X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Paytm password bhul jane par kaise recover/unlock kare

Online itna services shuru ho gyi hain ki ab sari apps or website ka data yaad rakhna mushkil ho gya hai. Agar aap bhi paytm ka password bhul gaye hain or ab ise unlock karne ka tarika janana chahte hain to seatbelt bandh lijiye. Ab ham apka paytm account reactive karke hi wapas ayenge. To ayiye dekhte hain ki password kaise recover kiya jata hai

How to unlock account after forgetting password


Paytm bahut hi teji ke sath popular hua hai. Lekin jin logo ne isme starting me hi account bna liya tha ya aaj bhi jaldi jaldi me bna lete hai or apna password hi bhul gaye hain. Wo pareshan ki ab ise dobara kaise paye. Agar aap fir se naya account bnana chahte hain to ye post padhe



Read also


Sabse pahle mai apko ye bta du ki apka purana password aapko nahi pta chal sakta hai. Iska koi process kisi bhi website me nahi hota hai. Haan aap ek nya pasword jarur bana sakte hain or usi purane account ko dobara se active kar sakte hain.


Paytm password bhul gaye hai. Account reactive kaise kare.

Aap ek baar sara process dhyan se niche di gayi sari images ke sath dekh lijiye. Uske baad try kariye.




Step 1:- Sabse pahle App ya website open kariye or login par click kriye.

Click on login


Step 2:- Ab jo page open hoga. Usme jahan par login to Paytm likha hai. Wahan click kariye.

Click on login to paytm

Step 3:- Next page open hone par ap login page par aa jayenge. Ab apko apna pasword to yaad nahi hai to jahan Trouble logging in ? likha hai wahan click kar dijiye.




Touch on trouble in logimg


Step 4:- Ab samne 3 question likhe honge. I FORGET MY PASSWORD par click kar diiye.

Click on I M forgot


Step 5:- Ab aapko apna wo number ya email adress dalna hai jisase aapne apna account bnaya tha. 

Fill your mobile number oe email address


Step 6:- Ab aapko is number ya email address par ek message aayega. Jisme ek link ayega. Is link par click karke aap apna passwrd reset kar sakte hain. Yani ki naya bna sakte hain.  Is link par click kar dijiye.



Step 7:- Ab jo age open hoga usme ek naya password daliye fir use confirm kariye or Proceed par click kar dijiye. Agar aap apna pasword bhul jate hain to aapko ye post ek bar jarur padhni chahiye.


Congratulation aapne apna password reset kar liya hai. Ab aap easily login page par jakar apna account access kar sakte hain




Paytm password reset kab nahi kar sakte

Agar aapke pass wo email address ya mobile number nahi hai jisase aapne paytm me account bnaya tha to aap ise kisi bhi tarah reset nahi kar sakte or apna account dobara active nahi kar sakte hain.

Agar aapko isase related koi problem ho ya Paytm se related koi bhi question puchhna ho to comment karke puchhe.

Comments