X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Event planning business kaise start kare

Aap kafee dino se event planning service shuru karne ki soch rahe hain lekin aapko samajh me nahi aa raha ki ise start kahan se kare isme kin kin chijo ki jaruart padegi or kin baato ka dhyan rakhna padega. Chaliye ham aapki kuch help karte hain or dekhte hain event planner kaise bane.
Sabse pahle aapko ye jaan lena chahiye ki Event planner banana koi easy task nahi hai. Iska kaam bhi utana hi hard hai jitana ki iska start. Lekin agar aap kuch samay pure man se apne is business ko establish karne me lagaye to ye aapke liye bahut hi acha business sabit ho sakta hai.

Kul milakar agar aap ise lightly lete hain or sochte hain ki bas kisi tarah thode jugad se ye kaam chal niklega to aap galat hai. Iske liye aapko mehnat or pura dimag lagana padega.

Event planning koi job ki tarah nahi hai jo ki aap Monday se friday tak sirf 9-5 tak karna padega. Ye ek aisa business hai jisme aapko din ki jagah raat ko bhi kaam karna pad sakta hai. 24 hours active rahna padega, Ho sakta hai aapka har weekend ek event planning ke liye nikal jaaye. So get ready to be a good event planner and a smart businessman.

1. Jankari
2. Market lakshya
3. Laagat
4. Shuruaat pareshaniya or research

Event planning kya hai

Event planning ko samajhne ke liye ham ye jante hai event kya hai. Event kisi bhi special purpuse ka ho sakta hai. Jaise ki 

  • Khusi ke mauke ( Marriage, Birthday, anniversary, party
  • Promotion parties ( politicial funtion, product launching, chote mote fashion show )
  • Education events ( graduation parties, meeting ya conference wagairah )
  • Business conference, 
  • Company purpused events
Aise event samay samay par hote rahte hain. Apke shahar me bhi jarur hote honge. Marriage, birthday jaisi parties or events shyad aap jante ho Lekin companies, business event or managment kab kaise hote hai. Ye shayad aap nahi jante. Aisi sabhi parties ko manage or organise karne ke liye ek proper planning ki jarurat hoti hai. Jise aap event planning kah sakte hain




Aise event ko organise karne ke liye pahle kuch chhoti moti local sevaye dene wale har city me hote the. Lekin ab aise events ko badi badi companies bhi organise karti hai. Aise kisi event ke liye ek planner ko kuch ye chije karna padta hai. Jaise ki
  • Event se related thodi bahut research
  • Event ke hisab se design taiyar karna
  • Event ke liye proper site yani ki jagah 
  • Aane walo ( Attendees ) ko invitation  bhejne ka intazam ( Agar jarurat ho to )
  • Aane jane ke liye proper sadhan
  • Attendees ke liye rahne ya rukane ka intazam
  • Ache khane or entertainment ka arrangement
  • Event employees ke kaam ko nirdharit karna
  • Event site me visit karna or kamiyo or achhayio ko jachna
Upar bataye gaye har point har event par lagoo nahi hota lekin jyadatar events me inka dhyan rakhna padega.

To agar aap is business ko karne ke bare me soch rahe hain to aapko upar diye gaye kaamo ko dhyan me rakhna hoga or iske liye 24×7 ready rahna padega.

Event planner kyo or kab hire kiye jaate hain ?

Yahan par kyo or kab ka ek answer ho sakta hai. Event planner ki jarurat kab padti hai. Kisi bhi kaam ke liye agar aapke paas time nahi hai ya aap karne me asamarth hain to aap kisi aise helper ko search karte hain jo kuch paise lekar aapka kaam kar de.


Aaj ke is bhaag daud bhare time me har koi paise dekar kam karwana chahta hai. Isi tarj par kisi bhi tarah ke events ke liye log ek aise planner ko hire karte hain jo puri jimmedari ke sath unke liye event manage kare or badle me paise le.


Event planner kaun ho sakta hai.

Agar aap start ki baat kare to event planning service easy nahi hai. Lekin agar aap isase jude kuch business ki help lekar start kare to aap ise asaan bna sakte hain.

Kuch event planners ki kahani aisi hi hai jinhone is kaam ki shuruaat catering ya Tent house ya shadiyo ya kisi tarah ki party me chhoti moti services provide karke ki hai.

Read also



Agar aap direct event managment ki shuruaat karna chahte hain to bhi kar sakte hain lekin agar ek aise kaam ke sath kare jo aapko financial support bhi kar sakta hai or aapki event managment scales ko bhi badha sakti hai.

Iske alawa agar aap pahle kisi event planning service company ke sath kaam kar rahe hai or aapko acha anubhav hai to aap shuruat kar sakte hain.

