhul bhi jate honge. To ayiye aaj dekhte hain ki ek saral good strong or unforgetable ( Jise bhula na ja sake ) password or bnane ka tarika kya hai.
Aapne bhi facebook, twitter, pintrest, instagram, online wallet or net banking par account bnate samay password lagaya hoga.
Mere khyal me ab world ka 70% work bas machines or computer par depend ho gya hai. Friends ye to apko bhi pta hai ki aaj hamari duniya bilkul pahle jaisi nahi rahi. Aaj ham insano par kam machines or par jyada bharosha karne lage hai. To in machines ya computer ki suraksha kaun karega. Aap sochiye ki agar badi badi hastiyo ke password hack ho sakte hai to aapka secure kaise hoga.
Kisi bhi tarah ki online offline computer system operated site app ya machine ko hacking se security ka kaam us par bnaya gya username or password karta hai. Ab ye username kya hai. Pahle ise jante hain.
Read also

Username kya hai
Kisi bhi operating system me security procedure ke liye username pahle aata hai. Username system dwara users ko pahchanane ke liye bnaya gya ek programme hai. Jisase use apne users ko exact recognize karne me asaani hoti hai.
Mai apko sarak bhasa me samajhane ki koshish karta hu. Mere school me pooja naam ki do ladkiya thi. Teacher ne un dono ka naam attendence register me likha.
Choti class me hone ke kaaran teacher Roll no. ki jagah naam se pukar kar attendence lete the. Ab jab pahle din teacher class me aaye or unhone Pooja ka naam pukara to dono hi Pooja ek sath boli" I'am present sir" Yahan par problem huyi or teacher ne iska solution ye nikala ki ek ko Pooja 1st or dusari ko Pooja 2nd naam de diya gya.
Isi tarah computer system ko bhi ek hi same nam hone se pareshani hoti hai. Isliye hame kisi bhi ek website ya koi bhi ek computer operating system me alag username bnana pdta hai. Jisase ye hame badi hi asaani se recognize kar leta hai.
Username ke sath password ya PIN ki jarurat kyo padti hai
Ab aap kahenge ki mana ki username ek ho sakte hain lekin password ya pin to alag honge fir to system assani se pahchan sakta hai.
Read also
Aisa nahi hai. Koi bhi system aapke password se tab tak matlab nahi rakhta jab tak aap use username nahi provide karate hai. Isliye aap ye kah sakte hain ki ek hi system me kayi password ya PIN same bhi ho sakte hain. Lekin hame pta nahi hai.
Jaise facebook me aap jo bhi pasword dalte hain ho sakta hai wahi password kayi logo ne rakha ho. Lekin jab tak password ke sath username nahi match hoga tab tak facebook Id open nahi hogi. Bikul isi tarah har computer system kaam karta hai.
Agar aapka username koi janta hai to use password ya security PIN ki jarurat padegi hi padegi.
Agar aapka username koi janta hai to use password ya security PIN ki jarurat padegi hi padegi.
Ek strong, acha, unforgetable password bnate samay kis baat ka dhyan rakhe
Pahle baat karte hain ki password kaise banaye fir ek majboot PIN bnana sikhenge.
Ye na kare
1. Jyada long matlab ki bade password na bnaye-
Password kabhi bhi jyada lamba na banaye. Sabse pahli baat jyada long password bhul jane ka dar hota hai.
Agar aap bada password bnate hain to ye mat sochiye ki wo safe hai. Jyadatar bade password unhi words ko milkar bnaye jate hai jo hame yad karne me assani ho. Iska matpab kuch aisa jo hamare aas pass ho ya koi aisa jo hamare kareeb ho.
Jaise aap yaad rakhne ke liye in words ko use krte hain waise ise churane wala bhi pahle inhi se related words ko use karta hai.
2. Jyada short bhi na bnaye
Long ki hi tarah jyada short password bhi na banaye. Jyada chhote password secure nahi hote. Halaaki ye yad karne me asaan ho sakte hain lekin inhe hack karna asaan hota hai.
3.Naam, phone number or date of birth kabhi dale
Password ki chori sabse pahle naam, mobile number or date of birth se hi start hoti hai isliye ise kabhi nahi dalna chahiye.
Ye chije jitani aapke liye asaan hai utani hi aapke pasword ke liye harmful hain.
