Jio caller tune kaise lagaye- free me
Ye koi trick nahi balki Jio dwara di jane wali ek free facility ya service hai. Aap apne Jio ki sim par caller tune set kar sakte hain or is service ka Reliance Jio koi charge nahi lagayega. Aayiye dekhte hain free caller tone lagane ka tarika kya hai
Ye bhi padhe
Agar aapne ab tak jio number par koi calling tune nahi lagaya hai to abhi lagayiye. Agar aapko is process me kisi tarah ki problem ho to aap comment karke puchh sakte hain.
How to set Jio free caller tune Hindi me jaane
Sabse pahle aapko bta du ki Jio ki ye service abhi bilkul free hai. Fir bhi ise set karne se pahle aap ek baar check jarur kar lijiye ki ye free hain ki nahi.
Yahan mai aapko movies special song singer album ya kisi bhi khaas caller tune ki setting ka method alag tarike se step by step bataunga.
Trend par chal rahe gaano ke liye
Step 1- Apne phone ka message box open kariye. Ab Jio ke number se niche diye huye number par aapko ek message karna hai.
Step 2:- mesaage box me aapko JT likhna hai or send karna hai.
Note:- dono letter capital hone chahiye small nahi.
Note:- dono letter capital hone chahiye small nahi.
Step 3:- Ab aapko ek message aayega. Jisme top par chal rahe gaano ke liye ye option honge.
1. Bollywood
2. Regional
3. International
Step 4:- Ab aap ko jiska song lagana hai. Uske liye isi mesaage ko number ke sath reply kar dijiye. Jaise agar bollywood ka gana lagan hai to 1 likh kar reply kar dijiye.
Ye bhi padhe
Step 5:- Fir se ek message ayega. Isme 3 option aayenge.
1. Song of the day
2. Top 10 song
3. Popular song
Ab jo song aapko lagana hai uska number dal kar reply kar dijiye.
Step 6- Ab agar aap Top 10 songs choose karte hain to aapko ek baar fir message aayega. Jisme 10 song jo is time par top me chal rahe honge unki list aayegi.
Jo bhi song aapko pasand ho uska number likh kar reply kar dijiye. Agar aap song of the day ya popular song chunate hain to direct next step follow kare.
Step 7:- Ab jo message aapko aayega usme apse puchha jayega
1.Sabhi caller ke liye rakhna chahte hain.
Ya
2. Special caller ke liye matlab kuch khaas logo ke liye hi rakhna chahte hain.
Ab jaisa aap chahe us number ko message reply kar dijiye.
Step 8:- Ab aapko thodi der intajar karna hai. Ek alag number se aapko ek message aayega.
Bas us message yar apko Y likh kar reply kar dena hai.
Aapne successfully apni man pasand gaane ki tone laga li hai.
Favorite singer ke gaane ki tune ke liye
Step 1:- Upar diye number par JT likh kar message kariye.
Step 2:- Ab jis singer ka gaana aapko pasand hai uske liye message reply me SINGER likh kar aage singer ka naam likhiye or send kar dijiye. Aap niche image dekh kar samajh sakte hain.
Step 3:- Ab jo mesage aayega us par us singer ke 10 gaane diye gaye honge. Usme se gaane ka number select kariye or reply message kar dijiye.
Step 4:- Ab thoda wait kariye jo dusare number se message aaye us par Y likh kar reply kar dijiye.
Ab aapka caller tune succesfully singer ke according set ho gya hai.
Isi tarah aap agar movie ke naam se ya album ke naam se koi tone lagani hai to isi step ko movie ya album likh kar follow kariye. Aap niche di huyi image ko dekh kar samajh sakte hain.
Update on 24-06-2017 ( Agar aapko fir bhi problem ho to ye padhiye)
Jio music App se caller tune lagane ka easy tarika jaaniye
Jio music App se caller tune lagane ka easy tarika jaaniye
Agar aapne ab tak jio number par koi calling tune nahi lagaya hai to abhi lagayiye. Agar aapko is process me kisi tarah ki problem ho to aap comment karke puchh sakte hain.
Mere se jio tone nahi set ho rahi
ReplyDeleteAap is post ko ek baar thik se padhiye fir try kariye. Aap hamare facebook page me msg karke batayiye aapko tune set karne me kya problem aa rahi hai.
Deletewhy i am not able to set (singer momina mustehsan) urdu naat becoz when i try then that option is not showing in the list if is it possible so plz help me..............
ReplyDeleteAgar in singer ke naam se steps deny ho raha hai to Jio tune me inka collection nahi hoga. Please try another one.
Delete