X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Jio MNP : Purane mobile number ko Jio me kaise badale

Ab aap apna purana number Jio me badal sakte hain. Ji haan Jio ne aisi facility available kar di hai jisase aap koi bhi network ke no. Ko Jio me port kar sakte hain.  To agar apna purana mobile number bina badale hi apna network jio me badalna chahte hai to aayiye dekhte hai ise easily kaise change kar sakte hain.

How to switch to jio with old number
Image source


Isase pahle jio ne sirf naye number ke liye hi Jio ki sevaye rakhi thi lekin ab aap Airtel, Vodafone ya Tata jaise kisi network ko jio me shift kar sakte hain.

Jio ne January me jab Happy new year offer shuru kiya tha tabhi portiblity ki facility bhi shuru kar di gayi. 3 Month ke baad ye offer jab khatam hua to Jio ne baki network ko ek baar jhatka dete huye New Summer Surprise offer launch kiya jo ki prime membership ke sath available karaya gya.

Lekin TRAI ne baki mobile network companies ki shikayat par ise band karne ka order de diya.

Isase baki mobile network companies ko thodi rahat mili hi thi ki Jio ne phir se ek or paid offer Dhan Dhana Dhan offer ke naam se marke me launch kar diya. Jisme Jio customer ko pahle jaisa hi benefit mil raha hai.



Jio ki free sevaye or lokpriyata ko dekhte huye dusare mobile network ke customer bhi jio ki taraf attract hone lage hain. Lekin kuch consumer aise bhi hain jo apna old number khona nahi chahte or jio ki sevaye bhi lena chahte hain.

Aapko bata du ki Jio ne iske alawa grahak ko lubhane ke liye ek cashback offer bhi nikala hai. Jisme agar aap phonepe App, paytm or Jio money wallet se apne jio ke number par koi offer pack kharidate hain to aapko 50 ₹ cashback milega.

Jio money wallet se is cashback ko aap asaani se use ya redeem bhi kar sakte hain. Sath ek or sabse hot fayda aapko ye hai ki Jio me caller tune free me set kar sakte hain jis par koi monthly ya subsription charge nahi hai.

To itani facilty agar aapko kisi network me mil rahi hai to der mat kariye aaj hi apne purane network ko Reliance jio me switch kariye.

Bina number badale kisi bhi network ke number ko Jio me convert kare

Step 1. Sabse pahle aapko apne purane number jise badalna chahte hain usase ek message karna hoga. Message me PORT likhiye or 1900 par bhej dijiye.

Step 2. Ab aapko 1901 number se ek mesage ayega jisme Unique portimg code likha hoga. Jo ki 15 din tak valid hoga. Is message ko sambhal ke rakiye.



Step 3. Ab aapko kisi najdik ke Jio office jakar ek Customer Application Form ( CAF ) lena hai or apni details ke sath Porting code bhar kar wahi par jama kar dena hai.

Sath me aapki id proof , address proof or photograph provide karana hai. Badale me aapo Jio ki ek sim di jayegi. Jo ki activate hone ke baad usi number se chalegi jo ki aapka pahle ka number raha hoga. Iske aapko 19₹ bhugtaan karne padenge.

Step 4:- Ab aapki sim activate hone me 7 din ka samay lag sakta hai. Ise kisi 4G mobile me lagakar rakhe

Step 5:- Aapki purani sim tab tak chalti rahegi jab tak ki Jio ki sim activate nahi ho jati. Aapki sim activate hone se 2 ghante pahle aapki purani sim deactivate ho jayegi.

       Saste or branded 4G mobile

                   Yahan click karke kharide


Aapke mobile me network ki jagah No service show hone lage to samajh lijiye Jio sim active hone wali hai.




Ek baar Jio me port karne ke baad dobara dusare network me port kar sakte hain ki nahi

Agar aapne kisi dusare network se Jio me porting kar li uske baad aap agle 90 dino tak dobara ise kisi dusare network jaise Airtel , Vodafone ya kisi bhi network me shift nahi kar sakte.

Halaki Reliance Jio ki taraf se baki sabhi network companies se ye request ki hai ki grahako ko network migration ke liye is 90 dino ki limit ko band karna chahiye. Jisase ki grahak apne good or bad experience par kisi bhi tarah kabhi bhi mobile netwrok switch kar sake.

To abhi apna mobile network switch kare or Jio ke sath 4G data or free voice calling ka maja lijiye.

Comments