X

Hamara Facebook page like kare

Aisi bahut si jankari ke liyePlease! Like

Contact Us

Adhaar number bank account se kaise link kare

Adhaar card aaj India me sabse jaruri document ho gya hai. Ab ise bank account se link karke paise ke len den ko or saral bnaya ja raha hai. To aayiye dekhte hain ki apne Adhaar number ko apne bank account se link kaise kare. 

How to link adhr number with your account


Iska tarika bahut hi simple hai. Mai aapko sabhi tarike step by step bataunga. Isme bina bank gaye adhar card ko link karne ya jodne ka tarika hoga.




Dosto ab aapko aapke bank account se payment lene ke liye ATM card ki jarurat nahi balki sirf aapke adhaar card ki jarurat padegi ya yu kahiye ki wo bhi nahi. Ji haan agar aapka Saving bank account number aapke adhar card ke sath add hai to aapko sirf adhaar card ka number yaad hona chahiye. 




Ek baar aapka adhaar bank A/C se jud gya fir aapko sirf adhaar number btana padega or aapke fingerprint lagte hi aapko paise mil jayenge. Iske alawa sabse badi baat aapko apne khaate ko link karana government dwara compulsory kar diya gya hai. Isliye jitni jaldi ho utni jaldi ise link kar lijiye.


How to link Adhaar card with Bank account- Hindi me jaane

Iske liye sabse pahle mobile number aapke bank account ke sath link hona chahiye. Agar aapka mobile number aapke bank account se add ya link nahi hai to uska bhi asaan tarika bta diya jayega. Lekin pahle ham adhaar card se bank khaate ko jodne ka process jante hain.

Ye bahut hi saral hai. Bas aapko apne bank account registered mobile number se ek message karna hai. Aayiye dekhte hain kaise-

Step 1- Apne mobile ke message box me jayiye 567676 par message ready kariye.

Step 2:- Message me apko UID<space>adhar no.<space>Bank a/c  likhna hai or send kar dena hai. Aa niche image dekh sakte hain.



Step 3:-Message send karne ke thodi der baad aapko ek message ayega.



Agar aapka mobile number bank account me add nahi hai to kaise add kare

Aapke mobile me iska mesage nahi aata hai to iska matlab aapko pahle apna mobile number apne account me add karna padega.  Iske liye aapko Aapki bank ki branch ke jana hoga ya aap apne ATM card dwara ATM machine se kar sakte hain. Chaliye dekhte hain kaise-

ATM card dwara ATM machine se mobile number badalne ya link karne ka tarika


Aapko apna ATM card machine me lagana hai. Jaisa ki aap paisa nikaalte samay karte hai. Aapke samne kayi option aa jayege.

Dekhiye aapke samne MORE OPTION ka ek option hoga us par jayiye.

Ab apke samne MOBILE NUMBER ka option aayega. Is par jayiye.

Read also


Agar aap pahli baar mobile number add kar rahe hain to apna mobile number daliye.

Fir se ek baar mobile number dalkar confirm kariye. Bas aapka mobile number aapke bank acount se add ho chuka hai.

Agar aapke account me pahle se mobile number registered ya add hai or aap badalna chahte hain to ye steps follow kariye.

Apna ATM card machine me lagayiye.

MORE OPTION par click kariye.

MOBILE NUMBER  par jayiye.

Ab apna purana mobile number daliye.

Ab aap jo naya number add karna chahte hain wo daliye.

Fir se ek baar number dalkar confirm kariye. Aapka mobile number apke account me succesfully change ho chuka hai.

Ab aap upar diye tarike se apn adhaar card is mobile number ke jariye apne bank account me jod sakte hain.

Agar aapko ye jankari achi lagi to hmara facebook page like kariye or  agar upar bataye gaye process me koi dikkat ho to comment karke puch sakte hain.

Comments