4. Sirf letter wale ya sirf number wale password na bnaye
Sirf akshar or sirf number use krke bnaye gaye password bhi thik nahi hai. Kyoki aise pasword bhi naam ya kisi mobile ya kisi code number se related hote hain.
Jinka pta lagana koi badi baat nahi hai. Aap apni suvidha ke liye aise password bna to lete hai lekin baad me pta chalta hai ki apka account koi or bhi handle kar rha hai.
5. Jyada symbol used bhi nahi hona chahiye
Kuch logo ne jinhone sun rakha hai ki symbol lagakar bnaya gya password safe hota hai. Wo jyada se jyada symbol use karke aisa password create kar lete hain. Jise wo baad me khud hi bhul jate hai.
Ye to aap bhi jante honge agar aap pasword bhul gaye to account recover karna sabhi tarah ke system me easy nahi hota.
Ye kare
1. Kam se kam 15 se 20 akshar ka ho
Aapka password kam se kam 15 akshar hona chahiye. Isase chota password secure nahi hai.
2. Agar possible ho to kam se kam ek akshar ek number or ek symbol jarur use kar
Har system ya website me unke ek rule ke according hi password bnane ki facility hoti hai. Jaise facebook ya google jaisi website me aap number ya akshar ya symbol kuch bhi use krke bna sakte hain.
Or kuch websites me sirf number or letter allow hote hai. Usme aap special character use nahi karte.
Lekin kuch website me ye sabhi ek sath jaruri hote hai. Or apko sab ek sath use karne padte hain.
To jisme allowed nahi hai usme to aap kisi bhi tarah kam chla lete hai. Lekin jisme option ho usme sabhi character ko mila kar hi bnayiye.
3. Date of birth use kare lekin kaise
Number use karne ke liye kisi ke DOB me se koi date ka numner lijiye. Aap date of birth use kar sakte hai lekin puri nahi. Ek naya tarika apnayiye. Date of birth me se month ka number use kariye.
Jaise agar kisi ka July month me padta hai to aap 07 ya sirf 7 use kar sakte hai.
4. Naam ya number use kre lekin kaise
Sabse pahle to naam or number pura nahi use karna hai. Sath hi apne ghar ya parivar ke kisi member ka nam ya number na ho.
Aap apne padoshi me se kisi ka naam le sakte hai. Or aisa padosi jisase aapka koi lena dena na ho. Bas aap uska naam jante ho.
Isi tarike se kisi ka number jo aapke phone book ke contact me save ho lekin use aap call saal me ek baar karte ho😊.
Aisi chijo ko koi guess nahi kar sakta. Dhyan rakhiye ki is par bhi game khelna hai. Nam or number pura nahi likhna.
5. Apne dream project ko kar sakte hain apne password me shamil
Aapne apne life me kuch banane ka sapna to dekha hi hoga. Unme se kuch aise bhi honge jo aapko lagta hai ki aapki pahuch se bahut dur hai. Jahir hai ki aise sapne ye soch ke kisi se share karne me dar lagta hai ki log majak na udaye.
Aise sapne se koi badhiya sa word nikaliye or ise use kariye. Dhyan rakhiye aisa sapna jo kabhi share na kiya gya ho.
Strong, na bhula jane wala, hack na kiya jane wala acha or easy Password bnane ka sahi tarika
Mai ek easy way se apko batane ki koshish karta hu. Samajh aa jaye or acha lage to comment karna mat bhuliyega.
Upar diye gaye sare tips ke hisab se ek pasword bnate hai
Man liya mere pados ya ghar ke aas paas rahne wali kisi ladki ka naam roshani hai. Jisase mera koi lena dena nahi. Jiske ghar mera aana jana nahi bas kuch jaan pahchan si hai or mujhe bas uska naam pta hai.
Aapke alawa kisi ki date of birth. Ye to family members ke alawa kisi or ka pta hona kathin hota hai isliye apne ghar me aapko chhod kar kisi or ka le lijiye. Lekin apna nahi lena hai.
Ab is DOB ka month choose karte hai. Maan liya ki kisi ki date of birth birth 03/05/1994 hai. Ab isme se aap 05 le lijiye.
Aapke paas number or letter ho gaye hain. Ab aapko ek special character dalna hai. Aap jante to honge special character kya hota hai. Aapke keyboard me jo symbol hote hai wo hi special character hai.
