X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

10th ya 12th class me fail ho jane par kya kare.

10th or 12th ka board exam result out ho gaye hain. Lekin ham ye baat nahi karenge ki result kya aana chahiye ya kya aaya hai. Ham un student ki baat karte hai jo in exams me fail ho gaye hai.

Board exam me fail hone ke baad ek student ke man me aise kayi question or thinking aate hain jaise ki
Ab kya karenge, unki life destroy ho gayi, unke Gharwale unke sath kya karenge, sab kuch khatam ho gaya or aise hi faltu ke pachaso khyal aate rahte hain.
Aise khyal unke life ke prati ek alag najariya pesh karte hain. Kuch student is ek exam failure ko life ka sabse bada failure samajh ke suicide tak kar lete hain. 

Sab jante hain ki aatmhatya kisi samasya ka hal nahi hai or ye wo bhi jante hain. Lekin fir bhi aise kadam uthane ke liye unhe kon kahta hai.

Hakikat me unhe iske liye koi kahta nahi, Balki unke aas paas ke environment unhe aisa lagne lagta hai ki agar ye exam kharab hua to puri jindagi kharab ho gayi.

Agar aap bhi abhi 10th ya 12th class me the ya ye saal aapka 10th ya 12th board exam hone wala hai to ho sakta hai aap bhi aise dar ke sath jee rahe ho.

Board ke exams se pahle har student stress feel karta hai. Iska karan kuch Maa baap ki ichhaye, Kuch aas padosh walo ki baate, kuch class me teacher ki baate hoti hain. Baki jo kuch bachta hai uski bharpayi Hamare relatives kar dete hai.

Kul milakar hame lagne lagta hai ki board ka exam hi life ka sabse bada exam hai.

Lekin aisa nahi hai agar aap is board exam me fail huye hain ya aane wale saal me aapka board exam hai to aapko ise kayde se samajhna hoga.

India me Board exam ko ek bade exam ki tarah kyo dekha jata hai

Board exam ka ye roop koi naya nahi hai. India me ye ek praramparik soch hai. Iske kayi reason hain. Jaise ki 

1. Exams bade level me hona
2. Result bade level me aana
3. Exam center dusare school me hona
4. Examinors ka strict mana jana( Kyoki wo hamare pahchan ke nahi )


Aise or bhi bahut se reason hain jo ki aapke parents ya aapke relatives or janane walo ke mind me baithe hote or unki najar me ye exams aapke liye bahut badi chij hoti hai. 
Unki aisi soch se lagne lagta hai ki board exam wo border hai jise paar karne ka matlab aapke andar life me kuch karne ka dam hai. Lekin agar aap fail huye to aap life me kuch nahi kar sakte. Aisi condition me jab aap bahut mehnat karke bhi acha score nahi kar paate to bahut bura feel hota hai.

Student aisi condition me kya kare

Sab kuch student ki mentality par depend hai. Agar aap aisi hi kisi situation ko face kar rahe hain or aapko kuch samajh aa nahi raha hai ki kya kare to chaliye mai aapki kuch madad karta hu.



Rahul ke 12th board exam result aaj hi out huye the. Achi mehnat ke baad bhi Rahul fail ho gya tha or mai usase milane gya tha.

Result puchhme se pahle hi Rahul bol pada- " Yaar mere sir me dard hai. Kal milate hai thoda aaram karna chahta hu."

Mai samajh gya ye fail hone ke karan depressed hai. Maine usase baate jaari rakhi. Lekin wo meri baato ko kaat raha tha

Me :- Yaar koi baat nahi is saal mehnat karna. Jarur ache number se pass ho jaoge."

Rahul:- "Man kar raha hai suicide kar lu. Mere marks dekho. Maine sabke sapne tod diye. Mummy papa sabko kitana bura lag raha hoga. Mere fail hone ka reason sirf mai hu. Mujhe akela chhod do."

Me :- "Pagal tum12th fail huye ho. Abhi to life me bahut se exams dene hain. Sirf ek result tumhari life ko badal nahi sakta. Acha ya bura abhi to shuru hua hai. Sab kuch sahi ho jayega."

Rahul:- "Bhai aap apne ye motivational baate kisi social site me share karo. Mujhe pata hai ki kya hoga. Sab kuch sahi ho jayega. Kahan se hoga? Kuch sahi nahi hoga."

Me:- "Acha mai tumse ek question puch raha hu. Tum answer dena."

"Mujhe nahi dena koi answer. Mujhe marks or result ke baare me koi baat nahi karni"

" Mujhe tumhare marks nahi janane"

" To fir kya janana hai"

" Socho ki agar tumahre marks utne aate jitane ki tum chahte the to kya hota?"

" To mujhe mera manchahe college me admission mil jata."

" To tumare life ka lakshya college me admission lena hai.

" Nahi"

" Fir kya lakshya hai?"

" Ache college me padhkar mujhe achi job milti. 

" Socho agar tumhe job mil jaaye to kya hoga"

" Hona kya hai. Mujhe khusi hogi, bahut khusi."

