X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Vegetable manchurian kaise banaye

Cooking me agar aap khane ke sath bnane ka bhi shauk rakhte hain to bhojan ka maja do guna ho jata hai. Aaj ham bat karenge ki veg manchurian bnane ka tarika kya hai ise banane me kya kya saman lagta hai.




Puri recipe Hindi me short me btayi gayi hai. Bas aapko sabhi step dhyan se padhna hai.

Vegetable manchurian kaise banta hai

Yahan jo recipe batayi jayegi wo 6 logo ke khane ke liye hogi. Aap yahan btaye gaye saman ki detail ko dhyan se dekhiye. Aapko jitane logo ke liye bnana hai aap usi ratio se saman lekar bna sakte hain. 

Ye chize ikkatha kar lijiye

Band Gobhi ( Cabbage ) - 100g (gram)
Gaajar - 50 g
Pyaj - 50 g
Mashroom -50 g
Hari dhaniya - 30 g
Hara pyaj - 30 g
Hari mirch - 10 g
Lahsun - 10 g
Adarak -10 g
Soya sauce 5 ml
Chilli sauce - 5 ml
Maida1/2 KG
Cornflour- 1/2 KG
Oil ( Talne ke liye ) jarurat ke hisab se
Namak- Swadanusar
Ajinomoto- Ek chutaki
Paani - Maida or cornflour mix karne ke liye




Veg manchurian recipe in Hindi


Step 1:- Sabse pahle Band Gobhi, Gajar, Mashroom or hara pyaj ko ekdam baarik- baarik kaatiye.

Step 2:- Ab Adarak, Pyaj,  or Lahsun ko bhi baarik kat kar alag rakh lijiye. 

Step 3:- Ab Upar pahle step me badayi gayi sabji ko mix karke usme Namak milayiye. Ab usme Maida or Cornflour ko mix kariye or jarurat ke hisaab se paani bhi milayiye. Thoda sa cornflour bacha kar rakhe.

Step 4:- Ab is mixture se chhoti chhoti goliya bna lijiye. Goliya apne hisab se banaye jitane size ke aap rakhna chahe.



Step 5:- Ab in goliyo ko tel garam karke tal lijiye.

Step 6:- Ab todhe se tel me kati huyi pyaj Lahsun or adarak ko bhun lijiye.

Step  7:- Ache se bhunane ke baad isme thoda paani dalkar Ajinomoto, hara dhaniya, chilli sauce or soya sauce dal dijiye.

Step 8:- Bas thodi der pakne ke baad ise gadha karne ke liye Cornflour dal dijiye. Or dhimi aag me khaulane tak wait kariye

Step 9:- jab ye khaulna start ho jaaye to jo goli aapne taiyar ki hain. Use isme dal dijiye.

Thodi der baad ise utar lijiye. Ab isme upar se pyaj or hari mirch ki sajawat kar dijiye. Aapka Veg manchurian taiyar ho gya hai.

Ye dish recipe aapke liye helpful ho ya bnane me kisi tarah ki problem ho to comment jarur kare.

Comments