Ransomware virus kya hai isase kaise bache?
Ransomeware ( रैनसमवेयर) virus kya hai. Kya ye hamare mobile ya computer system ko hack kar sakta hai or hamara data chura sakta hai. Ye sawal aaj kal bahut se logo ke mind me aajkal chal raha hai.
Abhi haal hi me aapko iski jankari social site ya news channel ke jariye huyi hogi. Or ho sakta hai kuch adhuri jankari ke karan aap internet ko use karne se dar gaye ho.
To aayiye aapko iske bare me kuch janakri de dete hain.
Bahut se malware jinge ham virus kahte hai, Internet use karte samay ya kisi software installation se galati se ya kisi hacker dwara taiyar karke aapke computer system me dala jata hai. Jisase aapke computer ka data churaya ya destroy kar diya jata hai.
![]() |
Image |
Abhi haal hi me aapko iski jankari social site ya news channel ke jariye huyi hogi. Or ho sakta hai kuch adhuri jankari ke karan aap internet ko use karne se dar gaye ho.
To aayiye aapko iske bare me kuch janakri de dete hain.
रैनसमवेयर वायरस क्या है
Ransomware virus isase kuch alag hai. Ye virus aapke computer me aane ke baad aapke computer ke data ko lock kar deta hai or fir use unlock karne ke badale me ransom yani firauti ki maang bitcoin ke through karta hai.
Is virus se duniya ke hajaro computer chapet me aa chuke hain. India me bhi is virus ke kuch asar dekhe gaye hain.
Ransomware virus kaise attack karta hai or isase kaise bache
Ye virus email or website ke through attack karta hai. Hackers dwara user ke email account me aisi link send ki jati hai jise open karte hi user ke computer me kayi tarah website open ho jati hai or kuch software automatically install ho jate hain. Or is tarah user ke system ko encypt yani lock kark deta hai or unlock karne ke liye bitcoin payment karne ko kahta hai.
Isase kaise bach sakte hain ise janane se pahle ye jaan lijiye ki is virus ka attack filhal abhi bade bade companies or authorities ke data ya accounts ke hack hone ki hi jankari aa rahi hai. Or kisi indivisual dwara kisi news channel ke through ya social media ke through data ya account hack ya encypt hone ki khabar nahi aayi hai.
Is virus se bachane ka madhyam bas iske source ko hi ignore karna hai. Jaisa ki aapko btaya ja chuka hai ki ye virus email or site link ki help se aapke computer me aa sakta hai. Isliye kisi bhi tarah ke unknown email ya link ko open na kare.
Ye virus kisi bhi tarah ki third party website link dwara bhi bheji ja sakti hai. Isliye jis website ke bare me aapko achi tarah pata na ho use open na kare to hi acha hai.

Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.