Facebook Id kaise banaye. How to create FB account. Puri janakri Hindi me
Hello friends. Agar aapne abhi tak Facebook me id ya account nahi bnaya hai to aaj mai aapko btata hu ki naya facebook ka account kaise banate hai. Bas 8 se 10 steps me aap apni new facebook id 5 minute ke andar sign up ya register kar sakte hain.
Dosto Facebook aaj sirf timepass ya enjoy karne ki chiz nahi rah gayi. Aaj ke samay me agar koi 2 person kafee dino baad ya pahli baar milte hain to aage ek dusare se jude rahne ke liye ek dusare ki FB id jarur pucchte hain. Matlab ab ye ek prakar ki jarurat ban gayi hai jo ki har padhe likhe insan ke paas honi jaruri hai.
Balki aajkal to unka bhi facebook me account hota hai jinhe padhna likhna bhi nahi aata. To agar ye itani hi jaruri hai or aapse aisa question kabhi puchha gya hai to ab ye sochna chhodiye ki facebook account kaise khole or ye process follow kariye.
FB par id kaise banayi jati hai
Pahle ek baar sabhi process dhyan se padh lijiye. Uske baad bnana shuru kariye.
Step 1:- Yahan click karke website par jayiye.
Step 2:- Ab jo page open hoga. Us par create new account par click kariye.
Step 3:- Ab jo page me form open hoga. Usme
1. Apna naam daliye. Sirf naam surname nahi.
2. Surname daliye.
3. Next par click kar dijiye
Name or surname hamesha aapko wahi dalna chahiye jis naam se aap famous hain. Kyoki agar aapko koi facebook par serach kar raha hai to wo usi naam se search karega jis naam se aap jyada jane jaate honge.
Step 4:- Ab apna mobile number ya email id dalni hai. Or next par click karna hai.
Step 5-Ab apko apna date of birth dalna hai. Ye bhi sahi sahi daliye. Kyoki account bnane ke baad jab aapka birthday aayega. Tab us din aapke facebook friends ko notification ( message ) jayega. Or wo aapko wish kar sakta hai.
Step 6:- Ab jo page open hoga usme male ya female jo hai us par click karke next par click kar dijiye.
Step 7:- Ab apko apna ek unique password dalna hai. Ek acha Password bnane se pahle ye post jarur padhe.
Ye bhi padhe

Password dalne ke baad next par click kar dijiye. Password aisa ho jo aapko yaad rahe. Isliye upar batayi gayi post padhne ke baad hi banaye.
Step 8- Is option se pahle ye dhyan dijiye ki aap email id ki madad se facebook id bna rahe hain ya mobile number ki madad se.
1. Agar aapne email id dali hai to aapke email box me ek link ka mail aayega. Aapko mail box me jakar us link par click karna hai.
Ya
2. Agar aapne mobile number dala hai to us number par ek message aayega. Jisme 6 number ka ek OTP hoga. Jo message aayega use copy kariye or number ko copy karke wapas facebook wale page me daliye. Or next par click kar dijiye.
Ye bhi padhe
Congratulation aapka facebook khata ban gya hai.
Step 9:- Ab jo page open hoga usme kuch logo ki facebook id show hogi. Unka naam or Add Friend ka option aayega.
Jise add karna hai uske naam ke aage add friend par click kar dijiye. Click karte hi friend request send ho jayegi.
Ab jis friend ko aapne request bheji hai jab wo apni id open karke aapki request accept karega to aapki friend list me add ho jayega.
Friend request bhejne ke baad next par click kar dijiye.
Step 10:- Ab jo page open hoga usme apko apni photo upload karni hai. Jahan upload photo likha hai wahan click kariye.
Automatic aap apne photo gallery me pahuch jayenge. Ab jo photo aapko lagani hai use select kariye.
Photo upload hone ke baad next par click kar dijiye.
Bas aapka account ban gya hai or facebook par naya account open kaise kare iska solution aapko mil chuka hai.
Ab aap is proces ko follow kariye or FB par khata khol kar naye naye friends banayiye. Agar aapko khata open karne me koi of problem ho ya facebook se juda koi sawal ho to aap comment karke puchh sakte hain.
Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.