Aapko in symbols me se koi chunana hai. Koshish kare koi 2 special character choose kare. Jyadatar log dot (.) Ya @ ya & hi use karte hain.
Apne socha tha ki mai aisa password banaunga.
Yahan hamne kuch changes kar diye jisase ye or bhi strong ho gya. Jaise Roshani ko roshan bna diya. Ab mera dream hai ki mera Indian cricket team me selection ho jaaye or mai us team ka captain banu. Or jaisa ki upar liye gaye DOB ka month 05 hai. Lekin abhi aapko yad karne me ek jagah thodi si pareshani ho rahi hogi. Ab captain.05 ko aise banate hai ki ye or saral ho jaye.
roshan@captainno.5
Ab ye aapke liye utana hi easy ho gya jitna ki kisi ke liye sochna bhi kathin. Ab ise or strong karne ke liye 1 ya 2 letter ko small se capital me karte hai. Amooman English me naam ka pahla letter bade akshar se shuru hota hai. Lekin hame aisa nahi karna hai.
Read also
Balki ham kuch alag karenge. Ham sirf A letter ko capital karenge. Kyoki mera naam Anush hai to ye mujhe yad karne me easy rahega ki kaun letter capital hai. Or ise kisi dwara guess karne ka sawal hi nahi uthata.
Isi tarah aap bhi apne kisi khaas akshar ko capital kar dijiye. Agar aap aise bina soche samajhe beech ka koi bhi akshar bada krte hain to baad me ap bhul jayenge.
To ab ham conclussion par pahuch gaye hai.
Ab ye dekhne sochne or likhne me ajeeb sa alag rha hai. Lekin aapne jis tarah se bnaya aapke liye bahut hi saral hai.
roshAncAptAinno5
Hai na ye bhi jabardast sirf number or letter wala pasword. Ise dekhkar ko nahi kah sakta ki apne roshan captain no 5 likha hai. Balki ek baar aap bhi achanak dekhenge to shayad aap bhi chakkar kha jayenge ki akhir ye likha kya hai.
Congratulation apne ek smart password banane ka trick sikh liya hai. Ab ap isi tarah se apne liye ek create kariye or comment karke btayaiye😊. Lekin jo yahan batayiyega use kahin bhi use mat krna.
Friends jitna ek smart intelligent strong acha saral or jabardast password bnana kathin hai. Usase kathin hai sucrity PIN bnana. Kyoki ye jyadatar sirf 4 number ki bnayi jati hai ya jyadatar 6 number ki.
Smart security PIN kaise bnana hai ye mai aapko agli post me bataunga. Kyoki ye post kafee long ho jayegi.
Lekin kya aapne har jaah same password to use nahi kiya. Agar aisa hai to abhi unhe change kariye. Ap ek pasword ko alag alag field se related websites me use kar sakte hain lekin ek hi field se related websites me kabhi na rakhe.
Agar aap aisa karte hain to aap thode se alaas ke karan apna bahut nuksan kar sakte hain. Suppose ki apne 3 online shoping website Amazon , snapdeal or flipkart par same pasword rakha.
Agar galati se kisi ko iski jankari ho gayi. To aapke ek nahi balki 3 account hack ho jayenge. Jo bhi aapka pasword jasn jayega. Wo turant Dusari shoping website par bhi try karega.
Jyadatar website me username Email id hi use hoti hai. Or Email id koi bhi aapse kisi bhi bahaane se jaan sakta hai. Isme koi badi baat nahi hai.
Isliye agar aap same password rakhte bhi hain to koshish kare ki alag alag field se related websites ka rakhiye. Jiska dur tak ek dusare se koi wasta na ho.
Ek se jyada Password ko safe rakhna koi badi baat nahi hai. Aap chahe to passpack or lastpass ki website me ise save kar sakte hain. Jisme bilkul secure or safe rah sakte hain.
Apne account ko surakshit rakhne ke liye aapko kya karna chahiye yahan par maine bahut hi easy tarike se btaya hai. Ab agli baar password bnane se pahle ise jarur dhyan dijiye. Agar aapko isase related kuch puchhna hai to comment karke puchh sakte hain.
Aapko in symbols me se koi chunana hai. Koshish kare koi 2 special character choose kare. Jyadatar log dot (.) Ya @ ya & hi use karte hain.
