Train ticket booking agency kaise khole
Friends aaj mai aapko train ticket booking agency ke bare me bataunga. Agar aap kisi aisi jagah par rahte hain jahan par daily hajaro log aate jate hain to ye business aapke liye acha sabit ho sakta hai.
Bas aapko iske liye ek laptop, ek printer or thodi si jagah ki jarurat hai. Ye itna kathin nahi hai ki agar iska kaam karna chahe to apko iski agency na mile. To ayiye dekhte hai ki IRCTC ticket booking agent banane ke liye kya kare.
Railway ticket booking ke liye aap IRCTC ke through agency le sakte hain. Ye isliye ki IRCTC ke through aapko ye asaani se mil sakta hai.
Bas aapko kuch easy steps follow karne hain. Isase pahle aisi hi bahut si important jankari facebook par paane ke liye hamara facebook page jarur like kare.
Aaj mai aapko aisi ek website ke baare me btaunga jis par registration karwa kar aap train ticket booking ka business to start kar sakte hain sath hi or bhi bahut se kaam kar sakte hain.
IRCTC website me account bnane ke baad aap ek limit tak din me 6 ticket tak book kar sakte hain lekin agent bnane ke baad aap din bhar me unlimited ticket booking kar sakte hai.
Railway IRCTC ticket agent kaise bane
Railway ticket agent bnane ke liye aap yahan click kare
Ab aapke samne jo page open hoga us par ek form aayega.
Is form me aapko apni detail bharni hai.
1. Apna naam daliye.
2. Apna mobile number daliye.
3. Apna email id daliye. Email id sahi sahi daliye kyoki is mail id se aapko verification process pura karna padega.
4. City ka naam daliye
5. State ka naam dailye.
Last me captcha code dalkar submit par click kar dijiye
Ab aapka ye form IRCTC ko send kar diya jayega.
Jaruri document
Jaruri document me aapke paas niche diye gaye papers hone chahiye.
1. PAN card
2. Address proof- isme aap driving licence, Passport, Ration card, voter Id, electriciy ya water bill, bank statement ki copy me se koi bhi ek le ja sakte hain.
3. Mobile number
4. Email id
5. 2 photo
6. Digital signature form
7. Registration form
Activation process
Registeration form submit karne ke kuch time baad is website ki managment team aapse contact karegi.
Aapko registraion fees or baki ka process btaya jayega. Use follow karke aap apna registration karwa sakte hain.
Ye bhi padhe
Aapko ek special login username or password diya jayega. Jisase aap is website se direct or bahut fast ticket booking kar sakte hain.
Note:- Team member ki baato se puri tarah santust hone ke baad hi registration fees jama karwaye.
Ticket booking me kitani kamayi ho sakti hai.
Har ticket me 2 se 3% tak ka profit hota hai. Iske alawa sleeper ya AC class me alag alag commission ka procedure hai.
Iske atirikt aap apna service charge laga sakte hai. Iske liye ap market me kya charge chl raha hai ise jarur dhyan me rakhe.
Is website me or kya kya benefit hai
Aap is website me click karke dekh sakte hain ki aap train ticket ke sath Bus, flight ki ticket booking mobile recharge, money transfer or dish recharge jaise kaam kar sakte hain.
To ye jankari aapko kaisi lagi comment me jarur bataye sath me small business se related kuch or post jarur padhe or hamara facebook page like karna na bhule.
Comments
Post a Comment
Aapka comment approve hone ke baad show hoga. Approve hone me kam se kam 1 se 12 ghante lag sakte hain. Galat language or kisi website ki link wala comment post nahi kiya jayega.