X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Google baba ki kahani

Dosto, apni pahchan har koi bnana chahta hai lekin kuch khaas log hi aisa kar pate hain. Aaj mai aapko google baba ke madhyam se aisi hi kuch baate bataunga. Jisme aapko apni pahchan dhudne me help milegi ya ye kahiye aapko ehsas hoga ki aakhir me aap kya hai or aapko kon si chije aage badhne se rok deti hain.

google search engine ke baare me kon nahi janta hai. Lekin kya aapko google ka matlab pata hai. Agar nahi pata hai to aap google baba se hi puchh lijiye. Mera matlab hai ki aap google par hi google ka matlab dhundh sakte hain.

Aaj mai aapse aisi chij share karne ja raha hu jo shayad aapko thodi atpati lage ya aapko samajhne me thoda time lage. Lekin aapko samajh aa gayi to aapko jeevan ka lakshy mil jayega.

To agar aapne ab tak google ki hindi ya meaning ya google ka matlab google baba yani ki google me hi search kar liya hai to aapko pata chal gya hoga ki iska kya matlab hota hai.

Agar aapne nahi search kiya to chaliye mai aapko bata deta hu.

Actually google baba ko khud nahi pata ki google ka kya matlab hota hai. Ji haan ye bikul sach hai ki google ka kuch bhi matlab nahi hota. Ye bilkul bematlab word hai.

Ab ap soch rahe honge itne bade search engine or itni badi company ka naam aisa betmatlab kaise ho sakta hai.

Google baba ka naam aisa kaise pada

Jaisa ki maine pahle hi bataya ki agar aap is article ko samajh gaye to aapko samajh me aa jayega ki life me success hone ka mantra kya hai.

Google ke bare me aapko shuru se lekar ant tak ki kahani bahut si website me mil jayegi. Lekin aaj mai aapse ye sab share nahi karunga. Balki aaj ka hamara topic hai google baba ke naam ka raaj janana or iske naam ka iski success me kitna haath hai, ye janana.

Sabse pahle agar aap ye sochte hai ki ye bahut hi soch samajh rakha gya naam hai to aap galat hai. Google ka naam matra ek sanyog hai. Jo google baba ke janmdatao ne ek matra ittefaq se rakh diya. Or jinhe khud pata tha ki iska koi matlab nahi nikalta.

Google baba ki success kuch thode se sabdo me

Har successful chij ke pichhe ek pakka lakshy, achi service, pakka irada or thoda sa risk hota hai. Aisa hi kuch google ke sath bhi hai. Google ko bnane walo ne khud bhi ye to shayad hi socha hoga ki google ek din itna bada naam ban jayega. 

Iska karan unhone bahari saaj sajja jaise naam ya design ko jyada mahatv na dekar apni services ko behatar karne me dhyan lagaya or result aaj sabke samne hai.

Conclussion

Aaj 100 me se 80 log kisi bhi kaam me fail kyu ho jaate hain kyoki unka dhyan us kaam ke lakshy ko bhul kar bahari chijo me jaane lagta hai jo shuruaat me jaruri nahi hota. 

Aapka focus aapke target se hatna nahi chahiye. Aapke avishkar, aapke product ya aapke kaam me dam hai to aapka diya gya ulta pulta naam bhi ek brand ki tarah famous ho jayega.

To agar aapne apne life me koi lakshy rakha hai to us par pura focus bna kar rakhiye. Bahari chijo me dhyan ko bhatakne mat dijiye. Or ek din wo bhi aayega ki google baba ki tarah aapke kaam ka naam sabke liye mishal hoga.

Comments