Ab password banate hain
Hamare paas naam hai number hai or symble koi sa bhi use sakte hai. Aapka password ban kar ready ho gya hai
roshan@captain.05
Yahan hamne kuch changes kar diye jisase ye or bhi strong ho gya. Jaise Roshani ko roshan bna diya. Ab mera dream hai ki mera Indian cricket team me selection ho jaaye or mai us team ka captain banu. Or jaisa ki upar liye gaye DOB ka month 05 hai. Lekin abhi aapko yad karne me ek jagah thodi si pareshani ho rahi hogi. Ab captain.05 ko aise banate hai ki ye or saral ho jaye.
roshan@captainno.5
Ab ye aapke liye utana hi easy ho gya jitna ki kisi ke liye sochna bhi kathin. Ab ise or strong karne ke liye 1 ya 2 letter ko small se capital me karte hai. Amooman English me naam ka pahla letter bade akshar se shuru hota hai. Lekin hame aisa nahi karna hai.
Read also
Balki ham kuch alag karenge. Ham sirf A letter ko capital karenge. Kyoki mera naam Anush hai to ye mujhe yad karne me easy rahega ki kaun letter capital hai. Or ise kisi dwara guess karne ka sawal hi nahi uthata.
Isi tarah aap bhi apne kisi khaas akshar ko capital kar dijiye. Agar aap aise bina soche samajhe beech ka koi bhi akshar bada krte hain to baad me ap bhul jayenge.
To ab ham conclussion par pahuch gaye hai.
roshAn@cAptAinno.5
Ab ye dekhne sochne or likhne me ajeeb sa alag rha hai. Lekin aapne jis tarah se bnaya aapke liye bahut hi saral hai.
Sirf number or letter allow hone par kya kare
Bas aap is password se special character nikal dijiye.roshAncAptAinno5
Hai na ye bhi jabardast sirf number or letter wala pasword. Ise dekhkar ko nahi kah sakta ki apne roshan captain no 5 likha hai. Balki ek baar aap bhi achanak dekhenge to shayad aap bhi chakkar kha jayenge ki akhir ye likha kya hai.
Congratulation apne ek smart password banane ka trick sikh liya hai. Ab ap isi tarah se apne liye ek create kariye or comment karke btayaiye😊. Lekin jo yahan batayiyega use kahin bhi use mat krna.
Friends jitna ek smart intelligent strong acha saral or jabardast password bnana kathin hai. Usase kathin hai sucrity PIN bnana. Kyoki ye jyadatar sirf 4 number ki bnayi jati hai ya jyadatar 6 number ki.
Smart security PIN kaise bnana hai ye mai aapko agli post me bataunga. Kyoki ye post kafee long ho jayegi.
Password ko safe rakhne ka tarika
Aapne tamam tarah ke social sites jaise facebook twitter instagram blogging websites Blogger wordpress ya earning website or apps jaise weone, skrilo, dream11, liveincome or True balance me apna account bnaya hoga.Agar aap aisa karte hain to aap thode se alaas ke karan apna bahut nuksan kar sakte hain. Suppose ki apne 3 online shoping website Amazon , snapdeal or flipkart par same pasword rakha.
Agar galati se kisi ko iski jankari ho gayi. To aapke ek nahi balki 3 account hack ho jayenge. Jo bhi aapka pasword jasn jayega. Wo turant Dusari shoping website par bhi try karega.
Jyadatar website me username Email id hi use hoti hai. Or Email id koi bhi aapse kisi bhi bahaane se jaan sakta hai. Isme koi badi baat nahi hai.
Isliye agar aap same password rakhte bhi hain to koshish kare ki alag alag field se related websites ka rakhiye. Jiska dur tak ek dusare se koi wasta na ho.
Ek se jyada Password ko safe rakhna koi badi baat nahi hai. Aap chahe to passpack or lastpass ki website me ise save kar sakte hain. Jisme bilkul secure or safe rah sakte hain.
Apne account ko surakshit rakhne ke liye aapko kya karna chahiye yahan par maine bahut hi easy tarike se btaya hai. Ab agli baar password bnane se pahle ise jarur dhyan dijiye. Agar aapko isase related kuch puchhna hai to comment karke puchh sakte hain.
Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.