Agar aap Kam se kam investment ke sath start karna chahte hain to pahle aap kisi company ke liye event plan kare fir khud ka kaam shuru kare.

Event managment course & Certificate

Aap event managment ka course kar sakte hain iske liye bahut se university or college hai jahan se aap diploma ya degree kar sakte hain. 

Course or certificate ki jyada jankari ke liye yahan click kare


Event planning ka target market 

Har work ya business ke liye aapko ek market target karna padta hai. Jab tak aapko ye pata nahi hoga ki aapke business ke liye sahi market kaun si hai tab tak aap success nahi ho sakte. 

Event planning ki market ko agar ham sirf 2 part devide kare to thik hoga.
1. Social 
2. Corporate

Social market

Social market aapke Marriage party, Birthday parties, engagments jaise events aate hain. Sath hi agar aap India me hain to yahan ke culture ke according or bhi bahut se social function hote rahte hain. Jaise bachche ke janam ka celebration, ladki ko dekhne wale aa rahe hain to uska arrangment yahan tak ki kisi ki death ke baad bhi events rakhe jate hain.

India me events ke liye social market bahut hi tagadi hai. Or isme carreer filhaal abhi bahut hi strong hai.

Corporate market

Agar aap soch rahe hain ki corporate market me sirf companiyo se judi events aate hain to aapne bahut hi thoda socha. Corporate market bhi utana hi bada hai jitana ki social market. 

Charities or nonprofit organizations, fundraisers, receptions or athletic competitions, sath hi or bhi political railly apni public support base badhane ke liye or funds ikkathe karne ke liye aise hajaro events har saal rakhe jate hain. Or iske liye inhe aise events planner ki jarurat hoti hai jo inhe achi or sasti suvidhaye de sake.

Agar aap sirf company events ke baare me baate kare to trade show, conventions, company picnic, Holiday parties, staff members, board members or stockholders ke liye meeting events jaise bahut se events planning ke mauke hote hai.

Matlab agar aap abhi tak confuse the ki is kaam ke liye hame shuruart kahan se karni hai to mere khyal me ab aapko pata chal gya hoga ki aapke paas paryapt jagah hai. Aapko bas dekhne or samajhne ki jarurat hai.


Laagat ya start up cost

Mai hamesha aapko aise business ideas dene ki koshish karta hu jo kam se kam paise ya bina paise ke hi start ho sake. Iske liye maine upar aapo tarika bhi btaya hai.

Fir bhi kuch kharche hain jo aapko events business ke liye karne hi padege.

Kharcha is baat par depend karta hai ki aap kon si jagah se shuru karna chahte hai. Aap shuruaat apne ghar se bhi kar sakte hain. Agar aapke paas enough space hai to aapka office bnane ka kharcha bach sakta hai.

Starting me aap sirf 2 logo ko sath me lekar chale fir dhire dhire apne employees ki sankhya badha sakte hain. Pahle chhote chhote events ke sath kam start kare fir experience ke sath aage badhe.

Aapko kuch equipment ke liye bhi kharch karna padega. Aap chahe to rent par saman lekar start kare. Ye aapke liye thik rahega. Guest house, tent house, catering, suttering or transport wale se barabar contact me rahe.

Shuruaat pareshaniya or research


Aap chahe to apne ghar pariwar aas padosh or relatives ke yahan hone wale function ki jimmedari lekar iski shuruaat kare. Agar aapne apne hi aas paas 4 se 5 events successfully organise kar liye to aapko ache experience ke sath thoda fame bhi milega or aapka confidence level high hoga.



Kisi bhi events ko analyse karna na bhule. Har event me ye dekhiye ki aapne kahan acha kiya or kahan kharab kiya. Waise to ye har kaam me jaruri baat hoti hai lekin isme aapke clients ki satisfaction jyada jaruri hoti hai har ek satisfied client aapke business ke liye faydand sabit ho sakta hai.

Apne har client se event se pahle ek paper or pen lekar uski demands or jarurate puche or likhe. Fir usme kuch possible changes kare. Apni service or intelligence ka istemal kariye or kam kharch me acha event arrange karne ki koshish kare.

Books

Isae related kayi kitabe aapko online mil jayegi. Jisme real businessman dwara unke apne real expeience share kiye gaye hain jaise ki event planning me kis tarah ki problems face karni pad sakti hain or aapko unhe kaise solve karna hai.

Yahan par kuch kitabo ke naam diye jaa rahe hai jo English bhasha me hai. Agar aap chahe to inhe online purchase karke apne event busines skills ko badha sakte hain. Agar aap business shuru karna chahte hain to inhe ek baar jarur padhe.

Comments