" Haan mai yahi sunana chahta tha. Tumhare life ka aim ache number, marks, college ya job nahi, balki khushi hai. That's all happiness. Tum jo chahte ho wo chij khushi hai. Tumhari , tumhare parents ki, or tumse jude har us person ki, jise tum khush dekhna chahte ho. Apne us main lakshy ko yad rakho. Uske samne ye result or marks koi matlab nahi rakhte."

Rahul mujhe bas dekh raha tha. " Lekin itane kam marks ko kya karu"

Me- Apni prerna ke liye rakho. Ye saal tumhare liye bahut hi khaas hai. Jisne tumhe failure ka matlab is chhoti si umar me sikha diya." 

Rahul ko maine ye nahi kaha ki wo kya karega ya kya nahi. Lekin use samajh me aa gya tha ki wo kuch galat karne ja raha tha. 

Usne har us vyakti se muskarakar baat ki jisne usase uska result puchha. Kyoki use apni life ka asli lakshy pata chal gya tha.

Dosto Koshish karna or fail hona galat nahi hai. Balki koshish na karna jyada bada failure hai. 


12th fail student ke liye option


Apni strenth ko pahchaniye. Agar aap apni strenth se bahar koshish kar rahe hain to thoda time lag sakta hai. Aapne kayi film dekhi hogi jisme ye message diya gya hai ki life me apko jo kaam pasand hai wo kariye. Aap usme jaldi success honge.

Kuch had tak film story sahi ho sakti hai lekin har baar aisa nahi hai. Mera manana hai ki padhayi ham me se kisi ko pasand nahi hogi agar hame paisa na kamana ho. Haan aap padhayi ke andar apni strenth ke hisab se chunav kar sakte hain.

To agar aap is exam me fail ho gaye hain to aapke paas ye option hain.

Fir se 12th ke exam ke liye taiyar ho jayiye

Kuch nahi hua hai. Agar fail huye hain to bas aapko kuch logo ko kuch din tak face karna hai. Kuch din baad sab normal ho jayega.

Is saal fir se same syllabus ko padhna hai. Achi baat ye hai ki aapko kuch naya nahi padhna hai. Sab kuch aapne padha hua hai. Is baar sare topic ache se samajhne ki baari hai. 
Ye aapke liye plus point ho sakta hai. Man laga kar padhiye or syllabus khatam karke uska revision karte rahiye.

Aapko tution clases ki koi jarurat nahi hai. Lekin fir bhi aapki capacity par depend hai. Agar chahe to attend kar sakte hain.

Isi saal 12th clear karne ka option

India me bahut se aise institute hai jo 10th or 12th fail student ko same year pass karwate hain or Aage ke courses ke liye padhayi karwate hain. Agar aap chahe to in institute se contact karke apna ye saal kharab hone se bacha sakte hain.


Job ya business start kare

Agar aapki family ki financial condition thik nahi hai ya ab aapka padhne me interest nahi hai to aap koi job ya business start kar sakte hai. History aise logo se bhari padi hai jinhone apni college ki padhayi beech me hi chhod di or aaj duniya ke sabse ameero ki ginati me aate hai. 

Kisi bhi kaam ke prati aapka pura interest hona chahiye. Aap usi ke jariye life me sabse jyada successful or kamyaab ho sakte hain.  


Final word

Last me mai yahi kahunga ki aapne success or failure ki bahut si motivational story padhi hogi. Lekin wo story tabhi mayne rakhti hain jab aap aisi kisi condition me unhe apne upar apply karte hain.

Mai apna chota sa experirence aapke sath share karna chahunga. HSC or SSC clear karne me mujhe koi problem nahi huyi. Mai school me topper nahi raha mai bas ek avarage student tha. Lekin mai jitani mehmat karta tha usase ache number aate the.

Graduation complete karke maine job ke liye apply kiya. Meri job bhi lag gayi. Wahi jo mere sath graduation me the unhone aage ki padhayi continue rakhi.

Unme se kuch mere school time school topper bhi the. Kuch ne engineering ki, kuch ne IAS ki taiyari ki, to kuch aaj bhi taiyari me lage hain.

6 saal baad aaj mai jahan par hu. Mere friends kuch taiyari kar rahe hai. Kuch job me lage hain. Kuch muhse acha kama rahe hain. To kuch aaj bhi mujhe phone karke kahte hain ki bhai kahin job ho to batao.

Matlab kahne ka hai ki aap jab +2 ya 12th se aage jayenge to aapko asli life ka pata chalne lagega. College clear karte krte aapko pata chalega ki +2 me fail hone ke baad aap kya bewkoofi karne ja rahe the. Wo to kuch tha hi nahi. Asli struggle to ab start hua hai. Aapko apne aap par hasi aayegi. 

Aap apna wo samay yaad karoge or meri is post ko yaad karoge. Tab tak aapka dost Anush aapki aisi hi help karta rahega. Contact me bane rahne ke liye mera facebook page like kariye.

Comments